Na Hamari Hai Ye Urdu Na Tumhaari Urdu, Urdu Ghazal By Navak Lakhnavi

Na Hamari Hai Ye Urdu Na Tumhaari Urdu is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Navak Lakhnavi. Na Hamari Hai Ye Urdu Na Tumhaari Urdu comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Hamari Hai Ye Urdu Na Tumhaari Urdu on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ ہماری ہے یہ اردو نہ تمہاری اردو

ناوک لکھنوی

نہ ہماری ہے یہ اردو نہ تمہاری اردو

بلکہ ہر قوم کی ہے راج دلاری اردو

سر کئے اس نے اکیلے ہی ہزاروں میداں

کسی میدان میں اب تک نہیں ہاری اردو

اب بھی اسٹیج پہ بھاشن جو دیا جاتا ہے

بولتے اس میں بھی ہیں رام بہاری اردو

اس کو ہر ملک کا انسان سمجھ لیتا ہے

اس سے ہر شخص کو ہے آج بھی پیاری اردو

جو مخالف ہیں بظاہر انہیں معلوم نہیں

رات دن بولتی ہے ان کی کہاری اردو

پاک ہر عیب سے ہے اور بھی دامن اس کا

گنگا جمنا کے ہے پانی سے نکھاری اردو

کہیں غالبؔ کی ہیں نظمیں کہیں چکبست کی ہیں

شیخ و پنڈت نے ہے مل جل کے سنواری اردو

آج سناٹے میں کہتی ہے یہ بھارت ماتا

تم کو معلوم نہیں ہم کو ہے پیاری اردو

دوستوں کے لئے پیغام مسرت ہے مگر

دشمنوں کے لئے بے شک ہے کٹاری اردو

کوٹ پتلون پہن کر بھی نہ چھوڑی ہم نے

ہم نے کھدر کی بنا ڈالی ہے ساری اردو

نوجوانان‌‌ وطن سے ہے یہ ناوکؔ کا پیام

مرتے مرتے بھی زباں پر رہے جاری اردو

ناوک لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Hamari Hai Ye Urdu Na Tumhaari Urdu

Navak Lakhnavi

na hamari hai ye urdu na tumhaari urdu
balki har qaum ki hai raj-dulari urdu

sar kiye is ne akele hi hazaron maidan
kisi maidan mein ab tak nahin haari urdu

ab bhi stage pe bhashan jo diya jata hai
bolte is mein bhi hain ram bihaari urdu

is ko har mulk ka insan samajh leta hai
is se har shaKHs ko hai aaj bhi pyari urdu

jo muKHalif hain ba-zahir unhen malum nahin
raat din bolti hai un ki kahaari urdu

pak har aib se hai aur bhi daman is ka
ganga jamuna ke hai pani se nikhaari urdu

kahin 'ghaalib' ki hain nazmen kahin chakbast ki hain
sheKH-o-panDit ne hai mil-jul ke sanwari urdu

aaj sannaTe mein kahti hai ye bhaarat mata
tum ko malum nahin hum ko hai pyari urdu

doston ke liye paigham-e-masarrat hai magar
dushmanon ke liye be-shak hai kaTari urdu

coat patlun pahan kar bhi na chhoDi hum ne
hum ne khaddar ki bana Dali hai sari urdu

naujawanan-e-watan se hai ye 'nawak' ka payam
marte marte bhi zaban par rahe jari urdu

(667) ووٹ وصول ہوئے

You can read Na Hamari Hai Ye Urdu Na Tumhaari Urdu written by Navak Lakhnavi at UrduPoint. Na Hamari Hai Ye Urdu Na Tumhaari Urdu is one of the masterpieces written by Navak Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Navak Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Navak Lakhnavi' above.

Na Hamari Hai Ye Urdu Na Tumhaari Urdu is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Hamari Hai Ye Urdu Na Tumhaari Urdu, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.