Kabhi Sanam To Kabhi Wo KHuda Tha Aankhon Mein, Urdu Ghazal By Naseem Ajmal

Kabhi Sanam To Kabhi Wo KHuda Tha Aankhon Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseem Ajmal. Kabhi Sanam To Kabhi Wo KHuda Tha Aankhon Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kabhi Sanam To Kabhi Wo KHuda Tha Aankhon Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کبھی صنم تو کبھی وہ خدا تھا آنکھوں میں

نسیم اجمل

کبھی صنم تو کبھی وہ خدا تھا آنکھوں میں

کھلی جو آنکھ تو منظر جدا تھا آنکھوں میں

بکھر رہے تھے زمان و مکاں میں سر کتنے

کہ پچھلی رات عجب رن پڑا تھا آنکھوں میں

اسی سے آئی تھی کون و مکاں کی آوازیں

وہ ایک در جو سحر تک کھلا تھا آنکھوں میں

گزر گیا وہ مرے دل سے سر جھکائے ہوئے

پھر اس کے بعد اندھیرا بڑا تھا آنکھوں میں

عجیب رنگ سے اس نے دکھایا رنگ بہار

چمن چمن تھا مگر گل کھلا تھا آنکھوں میں

ابھی کیا تھا حصار خیال کے باہر

ذرا سی دیر میں وہ پھر کھڑا تھا آنکھوں میں

ہجوم ساعت خالی نہ آسماں نہ زمیں

درون ذات کا وہ سانحہ تھا آنکھوں میں

طلسم صوت و صدا اور نگار خانۂ رنگ

ہر ایک آن میں منظر نیا تھا آنکھوں میں

بس اس طرح سے بدن کا سفر تمام ہوا

نظر تھی جانب ساغر خدا تھا آنکھوں میں

اسی نے میرے تغزل کو پاش پاش کیا

وہ آدمی جو برہنہ کھڑا تھا آنکھوں میں

نہ میں تھا اور نہ تم تھے نہ تیسرا کوئی

بدن کے پار بدن دوسرا تھا آنکھوں میں

وہ جلوہ ریز سخن در سخن تھا میرے لئے

وہ حسن خواب صدا در صدا تھا آنکھوں میں

اب اس کے قرب کا اجملؔ حساب کیا رکھتا

تمام شب کا عجب سلسلہ تھا آنکھوں میں

نسیم اجمل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kabhi Sanam To Kabhi Wo KHuda Tha Aankhon Mein

Naseem Ajmal

kabhi sanam to kabhi wo KHuda tha aankhon mein
khuli jo aankh to manzar juda tha aankhon mein

bikhar rahe the zaman-o-makan mein sar kitne
ki pichhli raat ajab ran paDa tha aankhon mein

usi se aai thi kaun-o-makan ki aawazen
wo ek dar jo sahar tak khula tha aankhon mein

guzar gaya wo mere dil se sar jhukae hue
phir us ke ba'd andhera baDa tha aankhon mein

ajib rang se us ne dikhaya rang-e-bahaar
chaman chaman tha magar gul khila tha aankhon mein

abhi kiya tha hisar-e-KHayal ke bahar
zara si der mein wo phir khaDa tha aankhon mein

hujum-e-saat-e-KHali na aasman na zamin
darun-e-zat ka wo saneha tha aankhon mein

tilism-e-saut-o-sada aur nigar-KHana-e-rang
har ek aan mein manzar naya tha aankhon mein

bas is tarah se badan ka safar tamam hua
nazar thi jaanib-e-saghar KHuda tha aankhon mein

usi ne mere taghazzul ko pash pash kiya
wo aadmi jo barahna khaDa tha aankhon mein

na main tha aur na tum the na tisra koi
badan ke par badan dusra tha aankhon mein

wo jalwa-rez suKHan-dar-suKHan tha mere liye
wo husn-e-KHwab sada-dar-sada tha aankhon mein

ab us ke qurb ka 'ajmal' hisab kya rakhta
tamam shab ka ajab silsila tha aankhon mein

(3561) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kabhi Sanam To Kabhi Wo KHuda Tha Aankhon Mein written by Naseem Ajmal at UrduPoint. Kabhi Sanam To Kabhi Wo KHuda Tha Aankhon Mein is one of the masterpieces written by Naseem Ajmal. You can also find the complete poetry collection of Naseem Ajmal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Ajmal' above.

Kabhi Sanam To Kabhi Wo KHuda Tha Aankhon Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kabhi Sanam To Kabhi Wo KHuda Tha Aankhon Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.