Na Jis Mein Aarzu Hoti Na Jis Mein Muddaa Hota, Urdu Ghazal By Nashtar Chaprawi

Na Jis Mein Aarzu Hoti Na Jis Mein Muddaa Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nashtar Chaprawi. Na Jis Mein Aarzu Hoti Na Jis Mein Muddaa Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Jis Mein Aarzu Hoti Na Jis Mein Muddaa Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ جس میں آرزو ہوتی نہ جس میں مدعا ہوتا

نشتر چھپروی

نہ جس میں آرزو ہوتی نہ جس میں مدعا ہوتا

مجھے بھی ایک دل یا رب کوئی ایسا دیا ہوتا

شب وعدہ وہ آتا بھی تو کیا اس کے سوا ہوتا

جو میں صرف وفا ہوتا تو وہ گرم جفا ہوتا

شب فرقت اگر نالہ مرے دل کا رسا ہوتا

فلک کیا چیز ہے عرش معلیٰ ہل گیا ہوتا

دکھا دیتا اگر میں داغہائے دل کبھی ان کو

مرا ذمہ جو پھر مشق ستم کا حوصلہ ہوتا

دیا تھا دل تو دیتا عشق بھی اپنا اسے یا رب

ملا تھا سر تو سودا بھی ترا ہی یا خدا ہوتا

خطا کیا یار کی اس میں جو قبل از وقت موت آئی

وفا کرتی جو میری عمر تو وعدہ وفا ہوتا

نہ آتا تھا انہیں کیا مجھ کو مٹی میں ملا دینا

مگر ڈر تھا کہ ہوتا خاک بھی تو کیمیا ہوتا

عدو کے دستخط سے خط مجھے بھیجا ہے کافر نے

مقدر کا جو لکھا تھا نہ کیوں کر وہ ادا ہوتا

تری کوتاہ‌‌ بینی نے تجھے کھویا ہے اے واعظ

خدا کو جان جاتا گر بتوں سے آشنا ہوتا

سر و تن کا چلا آتا ہے جھگڑا ایک مدت سے

مدد کرتی تری تلوار تو کچھ فیصلہ ہوتا

ترے صدقے نگاہ ناز کیوں اغماض کرتی ہے

ہماری بات بن جاتی ترا نقصان کیا ہوتا

کہیں پر لطف ہے یہ قصۂ فرہاد و مجنوں سے

ہمارے دل کا دکھڑا بھی کبھی صاحب سنا ہوتا

نہ آئے تم نہ آتے بھیجتے تصویر ہی اپنی

مرے دل کو بہلنے کا کوئی تو مشغلا ہوتا

غم جاناں نہ دیتا ساتھ میرا تو بھی فرقت میں

اسی کی طرح ظالم کاش تو بھی بے وفا ہوتا

مرے دل سے وہ رہ رہ کر کسی کا ناز سے کہنا

عجب اک چیز تو ہوتا اگر بے مدعا ہوتا

سناتا قصۂ غم تجھ میں غم خواری اگر ہوتی

دکھاتا درد دل تجھ کو جو تو درد آشنا ہوتا

دل وحشی نہ کہتا تھا کہ باز آ عشق گیسو سے

مری سنتا تو کیوں کافر گرفتار بلا ہوتا

جناب خضر دیں گے ساتھ کیا صحرائے الفت میں

دل آفت طلب تو ہی ہمارا رہنما ہوتا

یہ کیا سودائے حوران خیالی تجھ کو ہے زاہد

کسی کافر ادا پر تو فدا مرد خدا ہوتا

بڑے ناز و نعم سے ہم نے اے دل تجھ کو پالا تھا

خدائی ہم سے پھر جاتی نہ لیکن تو جدا ہوتا

کھنچے جاتے تھے وہ خنجر کی صورت وصل میں نشترؔ

نکلتی خاک حسرت خاک پورا حوصلہ ہوتا

نشتر چھپروی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Jis Mein Aarzu Hoti Na Jis Mein Muddaa Hota

Nashtar Chaprawi

na jis mein aarzu hoti na jis mein muddaa hota
mujhe bhi ek dil ya-rab koi aisa diya hota

shab-e-wada wo aata bhi to kya is ke siwa hota
jo main sarf-e-wafa hota to wo garm-e-jafa hota

shab-e-furqat agar nala mere dil ka rasa hota
falak kya chiz hai arsh-e-mualla hil gaya hota

dikha deta agar main dagh-ha-e-dil kabhi un ko
mera zimma jo phir mashq-e-sitam ka hausla hota

diya tha dil to deta ishq bhi apna use ya-rab
mila tha sar to sauda bhi tera hi ya KHuda hota

KHata kya yar ki is mein jo qabl-az-waqt maut aai
wafa karti jo meri umr to wada wafa hota

na aata tha unhen kya mujh ko miTTi mein mila dena
magar Dar tha ki hota KHak bhi to kimiya hota

adu ke dastaKHat se KHat mujhe bheja hai kafir ne
muqaddar ka jo likkha tha na kyunkar wo ada hota

teri kotah-bini ne tujhe khoya hai ai waiz
KHuda ko jaan jata gar buton se aashna hota

sar-o-tan ka chala aata hai jhagDa ek muddat se
madad karti teri talwar to kuchh faisla hota

tere sadqe nigah-e-naz kyon aghmaz karti hai
hamari baat ban jati tera nuqsan kya hota

kahin pur-lutf hai ye qissa-e-farhad-o-majnun se
hamare dil ka dukhDa bhi kabhi sahib suna hota

na aae tum na aate bhejte taswir hi apni
mere dil ko bahalne ka koi to mashghala hota

gham-e-jaanan na deta sath mera tu bhi furqat mein
usi ki tarah zalim kash tu bhi bewafa hota

mere dil se wo rah rah kar kisi ka naz se kahna
ajab ek chiz tu hota agar be-muddaa hota

sunata qissa-e-gham tujh mein gham-KHwari agar hoti
dikhata dard-e-dil tujh ko jo tu dard-ashna hota

dil-e-wahshi na kahta tha ki baz aa ishq-e-gesu se
meri sunta to kyon kafir giraftar-e-bala hota

janab-e-KHizr denge sath kya sahra-e-ulfat mein
dil-e-afat-talab tu hi hamara rahnuma hota

ye kya sauda-e-huran-e-KHayali tujh ko hai zahid
kisi kafir-ada par to fida mard-e-KHuda hota

baDe naz-o-niam se hum ne ai dil tujh ko pala tha
KHudai hum se phir jati na lekin tu juda hota

khinche jate the wo KHanjar ki surat wasl mein 'nashtar'
nikalti KHak hasrat KHak pura hausla hota

(322) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Jis Mein Aarzu Hoti Na Jis Mein Muddaa Hota written by Nashtar Chaprawi at UrduPoint. Na Jis Mein Aarzu Hoti Na Jis Mein Muddaa Hota is one of the masterpieces written by Nashtar Chaprawi. You can also find the complete poetry collection of Nashtar Chaprawi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nashtar Chaprawi' above.

Na Jis Mein Aarzu Hoti Na Jis Mein Muddaa Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Jis Mein Aarzu Hoti Na Jis Mein Muddaa Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.