Bahaaron Ki Tarah Dar Bolta Hai, Urdu Ghazal By Nazeer Meeruthy

Bahaaron Ki Tarah Dar Bolta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazeer Meeruthy. Bahaaron Ki Tarah Dar Bolta Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Bahaaron Ki Tarah Dar Bolta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بہاروں کی طرح در بولتا ہے

نظیر میرٹھی

بہاروں کی طرح در بولتا ہے

کوئی آ جائے تو گھر بولتا ہے

کبھی دیتا ہے نامہ بر بھی دستک

کبھی چھت پر کبوتر بولتا ہے

یہ دریا پیڑ پودے اور جھرنے

ہر اک وادی کا منظر بولتا ہے

تراشا ہے اسے میں نے ہنر سے

مرے ہاتھوں کا پتھر بولتا ہے

ادب والے سخن کہتے ہیں اس کو

یہ جادو سر پہ چڑھ کر بولتا ہے

تپایا ہے بہت محنت سے اس کو

یہ سونا بھی نکھر کر بولتا ہے

جہاں سے ہاتھ خالی جائیں گے سب

یہ اک جملہ سکندر بولتا ہے

سفارش کا بھروسہ بھی نہیں ہے

مگر پیسہ برابر بولتا ہے

نظیرؔ میرٹھی ہو بات کڑوی

تو گونگا بھی پلٹ کر بولتا ہے

نظیر میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bahaaron Ki Tarah Dar Bolta Hai

Nazeer Meeruthy

bahaaron ki tarah dar bolta hai
koi aa jae to ghar bolta hai

kabhi deta hai nama-bar bhi dastak
kabhi chhat par kabutar bolta hai

ye dariya peD-paude aur jharne
har ek wadi ka manzar bolta hai

tarasha hai use main ne hunar se
mere hathon ka patthar bolta hai

adab wale suKHan kahte hain us ko
ye jadu sar pe chaDh kar bolta hai

tapaya hai bahut mehnat se us ko
ye sona bhi nikhar kar bolta hai

jahan se hath KHali jaenge sab
ye ek jumla sikandar bolta hai

sifarish ka bharosa bhi nahin hai
magar paisa barabar bolta hai

'nazir-e-merThi' ho baat kaDwi
to gunga bhi palaT kar bolta hai

(590) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bahaaron Ki Tarah Dar Bolta Hai written by Nazeer Meeruthy at UrduPoint. Bahaaron Ki Tarah Dar Bolta Hai is one of the masterpieces written by Nazeer Meeruthy. You can also find the complete poetry collection of Nazeer Meeruthy by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazeer Meeruthy' above.

Bahaaron Ki Tarah Dar Bolta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bahaaron Ki Tarah Dar Bolta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.