Kabe Ki Aarzu Hai Na But-KHana Chahiye, Urdu Ghazal By Nawab Dehlvi

Kabe Ki Aarzu Hai Na But-KHana Chahiye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nawab Dehlvi. Kabe Ki Aarzu Hai Na But-KHana Chahiye comes under the Sufi category of Urdu Ghazal. You can read Kabe Ki Aarzu Hai Na But-KHana Chahiye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کعبے کی آرزو ہے نہ بت خانہ چاہئے

نواب دہلوی

کعبے کی آرزو ہے نہ بت خانہ چاہئے

مے خانہ چاہئے در جانانہ چاہئے

ایماں کے امتیاز کا آئینہ کفر ہے

کعبے کے متصل ہی صنم خانہ چاہئے

وحشت ہے اور عشق جنوں خیز اور ہے

زنجیر زلف کی پئے دیوانہ چاہئے

یکسوئیے خیال ہے آبادیوں سے دور

دیوانگان عشق کو ویرانہ چاہئے

تم جس جگہ ہو کیوں نہ ہو میرا وہاں گزر

ہر انجمن میں شمع کو پروانہ چاہئے

مے خوار پاؤں رکھنے لگے ہیں سنبھال کر

ساقی پھر ان کو لغزش مستانہ چاہئے

مے سے غرض نہ ساغر و مینا سے واسطہ

تیری نشیلی آنکھ کا پیمانہ چاہئے

ساقی کے دست فیض نے انساں بنا دیا

اے شیخ ادائے سجدۂ شکرانہ چاہئے

وا باب مے کدہ بھی ہے بادہ بھی جام بھی

نوابؔ صرف جرأت رندانہ چاہئے

نواب دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kabe Ki Aarzu Hai Na But-KHana Chahiye

Nawab Dehlvi

kabe ki aarzu hai na but-KHana chahiye
mai-KHana chahiye dar-e-jaanana chahiye

iman ke imtiyaz ka aaina kufr hai
kabe ke muttasil hi sanam-KHana chahiye

wahshat hai aur ishq-e-junun-KHez aur hai
zanjir zulf ki pa-e-diwana chahiye

yaksui-e-KHayal hai aabaadiyon se dur
diwangan-e-ishq ko virana chahiye

tum jis jagah ho kyon na ho mera wahan guzar
har anjuman mein shama ko parwana chahiye

mai-KHwar panw rakhne lage hain sanbhaal kar
saqi phir un ko laghzish-e-mastana chahiye

mai se gharaz na saghar-o-mina se wasta
teri nashili aankh ka paimana chahiye

saqi ke dast-e-faiz ne insan bana diya
ai shaiKH ada-e-sajda-e-shukrana chahiye

wa bab-e-mai-kada bhi hai baada bhi jam bhi
'nawwab' sirf jurat-e-rindana chahiye

(470) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kabe Ki Aarzu Hai Na But-KHana Chahiye written by Nawab Dehlvi at UrduPoint. Kabe Ki Aarzu Hai Na But-KHana Chahiye is one of the masterpieces written by Nawab Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Nawab Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nawab Dehlvi' above.

Kabe Ki Aarzu Hai Na But-KHana Chahiye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kabe Ki Aarzu Hai Na But-KHana Chahiye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sufi Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.