Jahan Jahan Bhi Hawas Ka Ye Jaanwar Jae, Urdu Ghazal By Naseem Abbasi

Jahan Jahan Bhi Hawas Ka Ye Jaanwar Jae is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseem Abbasi. Jahan Jahan Bhi Hawas Ka Ye Jaanwar Jae comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jahan Jahan Bhi Hawas Ka Ye Jaanwar Jae on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جہاں جہاں بھی ہوس کا یہ جانور جائے

نسیم عباسی

جہاں جہاں بھی ہوس کا یہ جانور جائے

دلوں سے مہر و محبت کی فصل چر جائے

کھلے ہیں اونچی حویلی کے پالتو کتے

فقیر راہ ذرا دیکھ بھال کر جائے

وہیں سے ہوں میں جہاں سے دکھائی دیتا ہوں

وہیں تلک ہوں جہاں تک مری نظر جائے

ہے کوئی دیر سے اس پار منتظر میرا

رکا ہوا ہوں کہ ندی ذرا اتر جائے

وہ باد تند ہے ہر پیڑ کی یہ کوشش ہے

ہوا کے ساتھ کوئی دوسرا شجر جائے

حدود ذات سے آگے خداؤں کی حد ہے

میں سوچتا ہوں اگر ذہن کام کر جائے

بھری پڑی ہے عفونت سے انچ انچ زمیں

اس ایک پھول کی خوشبو کدھر کدھر جائے

ابھی تلک ترے رستے میں پل صراط پہ ہے

گزرنے والا ضروری نہیں گزر جائے

نسیمؔ گاؤں کی مسجد میں رات کاٹے گا

اک اجنبی سا مسافر ہے کس کے گھر جائے

نسیم عباسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jahan Jahan Bhi Hawas Ka Ye Jaanwar Jae

Naseem Abbasi

jahan jahan bhi hawas ka ye jaanwar jae
dilon se mehr-o-mohabbat ki fasl char jae

khule hain unchi haweli ke paltu kutte
faqir-e-rah zara dekh-bhaal kar jae

wahin se hun main jahan se dikhai deta hun
wahin tilak hun jahan tak meri nazar jae

hai koi der se us par muntazir mera
ruka hua hun ki naddi zara utar jae

wo baad-e-tund hai har peD ki ye koshish hai
hawa ke sath koi dusra shajar jae

hudud-e-zat se aage KHudaon ki had hai
mein sochta hun agar zehn kaam kar jae

bhari paDi hai ufunat se inch inch zamin
is ek phul ki KHushbu kidhar kidhar jae

abhi talak tere raste mein pul-siraat pe hai
guzarne wala zaruri nahin guzar jae

'nasim' ganw ki masjid mein raat kaTega
ek ajnabi sa musafir hai kis ke ghar jae

(431) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jahan Jahan Bhi Hawas Ka Ye Jaanwar Jae written by Naseem Abbasi at UrduPoint. Jahan Jahan Bhi Hawas Ka Ye Jaanwar Jae is one of the masterpieces written by Naseem Abbasi. You can also find the complete poetry collection of Naseem Abbasi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Abbasi' above.

Jahan Jahan Bhi Hawas Ka Ye Jaanwar Jae is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jahan Jahan Bhi Hawas Ka Ye Jaanwar Jae, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.