Badan Ka Kaam ThoDa Hai Magar Mohlat Ziyaada Hai, Urdu Ghazal By Naseem Abbasi

Badan Ka Kaam ThoDa Hai Magar Mohlat Ziyaada Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseem Abbasi. Badan Ka Kaam ThoDa Hai Magar Mohlat Ziyaada Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Badan Ka Kaam ThoDa Hai Magar Mohlat Ziyaada Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بدن کا کام تھوڑا ہے مگر مہلت زیادہ ہے

نسیم عباسی

بدن کا کام تھوڑا ہے مگر مہلت زیادہ ہے

سو جو غفلت زیادہ تھی وہی غفلت زیادہ ہے

ہمیں اس عالم ہجراں میں بھی رک رک کے چلنا ہے

انہیں جانے دیا جائے جنہیں عجلت زیادہ ہے

نہ جانے کب کسی چلمن کا ہم نقصان کر بیٹھیں

ہمیں چہرا کشائی کی ذرا رخصت زیادہ ہے

کبھی میں خود زیادہ ہوں تن تنہا کی وحدت میں

کبھی میری ضرورت سے مری وحدت زیادہ ہے

تجھے حلقہ بہ حلقہ کھینچتے پھرتے ہیں دنیا میں

سو اے زنجیر پا یوں بھی تری شہرت زیادہ ہے

یہ دل باہر دھڑکتا ہے یہ آنکھ اندر کو کھلتی ہے

ہم ایسے مرحلے میں ہیں جہاں زحمت زیادہ ہے

میں قرنوں کی طرح بکھرا پڑا ہوں دونوں وقتوں میں

مری جلوت زیادہ ہے مری خلوت زیادہ ہے

سو ہم فریادیوں کی ایک اپنی صف الگ سے ہو

ہمارا مسئلہ یہ ہے ہمیں حیرت زیادہ ہے

نسیم عباسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Badan Ka Kaam ThoDa Hai Magar Mohlat Ziyaada Hai

Naseem Abbasi

badan ka kaam thoDa hai magar mohlat ziyaada hai
so jo ghaflat ziyaada thi wahi ghaflat ziyaada hai

hamein is aalam-e-hijran mein bhi ruk ruk ke chalna hai
unhen jaane diya jae jinhen ujlat ziyaada hai

na jaane kab kisi chilman ka hum nuqsan kar baiThen
hamein chehra-kushai ki zara ruKHsat ziyaada hai

kabhi main KHud ziyaada hun tan-e-tanha ki wahdat mein
kabhi meri zarurat se meri wahdat ziyaada hai

tujhe halqa-ba-halqa khinchte phirte hain duniya mein
so ai zanjir-e-pa yun bhi teri shohrat ziyaada hai

ye dil bahar dhaDakta hai ye aankh andar ko khulti hai
hum aise marhale mein hain jahan zahmat ziyaada hai

main qarnon ki tarah bikhra paDa hun donon waqton mein
meri jalwat ziyaada hai meri KHalwat ziyaada hai

so hum fariyaadiyon ki ek apni saf alag se ho
hamara masala ye hai hamein hairat ziyaada hai

(636) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Badan Ka Kaam ThoDa Hai Magar Mohlat Ziyaada Hai written by Naseem Abbasi at UrduPoint. Badan Ka Kaam ThoDa Hai Magar Mohlat Ziyaada Hai is one of the masterpieces written by Naseem Abbasi. You can also find the complete poetry collection of Naseem Abbasi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Abbasi' above.

Badan Ka Kaam ThoDa Hai Magar Mohlat Ziyaada Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Badan Ka Kaam ThoDa Hai Magar Mohlat Ziyaada Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.