Jaan-bazon Ke Lab Par Bhi Ab Aish Ka Nam Aaya, Urdu Ghazal By Nushur Wahidi

Jaan-bazon Ke Lab Par Bhi Ab Aish Ka Nam Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nushur Wahidi. Jaan-bazon Ke Lab Par Bhi Ab Aish Ka Nam Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jaan-bazon Ke Lab Par Bhi Ab Aish Ka Nam Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جاں بازوں کے لب پر بھی اب عیش کا نام آیا

نشور واحدی

جاں بازوں کے لب پر بھی اب عیش کا نام آیا

جس ہاتھ میں تیشہ تھا اس ہاتھ میں جام آیا

اک تازہ تغیر ہے تہذیب کی دنیا میں

یا حسن حقیقی کو انداز خرام آیا

راحت کا تصور ہی باقی نہ رہا شاید

ہونٹوں پہ تکلف سے آرام کا نام آیا

کچھ سوچ کے اک راہ پرخار سے گزرا تھا

کانٹے بھی نہ راس آئے دامن بھی نہ کام آیا

ساقی یہ حریفوں کو پہچان کے دینا کیا

جب بزم سے ہم نکلے تب دور میں جام آیا

اس تیرہ نصیبی میں کرنوں کا سہارا کیا

سورج کی طرف دیکھا وہ بھی لب بام آیا

یہ راز و نیاز غم کچھ وہ بھی سمجھتے ہیں

جب چوٹ پڑی دل پر پلکوں کو سلام آیا

غم اور خوشی دونوں ہر روز کے مہماں ہیں

یہ صبح بہ صبح آئی وہ شام بہ شام آیا

پھینکے ہوئے شیشوں سے دل کتنے بنائے ہیں

جب جام کوئی ٹوٹا دیوانوں کے کام آیا

کانوں میں کچھ آتی ہے آواز پھڑکنے کی

پھر کوئی نیا طائر شاید تہہ دام آیا

اشعار نشورؔ اکثر ان کی بھی زباں پر ہیں

چپ رہ نہ سکا کوئی جب وقت کلام آیا

نشور واحدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jaan-bazon Ke Lab Par Bhi Ab Aish Ka Nam Aaya

Nushur Wahidi

jaan-bazon ke lab par bhi ab aish ka nam aaya
jis hath mein tesha tha us hath mein jam aaya

ek taza taghayyur hai tahzib ki duniya mein
ya husn-e-haqiqi ko andaz-e-KHiram aaya

rahat ka tasawwur hi baqi na raha shayad
honTon pe takalluf se aaram ka nam aaya

kuchh soch ke ek rah-e-pur-KHar se guzra tha
kanTe bhi na ras aae daman bhi na kaam aaya

saqi ye harifon ko pahchan ke dena kya
jab bazm se hum nikle tab daur mein jam aaya

is tira-nasibi mein kirnon ka sahaara kya
suraj ki taraf dekha wo bhi lab-e-baam aaya

ye raaz-o-niyaz-e-gham kuchh wo bhi samajhte hain
jab choT paDi dil par palkon ko salam aaya

gham aur KHushi donon har roz ke mehman hain
ye subh-ba-subh aai wo sham-ba-sham aaya

phenke hue shishon se dil kitne banae hain
jab jam koi TuTa diwanon ke kaam aaya

kanon mein kuchh aati hai aawaz phaDakne ki
phir koi naya tair shayad tah-e-dam aaya

ashaar-e-'nushur' aksar un ki bhi zaban par hain
chup rah na saka koi jab waqt-e-kalam aaya

(369) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jaan-bazon Ke Lab Par Bhi Ab Aish Ka Nam Aaya written by Nushur Wahidi at UrduPoint. Jaan-bazon Ke Lab Par Bhi Ab Aish Ka Nam Aaya is one of the masterpieces written by Nushur Wahidi. You can also find the complete poetry collection of Nushur Wahidi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nushur Wahidi' above.

Jaan-bazon Ke Lab Par Bhi Ab Aish Ka Nam Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jaan-bazon Ke Lab Par Bhi Ab Aish Ka Nam Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.