Jo Mai Dil Se Piye Koi To Phir RaKHne Nahin Rahte, Urdu Ghazal By Muztar Khairabadi

Jo Mai Dil Se Piye Koi To Phir RaKHne Nahin Rahte is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muztar Khairabadi. Jo Mai Dil Se Piye Koi To Phir RaKHne Nahin Rahte comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Mai Dil Se Piye Koi To Phir RaKHne Nahin Rahte on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو مے دل سے پئے کوئی تو پھر رخنے نہیں رہتے

مضطر خیرآبادی

جو مے دل سے پئے کوئی تو پھر رخنے نہیں رہتے

ذرا یہ صاف کر لی جائے پھر تنکے نہیں رہتے

ہمارا مے کدہ محفوظ ہے تاثیر موسم سے

یہاں شیشے بھرے جاڑوں میں بھی ٹھنڈے نہیں رہتے

شراب ناب کے پینے سے ہاں اتنا تو ہوتا ہے

پڑے رہتے ہیں جو آنکھوں پہ وہ پردے نہیں رہتے

قیام مے کدہ کے واسطے اقرار کیوں ساقی

پلائے گا تو رہ جائیں گے اور ویسے نہیں رہتے

لباس ظاہری پر مے سے بے شک داغ پڑتے ہیں

مگر پینے سے اندر قلب کے دھبے نہیں رہتے

نہیں دیتا جو مے اچھا نہ دے تیری خوشی ساقی

پیالے کچھ ہمیشہ طاق پر رکھے نہیں رہتے

چھپائے کس طرح زاہد سے راز مے کشی کوئی

یہ حضرت مے کشوں کا حال بے پوچھے نہیں رہتے

نمازوں سے تھکے زاہد تو مے خانہ میں آ جانا

یہ اٹھنے بیٹھنے کے اس جگہ جھگڑے نہیں رہتے

خدا کے دامن رحمت سے اپنا دامن عصیاں

وہ کیا ٹانکے گا جس کے آنکھ میں ڈورے نہیں رہتے

مضطر خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Mai Dil Se Piye Koi To Phir RaKHne Nahin Rahte

Muztar Khairabadi

jo mai dil se piye koi to phir raKHne nahin rahte
zara ye saf kar li jae phir tinke nahin rahte

hamara mai-kada mahfuz hai tasir-e-mausam se
yahan shishe bhare jaDon mein bhi ThanDe nahin rahte

sharab-e-nab ke pine se han itna to hota hai
paDe rahte hain jo aankhon pe wo parde nahin rahte

qayam-e-mai-kada ke waste iqrar kyun saqi
pilaega to rah jaenge aur waise nahin rahte

libas-e-zahiri par mai se be-shak dagh paDte hain
magar pine se andar qalb ke dhabbe nahin rahte

nahin deta jo mai achchha na de teri KHushi saqi
piyale kuchh hamesha taq par rakkhe nahin rahte

chhupae kis tarah zahid se raaz-e-mai-kashi koi
ye hazrat mai-kashon ka haal be-puchhe nahin rahte

namazon se thake zahid to mai-KHane mein aa jaana
ye uThne baiThne ke is jagah jhagDe nahin rahte

KHuda ke daman-e-rahmat se apna daman-e-isyan
wo kya Tankega jis ke aankh mein Dore nahin rahte

(491) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Mai Dil Se Piye Koi To Phir RaKHne Nahin Rahte written by Muztar Khairabadi at UrduPoint. Jo Mai Dil Se Piye Koi To Phir RaKHne Nahin Rahte is one of the masterpieces written by Muztar Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Muztar Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muztar Khairabadi' above.

Jo Mai Dil Se Piye Koi To Phir RaKHne Nahin Rahte is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Mai Dil Se Piye Koi To Phir RaKHne Nahin Rahte, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.