Shab To Wo Yan Se RuTh Ke Ghar Ja Ke So Rahe, Urdu Ghazal By Nizam Rampuri

Shab To Wo Yan Se RuTh Ke Ghar Ja Ke So Rahe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nizam Rampuri. Shab To Wo Yan Se RuTh Ke Ghar Ja Ke So Rahe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shab To Wo Yan Se RuTh Ke Ghar Ja Ke So Rahe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شب تو وہ یاں سے روٹھ کے گھر جا کے سو رہے

نظام رامپوری

شب تو وہ یاں سے روٹھ کے گھر جا کے سو رہے

ہم تنگ آ کے جان سے کچھ کھا کے سو رہے

پہلے تو کچھ وہ آتے ہی شرما کے سو رہے

پھر لطف اٹھے جو ہم انہیں چونکا کے سو رہے

کیا میں شب وصال میں گھڑیاں گنا کروں

کروٹ بدل کے کیوں مجھے چونکا کے سو رہے

اپنی کہی نہ میری سنی شام ہی سے وہ

سینہ چھپا کے ہاتھوں سے شرما کے سو رہے

کچھ میری جاں کنی کا نہ آیا تمہیں خیال

مجھ کو نہ ساتھ سونے کو فرما کے سو رہے

ہم بیٹھے آنکھیں دیکھتے ہیں منہ کو تکتے ہیں

باتوں میں وہ تو ٹال کے بہلا کے سو رہے

مجھ کو اٹھا کے نیچی نگاہوں سے دیکھ کر

کچھ دل میں سوچ سوچ کے پچھتا کے سو رہے

ان سے شب وصال میں حجت جو بڑھ گئی

کچھ دل میں سوچ سوچ کے پچھتا کے سو رہے

ہم کیوں بتائیں ہم نے بھی کی صبح جس طرح

شب تم تو جاگنے کی قسم کھا کے سو رہے

اے بخت خفتہ! اتنی ہی تاثیر تو دکھا

اس کی گلی میں پاؤں مرا جا کے سو رہے

تا صبح مجھ کو مارے خوشی کے نہ آئی نیند

اک ایسی بات وہ مجھے سمجھا کے سو رہے

اے دل یہ کیا ہوا تری باتوں نے کیا کیا

منہ پھیر کے ادھر کو وہ تنگ آ کے سو رہے

سوتوں میں جان ڈال کے انگڑائیاں نہ لو

جاگے ہوئے ہو شب کے جو یاں آ کے سو رہے

اک دم کو چونکوں شوق سے پھر سوؤں صبح تک

اس بات کو زبان ہی پر لا کے سو رہے

یہ چھیڑ دیکھو میرے نہ سونے کے واسطے

انداز اک نیا مجھے دکھلا کے سو رہے

امید خواب میں بھی نہ یوں دیکھنے کی تھی

جس پیار سے وہ شب مجھے لپٹا کے سو رہے

چھوڑا ہے میں نے رات نہ گھر جانے کو انہیں

جب کچھ نہ بس چلا تو وہ جھنجھلا کے سو رہے

میں سونے دوں گا آپ کو کب چین سے بھلا

ہے یہ تو خوب تم مجھے پھسلا کے سو رہے

اچھا میں پاؤں دابوں پہ تم جاگتے رہو

یوں کون مانے ہے مجھے بہلا کے سو رہے

کیا سونے جاگنے کا نہیں ہم کو امتیاز

کروٹ بدل کے آپ جو مچلا کے سو رہے

ہے کون سی وہ شب جو سحر تک نہ جاگے ہم

کس دن نہ آپ غیر کے گھر جا کے سو رہے

ہے بخت خفتہ اور شب تنہائی اور ہم

جاگیں نصیب ساتھ جو وہ آ کے سو رہے

منظور تھا گھٹانا جو عشرت کی رات کا

چوٹی وہ اپنی مجھ سے ہی بندھوا کے سو رہے

فرقت کی شب میں جاگنے سے فائدہ نظامؔ

بہتر ہے اس سے گر کوئی کچھ کھا کے سو رہے

نظام رامپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shab To Wo Yan Se RuTh Ke Ghar Ja Ke So Rahe

Nizam Rampuri

shab to wo yan se ruTh ke ghar ja ke so rahe
hum tang aa ke jaan se kuchh kha ke so rahe

pahle to kuchh wo aate hi sharma ke so rahe
phir lutf uThe jo hum unhen chaunka ke so rahe

kya main shab-e-visal mein ghaDiyan gina karun
karwaT badal ke kyun mujhe chaunka ke so rahe

apni kahi na meri suni sham hi se wo
sina chhupa ke hathon se sharma ke so rahe

kuchh meri jaan-kani ka na aaya tumhein KHayal
mujh ko na sath sone ko farma ke so rahe

hum baiThe aankhen dekhte hain munh ko takte hain
baaton mein wo to Tal ke bahla ke so rahe

mujh ko uTha ke nichi nigahon se dekh kar
kuchh dil mein soch soch ke pachhta ke so rahe

un se shab-e-visal mein hujjat jo baDh gai
kuchh dil mein soch soch ke pachhta ke so rahe

hum kyun bataen hum ne bhi ki subh jis tarah
shab tum to jagne ki qasam kha ke so rahe

ai baKHt-e-KHufta! itni hi tasir tu dikha
us ki gali mein panw mera ja ke so rahe

ta-subh mujh ko mare KHushi ke na aai nind
ek aisi baat wo mujhe samjha ke so rahe

ai dil ye kya hua teri baaton ne kya kiya
munh pher ke udhar ko wo tang aa ke so rahe

soton mein jaan Dal ke angDaiyan na lo
jage hue ho shab ke jo yan aa ke so rahe

ek dam ko chaukun shauq se phir soun subh tak
is baat ko zaban hi par la ke so rahe

ye chheD dekho mere na sone ke waste
andaz ek naya mujhe dikhla ke so rahe

ummid KHwab mein bhi na yun dekhne ki thi
jis pyar se wo shab mujhe lipTa ke so rahe

chhoDa hai main ne raat na ghar jaane ko unhen
jab kuchh na bas chala to wo jhunjhla ke so rahe

main sone dunga aap ko kab chain se bhala
hai ye to KHub tum mujhe phusla ke so rahe

achchha main panw dabun pa tum jagte raho
yun kaun mane hai mujhe bahla ke so rahe

kya sone jagne ka nahin hum ko imtiyaz
karwaT badal ke aap jo machla ke so rahe

hai kaun si wo shab jo sahar tak na jage hum
kis din na aap ghair ke ghar ja ke so rahe

hai baKHt-e-KHufta aur shab-e-tanhai aur hum
jagen nasib sath jo wo aa ke so rahe

manzur tha ghaTana jo ishrat ki raat ka
choTi wo apni mujh se hi bandhwa ke so rahe

furqat ki shab mein jagne se faeda 'nizam'
behtar hai is se gar koi kuchh kha ke so rahe

(385) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shab To Wo Yan Se RuTh Ke Ghar Ja Ke So Rahe written by Nizam Rampuri at UrduPoint. Shab To Wo Yan Se RuTh Ke Ghar Ja Ke So Rahe is one of the masterpieces written by Nizam Rampuri. You can also find the complete poetry collection of Nizam Rampuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nizam Rampuri' above.

Shab To Wo Yan Se RuTh Ke Ghar Ja Ke So Rahe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shab To Wo Yan Se RuTh Ke Ghar Ja Ke So Rahe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.