Gar Dosto Tumne Use Dekha Nahin Hota, Urdu Ghazal By Nizam Rampuri

Gar Dosto Tumne Use Dekha Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nizam Rampuri. Gar Dosto Tumne Use Dekha Nahin Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gar Dosto Tumne Use Dekha Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گر دوستو تم نے اسے دیکھا نہیں ہوتا

نظام رامپوری

گر دوستو تم نے اسے دیکھا نہیں ہوتا

کہنے کا تمہارے مجھے شکوا نہیں ہوتا

گر کہیے کہ جی ملنے کو تیرا نہیں ہوتا

کہتا ہے کہ ہاں ہاں نہیں ہوتا نہیں ہوتا

قاصد کے بھی گر آنے کی امید نہ ہوتی

اک دم بھی تو جینے کا بھروسا نہیں ہوتا

یوں ہی سہی ہم ہجر میں مر جاتے بلا سے

بس اور تو کچھ اس سے زیادہ نہیں ہوتا

کیوں کہتے ہو تم مجھ سے کہ آنا نہیں منظور

یہ کس لیے کہتے ہو کہ آنا نہیں ہوتا

گو غیر برائی سے کریں ذکر ہمارا

اتنا بھی تو واں ذکر ہمارا نہیں ہوتا

لب تک بھی کبھی حرف تمنا نہیں آیا

ایسا کوئی محروم تمنا نہیں ہوتا

بیماریٔ ہجراں سے تو مرنا ہی بھلا تھا

اچھا جو میں ہوتا تو کچھ اچھا نہیں ہوتا

گر غیر سے کچھ تم کو محبت نہیں ہوتی

تو ہم کو یہ رشک قلق افزا نہیں ہوتا

یہ سچ ہے کہ تم آؤ گے پر دل کو کروں کیا

کہنے کا یقیں آپ کے اصلا نہیں ہوتا

ہوتا ہے وہ سب کچھ جو سنا ہو کبھی تم نے

اک تیرے نہ ہونے سے یہاں کیا نہیں ہوتا

اب سمجھے کہ یوں ہم کو بلاتے نہ کبھی تم

گر آپ کی محفل کا یہ نقشا نہیں ہوتا

گو جھوٹ ہو دھوکا ہو تسلی تو ہے دل کو

ہوتا ہے قلق اور جو وعدہ نہیں ہوتا

مقبول تمنا تو نظامؔ اپنی کہاں ہو

مقبول وہاں عذر تمنا نہیں ہوتا

نظام رامپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gar Dosto Tumne Use Dekha Nahin Hota

Nizam Rampuri

gar dosto tum ne use dekha nahin hota
kahne ka tumhaare mujhe shikwa nahin hota

gar kahiye ki ji milne ko tera nahin hota
kahta hai ki han han nahin hota nahin hota

qasid ke bhi gar aane ki ummid na hoti
ek dam bhi to jine ka bharosa nahin hota

yunhi sahi hum hijr mein mar jate bala se
bas aur to kuchh is se ziyaada nahin hota

kyun kahte ho tum mujh se ki aana nahin manzur
ye kis liye kahte ho ki aana nahin hota

go ghair burai se karen zikr hamara
itna bhi to wan zikr hamara nahin hota

lab tak bhi kabhi harf-e-tamanna nahin aaya
aisa koi mahrum-e-tamanna nahin hota

bimari-e-hijran se to marna hi bhala tha
achchha jo main hota to kuchh achchha nahin hota

gar ghair se kuchh tum ko mohabbat nahin hoti
to hum ko ye rashk-e-qalaq-afza nahin hota

ye sach hai ki tum aaoge par dil ko karun kya
kahne ka yaqin aap ke asla nahin hota

hota hai wo sab kuchh jo suna ho kabhi tum ne
ek tere na hone se yahan kya nahin hota

ab samjhe ki yun hum ko bulate na kabhi tum
gar aap ki mahfil ka ye naqsha nahin hota

go jhuT ho dhoka ho tasalli to hai dil ko
hota hai qalaq aur jo wada nahin hota

maqbul tamanna to 'nizam' apni kahan ho
maqbul wahan uzr-e-tamanna nahin hota

(412) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gar Dosto Tumne Use Dekha Nahin Hota written by Nizam Rampuri at UrduPoint. Gar Dosto Tumne Use Dekha Nahin Hota is one of the masterpieces written by Nizam Rampuri. You can also find the complete poetry collection of Nizam Rampuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nizam Rampuri' above.

Gar Dosto Tumne Use Dekha Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gar Dosto Tumne Use Dekha Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.