Tir-e-mizhgan Ko To Paikan-e-qaza Kahte Hain, Urdu Ghazal By Nashtar Chaprawi

Tir-e-mizhgan Ko To Paikan-e-qaza Kahte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nashtar Chaprawi. Tir-e-mizhgan Ko To Paikan-e-qaza Kahte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tir-e-mizhgan Ko To Paikan-e-qaza Kahte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تیر مژگاں کو تو پیکان قضا کہتے ہیں

نشتر چھپروی

تیر مژگاں کو تو پیکان قضا کہتے ہیں

پر نگاہ غلط انداز کو کیا کہتے ہیں

سامنے میرے تو دشمن کو برا کہتے ہیں

دشمنوں میں مجھے کیا جانے وہ کیا کہتے ہیں

جب کہا میں نے مجھے آپ برا کہتے ہیں

کس ڈھٹائی سے ستم گر نے کہا کہتے ہیں

چاہنے والوں کو اپنے جو برا کہتے ہیں

سوچتے بھی ہیں کبھی آپ کہ کیا کہتے ہیں

بے وفائی کا تری خلق گلہ کرتی ہے

اور ہم ہیں کہ تجھے جان وفا کہتے ہیں

لب ہلانا بھی تو اب مجھ کو ہوا ہے مشکل

میری ہر بات کو دشمن کا گلہ کہتے ہیں

مسکرا کر مجھے دیکھا کہ مری جان گئی

ناز کہتے ہیں اسے اس کو ادا کہتے ہیں

غیر جو چاہیں کہیں مجھ کو مگر یاد رہے

خوبرو ہیں وہ جو اوروں کو برا کہتے ہیں

زندگی ہے وہ حقیقت میں جو کہلاتی ہے موت

ہے وہی عین بقا جس کو فنا کہتے ہیں

غیر کہتا ہے برا مجھ کو تو کہنے دیجے

ہوتی آئی ہے کہ اچھوں کو برا کہتے ہیں

ہم جو کہتے ہیں وہ بے جا ہے سراسر ہے غلط

اور اغیار جو کہتے ہیں بجا کہتے ہیں

کیا ستم ہے نہیں سنتے وہ فسانہ میرا

کہتے ہیں لوگ اسے ہوش ربا کہتے ہیں

گھر رقیبوں کے ضرور آپ گئے تھے چھپ کر

مجھ سے یہ آپ کے نقش کف پا کہتے ہیں

آہ کو میری سمجھتے ہیں نسیم گلشن

اور نالوں کو وہ اندوہ ربا کہتے ہیں

مجھ سے کیا پوچھتے ہو کیا تمہیں معلوم نہیں

کیوں مجھے کشتۂ انداز و ادا کہتے ہیں

آپ تو جور کے موجد ہیں جفا کے بانی

آپ کیا جانیں کہ کس شے کو وفا کہتے ہیں

ہے جنوں ان کو یہ آشفتہ سری ہے ان کی

گیسوئے یار کو جو شام بلا کہتے ہیں

ہے سمجھ کا یہ تری پھیر بتوں کو زاہد

کب خدا کہتے ہیں ہم شان خدا کہتے ہیں

سنتے ہی نیند نہ آ جائے تو میرا ذمہ

میرے افسانے کو اندوہ ربا کہتے ہیں

سر اڑا دیتے ہیں وہ تیغ جفا سے نشترؔ

پیار سے ہم جو انہیں جان وفا کہتے ہیں

نشتر چھپروی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tir-e-mizhgan Ko To Paikan-e-qaza Kahte Hain

Nashtar Chaprawi

tir-e-mizhgan ko to paikan-e-qaza kahte hain
par nigah-e-ghalat-andaz ko kya kahte hain

samne mere to dushman ko bura kahte hain
dushmanon mein mujhe kya jaane wo kya kahte hain

jab kaha main ne mujhe aap bura kahte hain
kis DhiTai se sitamgar ne kaha kahte hain

chahne walon ko apne jo bura kahte hain
sochte bhi hain kabhi aap ki kya kahte hain

bewafai ka teri KHalq gila karti hai
aur hum hain ki tujhe jaan-e-wafa kahte hain

lab hilana bhi to ab mujh ko hua hai mushkil
meri har baat ko dushman ka gila kahte hain

muskura kar mujhe dekha ki meri jaan gai
naz kahte hain ise is ko ada kahte hain

ghair jo chahen kahen mujh ko magar yaad rahe
KHub-ru hain wo jo auron ko bura kahte hain

zindagi hai wo haqiqat mein jo kahlati hai maut
hai wahi ain-e-baqa jis ko fana kahte hain

ghair kahta hai bura mujh ko to kahne dije
hoti aai hai ki achchhon ko bura kahte hain

hum jo kahte hain wo beja hai sarasar hai ghalat
aur aghyar jo kahte hain baja kahte hain

kya sitam hai nahin sunte wo fasana mera
kahte hain log use hosh-ruba kahte hain

ghar raqibon ke zarur aap gae the chhup kar
mujh se ye aap ke naqsh-e-kaf-e-pa kahte hain

aah ko meri samajhte hain nasim-e-gulshan
aur nalon ko wo andoh-ruba kahte hain
mujh se kya puchhte ho kya tumhein malum nahin
kyon mujhe kushta-e-andaza-o-ada kahte hain

aap to jaur ke mojid hain jafa ke bani
aap kya jaanen ki kis shai ko wafa kahte hain

hai junun un ko ye aashufta-sari hai un ki
gesu-e-yar ko jo sham-e-bala kahte hain

hai samajh ka ye teri pher buton ko zahid
kab KHuda kahte hain hum shan-e-KHuda kahte hain

sunte hi nind na aa jae to mera zimma
mere afsane ko andoh-ruba kahte hain

sar uDa dete hain wo tegh-e-jafa se 'nashtar'
pyar se hum jo unhen jaan-e-wafa kahte hain

(397) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tir-e-mizhgan Ko To Paikan-e-qaza Kahte Hain written by Nashtar Chaprawi at UrduPoint. Tir-e-mizhgan Ko To Paikan-e-qaza Kahte Hain is one of the masterpieces written by Nashtar Chaprawi. You can also find the complete poetry collection of Nashtar Chaprawi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nashtar Chaprawi' above.

Tir-e-mizhgan Ko To Paikan-e-qaza Kahte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tir-e-mizhgan Ko To Paikan-e-qaza Kahte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.