Ab To Muqabla Hai RuKH-o-zulf-e-yar Mein, Urdu Ghazal By Nawab Nazeer Al Daula

Ab To Muqabla Hai RuKH-o-zulf-e-yar Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nawab Nazeer Al Daula. Ab To Muqabla Hai RuKH-o-zulf-e-yar Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ab To Muqabla Hai RuKH-o-zulf-e-yar Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اب تو مقابلہ ہے رخ و زلف یار میں

نواب نظیر الدولہ

اب تو مقابلہ ہے رخ و زلف یار میں

ہے فصل کا مباحثہ لیل و نہار میں

ممکن نہیں ہے فصل رخ و زلف یار میں

کب انفصال ہو سکے لیل و نہار میں

جس کو غرض ہو جائے وہ توبہ کی چھاؤں میں

بیٹھا ہوں میں تو سایۂ دیوار یار میں

جس قافلہ میں ساتھ ہو محمل نشیں مرا

لیلیٰ وہاں کہاں ہو شمار و قطار میں

مشہور تو ہیں وامق و فرہاد و قیس و نل

مجھ سا نہیں ہے ایک بھی ان تین چار میں

اس سنگ دل کو ہے وہی اغماض گو یہاں

جائے پھڑک کے جان نکل انتظار میں

قاصد جو پھر کے آئے تو پھر تن میں جان آئے

مرتا جواب نامہ کے ہوں انتظار میں

بے ہوش کرتا ہے ترا کہنا یہ ناز سے

مجھ کو نہ چھیڑ نیند کے ہوں میں خمار میں

خورشید کی طرح میں سراپا ہوں ایک داغ

داغوں کی اور جا نہیں اس جسم زار میں

ایذا ہے سائلوں سے مدام اہل فیض کو

پتھر لگاتے ہیں شجر میوہ دار میں

دولہؔ غزل اک اور سنا اس زمین میں

باقی ہے جوش بھی تو دل بے قرار میں

نواب نظیر الدولہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ab To Muqabla Hai RuKH-o-zulf-e-yar Mein

Nawab Nazeer Al Daula

ab to muqabla hai ruKH-o-zulf-e-yar mein
hai fasl ka mubahisa lail-o-nahaar mein

mumkin nahin hai fasl ruKH-o-zulf-e-yar mein
kab infisal ho sake lail-o-nahaar mein

jis ko gharaz ho jae wo tauba ki chhanw mein
baiTha hun main to saya-e-diwar-e-yar mein

jis qafile mein sath ho mahmil-nashin mera
laila wahan kahan ho shumar-o-qatar mein

mashhur to hain wamiq-o-farhad-o-qais-o-nal
mujh sa nahin hai ek bhi in tin chaar mein

us sang-dil ko hai wahi aghmaz go yahan
jae phaDak ke jaan nikal intizar mein

qasid jo phir ke aae to phir tan mein jaan aae
marta jawab-e-nama ke hun intizar mein

behosh karta hai tera kahna ye naz se
mujh ko na chheD nind ke hun main KHumar mein

KHurshid ki tarah main sarapa hun ek dagh
daghon ki aur ja nahin is jism-e-zar mein

iza hai sailon se mudam ahl-e-faiz ko
patthar lagate hain shajar-e-mewa-dar mein

'daula' ghazal ek aur suna is zamin mein
baqi hai josh bhi to dil-e-be-qarar mein

(497) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ab To Muqabla Hai RuKH-o-zulf-e-yar Mein written by Nawab Nazeer Al Daula at UrduPoint. Ab To Muqabla Hai RuKH-o-zulf-e-yar Mein is one of the masterpieces written by Nawab Nazeer Al Daula. You can also find the complete poetry collection of Nawab Nazeer Al Daula by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nawab Nazeer Al Daula' above.

Ab To Muqabla Hai RuKH-o-zulf-e-yar Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ab To Muqabla Hai RuKH-o-zulf-e-yar Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.