Kab Juda Hai Mujhse Dilbar Kab Main Dilbar Se Juda, Urdu Ghazal By Nawab Nazeer Al Daula

Kab Juda Hai Mujhse Dilbar Kab Main Dilbar Se Juda is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nawab Nazeer Al Daula. Kab Juda Hai Mujhse Dilbar Kab Main Dilbar Se Juda comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kab Juda Hai Mujhse Dilbar Kab Main Dilbar Se Juda on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کب جدا ہے مجھ سے دلبر کب میں دلبر سے جدا

نواب نظیر الدولہ

کب جدا ہے مجھ سے دلبر کب میں دلبر سے جدا

ہو نہ گوہر آب سے اور آب گوہر سے جدا

روح تن سے جاں بدن سے ہوش ہے سر سے جدا

کیا کشاکش میں پھنسا ہوں جب سے دلبر سے جدا

ہو گئی برباد مٹی مل گیا میں خاک میں

جب ہوا نقش قدم کی طرح اس در سے جدا

حشر میں کس کی گریباں گیر ہوگی اے خدا

کیوں ہوئی خاک اپنی دامان ستم گر سے جدا

کیا ہی طالع کا ستارہ ہے نحوست میں مرا

ہو گیا وہ ماہ جیسے مجھ بد اختر سے جدا

لخت دل آگے چلا پیچھے رواں ہے فوج اشک

ہو نہیں سکتا یہ لشکر اپنے افسر سے جدا

جاگنے سے غیر کے ہمدم کہیں کیا رات بھر

ہم کو وہ ترسے جدا اور ان کو ہم ترسے جدا

جوش پر ہے چشم تر وحشت نہ لے جا سوئے دشت

موسم بارش میں ہم ہوں کس طرح گھر سے جدا

کب بچے جب بحر شور افزا میں اک طفل صغیر

ہو تلاطم میں کہیں دست شناور سے جدا

پائے وہ قعر جہنم میں جگہ اپنی وہاں

یاں ہو جس کا ہاتھ دامان پیمبر سے جدا

گرچہ ہے کم فرصتی دولہؔ غزل کہہ اور بھی

ان دنوں از بس ہے تو شوخ ستم گر سے جدا

نواب نظیر الدولہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kab Juda Hai Mujhse Dilbar Kab Main Dilbar Se Juda

Nawab Nazeer Al Daula

kab juda hai mujh se dilbar kab main dilbar se juda
ho na gauhar aab se aur aab gauhar se juda

ruh tan se jaan badan se hosh hai sar se juda
kya kashakash mein phansa hun jab se dilbar se juda

ho gai barbaad miTTi mil gaya main KHak mein
jab hua naqsh-e-qadam ki tarah us dar se juda

hashr mein kis ki gareban-gir hogi ai KHuda
kyon hui KHak apni daman-e-sitamgar se juda

kya hi talea ka sitara hai nahusat mein mera
ho gaya wo mah jaise mujh bad-aKHtar se juda

laKHt-e-dil aage chala pichhe rawan hai fauj-e-ashk
ho nahin sakta ye lashkar apne afsar se juda

jagne se ghair ke hamdam kahen kya raat bhar
hum ko wo tarse juda aur un ko hum tarse juda

josh par hai chashm-e-tar wahshat na le ja soe dasht
mausam-e-barish mein hum hon kis tarah ghar se juda

kab bache jab bahr-e-shor-afza mein ek tifl-e-saghir
ho talatum mein kahin dast-e-shanawar se juda

pae wo qar-e-jahannum mein jagah apni wahan
yan ho jis ka hath daman-e-payambar se juda

garche hai kam-fursati 'daula' ghazal kah aur bhi
in dinon az-bas hai tu shoKH-e-sitamgar se juda

(348) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kab Juda Hai Mujhse Dilbar Kab Main Dilbar Se Juda written by Nawab Nazeer Al Daula at UrduPoint. Kab Juda Hai Mujhse Dilbar Kab Main Dilbar Se Juda is one of the masterpieces written by Nawab Nazeer Al Daula. You can also find the complete poetry collection of Nawab Nazeer Al Daula by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nawab Nazeer Al Daula' above.

Kab Juda Hai Mujhse Dilbar Kab Main Dilbar Se Juda is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kab Juda Hai Mujhse Dilbar Kab Main Dilbar Se Juda, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.