Tasawwur Aap Ka Hai Aur Main Hun, Urdu Ghazal By Nizam Rampuri

Tasawwur Aap Ka Hai Aur Main Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nizam Rampuri. Tasawwur Aap Ka Hai Aur Main Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tasawwur Aap Ka Hai Aur Main Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تصور آپ کا ہے اور میں ہوں

نظام رامپوری

تصور آپ کا ہے اور میں ہوں

یہی اب مشغلا ہے اور میں ہوں

مری ضد سے ملا پھر دشمنوں سے

بس اب وہ بے وفا ہے اور میں ہوں

وہ ہو اور میں ہوں اور کوئی نہ ہو غیر

یہی ہر دم دعا ہے اور میں ہوں

تصور میں ہیں پہروں ان سے باتیں

شکایت کا مزا ہے اور میں ہوں

تمہاری خو ہے رنجش ہر گھڑی کی

یہ جھگڑا روز کا ہے اور میں ہوں

الٰہی وصل ہے یا خواب ہے یہ

حصول مدعا ہے اور میں ہوں

ہزاروں غم تو دیکھے اس سے مل کر

وہی پھر حوصلا ہے اور میں ہوں

سہے کیا کیا ستم اور اب تلک بھی

تمنا ہے وفا ہے اور میں ہوں

گئے وہ تو جہاں جانا تھا ان کو

اب ان کا نقش پا ہے اور میں ہوں

ہر اک سے حال دل کہتا ہوں اپنا

یہ چرچا جا بہ جا ہے اور میں ہوں

دو عالم کی خوشی سے کچھ نہیں کام

فقط اک غم ترا ہے اور میں ہوں

وہ ہے اور عہد نامے ہیں عدو سے

نصیبوں کا لکھا ہے اور میں ہوں

غم دوری قیامت ہے کہ ہر دم

اجل کا سامنا ہے اور میں ہوں

خدا کی جنتیں ہیں اور ہے خلق

صنم کوچہ ترا ہے اور میں ہوں

سحر ہوتے ہی جاتے ہی کسی کے

وہی آہ و بکا ہے اور میں ہوں

نظامؔ اس بت کے غم میں ہو تسلی

بس اک ذات خدا ہے اور میں ہوں

نظام رامپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tasawwur Aap Ka Hai Aur Main Hun

Nizam Rampuri

tasawwur aap ka hai aur main hun
yahi ab mashghala hai aur main hun

meri zid se mila phir dushmanon se
bas ab wo bewafa hai aur main hun

wo ho aur main hun aur koi na ho ghair
yahi har-dam dua hai aur main hun

tasawwur mein hain pahron un se baaten
shikayat ka maza hai aur main hun

tumhaari KHu hai ranjish har ghaDi ki
ye jhagDa roz ka hai aur main hun

ilahi wasl hai ya KHwab hai ye
husul-e-muddaa hai aur main hun

hazaron gham to dekhe us se mil kar
wahi phir hausla hai aur main hun

sahe kya kya sitam aur ab talak bhi
tamanna hai wafa hai aur main hun

gae wo to jahan jaana tha un ko
ab un ka naqsh-e-pa hai aur main hun

har ek se haal-e-dil kahta hun apna
ye charcha ja-ba-ja hai aur main hun

do aalam ki KHushi se kuchh nahin kaam
faqat ek gham tera hai aur main hun

wo hai aur ahd-name hain adu se
nasibon ka likha hai aur main hun

gham-e-duri qayamat hai ki har-dam
ajal ka samna hai aur main hun

KHuda ki jannaten hain aur hai KHalq
sanam kucha tera hai aur main hun

sahar hote hi jate hi kisi ke
wahi aah-o-buka hai aur main hun

'nizam' us but ke gham mein ho tasalli
bas ek zat-e-KHuda hai aur main hun

(441) ووٹ وصول ہوئے

You can read Tasawwur Aap Ka Hai Aur Main Hun written by Nizam Rampuri at UrduPoint. Tasawwur Aap Ka Hai Aur Main Hun is one of the masterpieces written by Nizam Rampuri. You can also find the complete poetry collection of Nizam Rampuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nizam Rampuri' above.

Tasawwur Aap Ka Hai Aur Main Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tasawwur Aap Ka Hai Aur Main Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.