Zawal-e-azmat-e-insan Ka Marsiya Hun Main, Urdu Ghazal By Naz Qadri

Zawal-e-azmat-e-insan Ka Marsiya Hun Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naz Qadri. Zawal-e-azmat-e-insan Ka Marsiya Hun Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zawal-e-azmat-e-insan Ka Marsiya Hun Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زوال عظمت انساں کا مرثیہ ہوں میں

ناز قادری

زوال عظمت انساں کا مرثیہ ہوں میں

سر کشیدہ پہ دستار بے انا ہوں میں

سگ زمانہ سے آگے نکل گیا ہوں میں

اب اپنے سامنے تنہا کھڑا ہوا ہوں میں

مرے وجود میں در آیا کیسا سناٹا

کہ ریگ زار میں گم گشتہ اک صدا ہوں میں

ڈبو نہ دے کہیں مجھ کو بھی تشنگی کا سفر

کہ ریگ ریگ سرابوں کا سلسلہ ہوں میں

ادھر سے ہو کے کوئی مہرباں ہوا گزرے

دیار حبس میں صدیوں سے گھٹ رہا ہوں میں

جسے ملی ہے سزا حرف حق سنانے کی

صلیب لب پہ وہ ٹھہری ہوئی صدا ہوں میں

کھڑا ہوا ہوں حریفوں میں سر جھکائے ہوئے

کہ اپنے آپ سے اب کے بہت جدا ہوں میں

نہ کوئی عکس منور نہ منظر خوش رنگ

یہ کیسے خواب کے بستر پہ سو رہا ہوں میں

عجیب آندھی ہے یہ جسم و جاں کی آندھی بھی

مجھے سنبھال بکھرنے سے ڈر رہا ہوں میں

کبھی نہ چھو سکی باب اثر دعا میری

عجیب قہر مسلسل میں مبتلا ہوں میں

مجھے برسنے کی توفیق دے مرے اللہ

کہ ابر بن کے زمانے پہ چھا گیا ہوں میں

نہ چھو سکی مجھے حرص و ہوس کی پرچھائیں

خدا کا شکر قناعت سے آشنا ہوں میں

رفوگران ہنر نازؔ بے نمک تھے مگر

پھر اپنے زخم کو شاداب دیکھتا ہوں میں

ناز قادری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zawal-e-azmat-e-insan Ka Marsiya Hun Main

Naz Qadri

zawal-e-azmat-e-insan ka marsiya hun main
sar-e-kashida pe dastar-e-be-ana hun main

sag-e-zamana se aage nikal gaya hun main
ab apne samne tanha khaDa hua hun main

mere wajud mein dar aaya kaisa sannaTa
ki reg-zar mein gum-gashta ek sada hun main

Dubo na de kahin mujh ko bhi tishnagi ka safar
ki reg reg sarabon ka silsila hun main

idhar se ho ke koi mehrban hawa guzre
dayar-e-habs mein sadiyon se ghuT raha hun main

jise mili hai saza harf-e-haq sunane ki
salib-e-lab pe wo Thahri hui sada hun main

khaDa hua hun harifon mein sar jhukae hue
ki apne aap se ab ke bahut juda hun main

na koi aks-e-munawwar na manzar-e-KHush-rang
ye kaise KHwab ke bistar pe so raha hun main

ajib aandhi hai ye jism-o-jaan ki aandhi bhi
mujhe sambhaal bikharne se Dar raha hun main

kabhi na chhu saki bab-e-asar dua meri
ajib qahr-e-musalsal mein mubtala hun main

mujhe barasne ki taufiq de mere allah
ki abr ban ke zamane pe chha gaya hun main

na chhu saki mujhe hirs-o-hawas ki parchhain
KHuda ka shukr qanaat se aashna hun main

rafugaran-e-hunar 'naz' be-namak the magar
phir apne zaKHm ko shadab dekhta hun main

(661) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zawal-e-azmat-e-insan Ka Marsiya Hun Main written by Naz Qadri at UrduPoint. Zawal-e-azmat-e-insan Ka Marsiya Hun Main is one of the masterpieces written by Naz Qadri. You can also find the complete poetry collection of Naz Qadri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naz Qadri' above.

Zawal-e-azmat-e-insan Ka Marsiya Hun Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zawal-e-azmat-e-insan Ka Marsiya Hun Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.