Jhelum Ke Kinare, Urdu Nazam By Nazeer Mirza Barlas

Jhelum Ke Kinare is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Nazeer Mirza Barlas. Jhelum Ke Kinare comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Jhelum Ke Kinare on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جہلم کے کنارے

نظیر مرزا برلاس

موجوں کی جوانی میں تلاطم ہے ابھی تک

سیلاب ہوا شورشوں میں گم ہے ابھی تک

بہتے چلے جاتے ہیں یہ مہکے ہوئے دھارے

کرتے ہیں اشارے

ہنستے ہیں نظارے

آباد ہیں اب تک میرے جہلم کے کنارے

اب تک اسی انداز سے ہنستی ہیں فضائیں

اب تک اسی خوشبو سے مہکتی ہیں ہوائیں

آتی ہیں اسی طور گھٹا ٹوپ گھٹائیں

اب تک اسی ماحول میں پلتے ہیں نظارے

چاند اور ستارے

یہ نور کے پارے

آباد ہیں اب تک مرے جہلم کے کنارے

پنگھٹ پہ جواں لڑکیاں آتی ہیں ابھی تک

پریوں کی طرح ناچتی گاتی ہیں ابھی تک

ہنستا ہوا ماحول بساتی ہیں ابھی تک

آنکھوں میں جھلکتے ہیں جوانی کے شرارے

رنگین ستارے

معصوم اشارے

آباد ہیں اب تک مرے جہلم کے کنارے

جامن کے درختوں کی وہی چھاؤں گھنیری

اور ان سے ذرا ہٹ کے مرے کھیت کی بیری

رومان کی دنیا ابھی محفوظ ہے میری

ان سایوں تلے ہم نے کئی پہر گزارے

بستی سے کنارے

کیا دن تھے ہمارے

آباد ہیں اب تک مرے جہلم کے کنارے

دنیا نے نہ دیکھا مرا رنگین فسانہ

جہلم کو مگر یاد ہے شاعر کا فسانہ

پروان چڑھا ہوں انہیں موجوں کے سہارے

دیکھے ہیں نظارے

ہیں ذہن میں سارے

آباد ہیں اب تک مرے جہلم کے کنارے

نظیر مرزا برلاس

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jhelum Ke Kinare

Nazeer Mirza Barlas

maujon ki jawani mein talatum hai abhi tak
sailab-e-hawa shorishon mein gum hai abhi tak
bahte chale jate hain ye mahke hue dhaare
karte hain ishaare
hanste hain nazare
aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare
ab tak usi andaz se hansti hain fazaen
ab tak usi KHushbu se mahakti hain hawaen
aati hain usi taur ghaTa-Top ghaTaen
ab tak usi mahaul mein palte hain nazare
chand aur sitare
ye nur ke pare
aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare
panghaT pe jawan laDkiyan aati hain abhi tak
pariyon ki tarah nachti gati hain abhi tak
hansta hua mahaul basati hain abhi tak
aankhon mein jhalakte hain jawani ke sharare
rangin sitare
masum ishaare
aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare
jamun ke daraKHton ki wahi chhanw ghaneri
aur un se zara haT ke mere khet ki beri
ruman ki duniya abhi mahfuz hai meri
in sayon tale hum ne kai pahr guzare
basti se kinare
kya din the hamare
aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare
duniya ne na dekha mera rangin fasana
jhelum ko magar yaad hai shaer ka fasana
parwan chaDha hun inhin maujon ke sahaare
dekhe hain nazare
hain zehn mein sare
aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare

(729) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jhelum Ke Kinare written by Nazeer Mirza Barlas at UrduPoint. Jhelum Ke Kinare is one of the masterpieces written by Nazeer Mirza Barlas. You can also find the complete poetry collection of Nazeer Mirza Barlas by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazeer Mirza Barlas' above.

Jhelum Ke Kinare is a widely read Urdu Nazam. If you like Jhelum Ke Kinare, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.