Jis Ki Talab Mein Umr Ka Sauda Nahin Hua, Urdu Ghazal By Nahid Qamar

Jis Ki Talab Mein Umr Ka Sauda Nahin Hua is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nahid Qamar. Jis Ki Talab Mein Umr Ka Sauda Nahin Hua comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jis Ki Talab Mein Umr Ka Sauda Nahin Hua on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جس کی طلب میں عمر کا سودا نہیں ہوا

ناہید قمر

جس کی طلب میں عمر کا سودا نہیں ہوا

اس خواب کا سراب بھی اپنا نہیں ہوا

اپنی صلیب سر پہ لیے چل رہے ہیں لوگ

شہر سزا میں کوئی کسی کا نہیں ہوا

کہنے کو جی سنبھل تو گیا ہے مگر کہیں

اک درد ہے کہ جس کا مداوا نہیں ہوا

اس نے مرے بغیر گزاری ہے زندگی

اس آگہی کا زہر گوارا نہیں ہوا

اب بھی ہے معتبر تو خدا کی عطا ہے یہ

ورنہ وفا کے نام پہ کیا کیا نہیں ہوا

اے حرف باریاب تری خیر پر وہ لوگ

جن پر در قبول کبھی وا نہیں ہوا

ناہید قمر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jis Ki Talab Mein Umr Ka Sauda Nahin Hua

Nahid Qamar

jis ki talab mein umr ka sauda nahin hua
us KHwab ka sarab bhi apna nahin hua

apni salib sar pe liye chal rahe hain log
shahr-e-saza mein koi kisi ka nahin hua

kahne ko ji sambhal to gaya hai magar kahin
ek dard hai ki jis ka mudawa nahin hua

us ne mere baghair guzari hai zindagi
is aagahi ka zahr gawara nahin hua

ab bhi hai mo'tabar to KHuda ki ata hai ye
warna wafa ke nam pe kya kya nahin hua

ai harf-e-baryab teri KHair par wo log
jin par dar-e-qubul kabhi wa nahin hua

(543) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jis Ki Talab Mein Umr Ka Sauda Nahin Hua written by Nahid Qamar at UrduPoint. Jis Ki Talab Mein Umr Ka Sauda Nahin Hua is one of the masterpieces written by Nahid Qamar. You can also find the complete poetry collection of Nahid Qamar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nahid Qamar' above.

Jis Ki Talab Mein Umr Ka Sauda Nahin Hua is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jis Ki Talab Mein Umr Ka Sauda Nahin Hua, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.