Wo Pathrai Si Aankhon Ko Bhi Kajal Bhej Deta Hai, Urdu Ghazal By Nadeem Farrukh

Wo Pathrai Si Aankhon Ko Bhi Kajal Bhej Deta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nadeem Farrukh. Wo Pathrai Si Aankhon Ko Bhi Kajal Bhej Deta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Pathrai Si Aankhon Ko Bhi Kajal Bhej Deta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ پتھرائی سی آنکھوں کو بھی کاجل بھیج دیتا ہے

ندیم فرخ

وہ پتھرائی سی آنکھوں کو بھی کاجل بھیج دیتا ہے

سلگتی دوپہر میں جیسے بادل بھیج دیتا ہے

میں اپنے سب مسائل بس اسی پر چھوڑ دیتا ہوں

مرے الجھے مسائل کا وہی حل بھیج دیتا ہے

جہاں والے اسے جب یاد کرنا بھول جاتے ہیں

زمینوں کی تہوں میں کوئی ہلچل بھیج دیتا ہے

جہاں اہل خرد تیور بدل کر بات کرتے ہیں

وہ عبرت کے لیے دو چار پاگل بھیج دیتا ہے

ہمارے آج کی جب کوششیں ناکام ہوتی ہیں

ہمیں وہ ایک اور امید کا کل بھیج دیتا ہے

ندیم فرخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Pathrai Si Aankhon Ko Bhi Kajal Bhej Deta Hai

Nadeem Farrukh

wo pathrai si aankhon ko bhi kajal bhej deta hai
sulagti dopahar mein jaise baadal bhej deta hai

main apne sab masail bas usi par chhoD deta hun
mere uljhe masail ka wahi hal bhej deta hai

jahan wale use jab yaad karna bhul jate hain
zaminon ki tahon mein koi halchal bhej deta hai

jahan ahl-e-KHirad tewar badal kar baat karte hain
wo ibrat ke liye do chaar pagal bhej deta hai

hamare aaj ki jab koshishen nakaam hoti hain
hamein wo ek aur ummid ka kal bhej deta hai

(610) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Pathrai Si Aankhon Ko Bhi Kajal Bhej Deta Hai written by Nadeem Farrukh at UrduPoint. Wo Pathrai Si Aankhon Ko Bhi Kajal Bhej Deta Hai is one of the masterpieces written by Nadeem Farrukh. You can also find the complete poetry collection of Nadeem Farrukh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nadeem Farrukh' above.

Wo Pathrai Si Aankhon Ko Bhi Kajal Bhej Deta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Pathrai Si Aankhon Ko Bhi Kajal Bhej Deta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.