Dur Ke Jalwon Ki Shadabi Ka Dil-dada Na Ho, Urdu Ghazal By Nau Bahar Sabir

Dur Ke Jalwon Ki Shadabi Ka Dil-dada Na Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nau Bahar Sabir. Dur Ke Jalwon Ki Shadabi Ka Dil-dada Na Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dur Ke Jalwon Ki Shadabi Ka Dil-dada Na Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دور کے جلووں کی شادابی کا دل دادہ نہ ہو

نوبہار صابر

دور کے جلووں کی شادابی کا دل دادہ نہ ہو

تو جسے دریا سمجھتا ہے کہیں صحرا نہ ہو

آئنہ کو ایک مدت ہو گئی دیکھے ہوئے

وہ جبین شوق جس پر سوچ کا سایہ نہ ہو

وہ بھی میرے پاس سے گزرا اسی انداز سے

میں نے بھی ظاہر کیا جیسے اسے دیکھا نہ ہو

اس طرف کیا طرفہ عالم ہے یہ کھل سکتا نہیں

آدمی کا قد اگر دیوار سے اونچا نہ ہو

مصلحت چاہے رہوں ڈالے تصنع کا نقاب

دوستی کی مانگ چہرے پر کوئی پردہ نہ ہو

دھوپ سے گھبرا کے بیٹھا تو ہے لیکن دیکھ لے

یہ کسی گرتی ہوئی دیوار کا سایہ نہ ہو

قہقہوں کی چھاؤں میں اک شخص بیٹھا ہے اداس

وہ بھی میری ہی طرح اس بھیڑ میں تنہا نہ ہو

صابرؔ ان مانوس گلیوں سے تو دل اکتا گیا

آ چلیں اس شہر میں پہلے جیسے دیکھا نہ ہو

نوبہار صابر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dur Ke Jalwon Ki Shadabi Ka Dil-dada Na Ho

Nau Bahar Sabir

dur ke jalwon ki shadabi ka dil-dada na ho
tu jise dariya samajhta hai kahin sahra na ho

aaine ko ek muddat ho gai dekhe hue
wo jabin-e-shauq jis par soch ka saya na ho

wo bhi mere pas se guzra usi andaz se
main ne bhi zahir kiya jaise use dekha na ho

is taraf kya turfa aalam hai ye khul sakta nahin
aadmi ka qad agar diwar se uncha na ho

maslahat chahe rahun Dale tasanno ka naqab
dosti ki mang chehre par koi parda na ho

dhup se ghabra ke baiTha to hai lekin dekh le
ye kisi girti hui diwar ka saya na ho

qahqahon ki chhanw mein ek shaKHs baiTha hai udas
wo bhi meri hi tarah is bhiD mein tanha na ho

'sabir' in manus galiyon se to dil ukta gaya
aa chalen is shahr mein pahle jaise dekha na ho

(533) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dur Ke Jalwon Ki Shadabi Ka Dil-dada Na Ho written by Nau Bahar Sabir at UrduPoint. Dur Ke Jalwon Ki Shadabi Ka Dil-dada Na Ho is one of the masterpieces written by Nau Bahar Sabir. You can also find the complete poetry collection of Nau Bahar Sabir by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nau Bahar Sabir' above.

Dur Ke Jalwon Ki Shadabi Ka Dil-dada Na Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dur Ke Jalwon Ki Shadabi Ka Dil-dada Na Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.