Kabhi Dahakti Kabhi Mahakti Kabhi Machalti Aai Dhup, Urdu Ghazal By Nau Bahar Sabir

Kabhi Dahakti Kabhi Mahakti Kabhi Machalti Aai Dhup is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nau Bahar Sabir. Kabhi Dahakti Kabhi Mahakti Kabhi Machalti Aai Dhup comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kabhi Dahakti Kabhi Mahakti Kabhi Machalti Aai Dhup on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کبھی دہکتی کبھی مہکتی کبھی مچلتی آئی دھوپ

نوبہار صابر

کبھی دہکتی کبھی مہکتی کبھی مچلتی آئی دھوپ

ہر موسم میں آنگن آنگن روپ بدل کر چھائی دھوپ

اس کو زخم ملے دنیا میں جس نے مانگے تازہ پھول

جس نے چاہی چھاؤں کی چھتری اس کے سر پر چھائی دھوپ

جانے اپنا روپ دکھا کر کس نے پردہ تان لیا

کس کی کھوج میں آوارہ ہے انگنائی انگنائی دھوپ

چڑھتے سورج کی کرنیں ہیں دولت عزت شہرت شان

آخر آخر ہر دیوار سے یارو ڈھلتی آئی دھوپ

دانش کی افزونی اکثر کرتی ہے دل کو گمراہ

تیز زیادہ ہو تو چھینے آنکھوں کی بینائی دھوپ

ماتھے پر سیندور کی بندیا تھالی میں کچھ سرخ گلاب

نور کے تڑکے اوشا تٹ پر پوجا کرنے آئی دھوپ

کون بڑھائے پیار کی پینگیں اس نٹ کھٹ بنجارن سے

پھرنے کو تو نگری نگری پھرتی ہے ہرجائی دھوپ

جنم جنم کے اندھیارے کا جادو چھن میں ٹوٹ گیا

صابرؔ آج مری کٹیا میں چپکے سے در آئی دھوپ

نوبہار صابر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kabhi Dahakti Kabhi Mahakti Kabhi Machalti Aai Dhup

Nau Bahar Sabir

kabhi dahakti kabhi mahakti kabhi machalti aai dhup
har mausam mein aangan aangan rup badal kar chhai dhup

us ko zaKHm mile duniya mein jis ne mange taza phul
jis ne chahi chhanw ki chhatri us ke sar par chhai dhup

jaane apna rup dikha kar kis ne parda tan liya
kis ki khoj mein aawara hai angnai angnai dhup

chaDhte suraj ki kirnen hain daulat izzat shohrat shan
aaKHir aaKHir har diwar se yaro Dhalti aai dhup

danish ki afzuni akasr karti hai dil ko gumrah
tez ziyaada ho to chhine aankhon ki binai dhup

mathe par sindur ki bindiya thaali mein kuchh surKH gulab
nur ke taDke usha taT par puja karne aai dhup

kaun baDhae pyar ki pengen us naT-khaT banjaran se
phirne ko to nagri nagri phirti hai harjai dhup

janam janam ke andhiyare ka jadu chhan mein TuT gaya
'sabir' aaj meri kuTiya mein chupke se dar aai dhup

(529) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kabhi Dahakti Kabhi Mahakti Kabhi Machalti Aai Dhup written by Nau Bahar Sabir at UrduPoint. Kabhi Dahakti Kabhi Mahakti Kabhi Machalti Aai Dhup is one of the masterpieces written by Nau Bahar Sabir. You can also find the complete poetry collection of Nau Bahar Sabir by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nau Bahar Sabir' above.

Kabhi Dahakti Kabhi Mahakti Kabhi Machalti Aai Dhup is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kabhi Dahakti Kabhi Mahakti Kabhi Machalti Aai Dhup, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.