Hai Aaj Andhera Har Jaanib Aur Nur Ki Baaten Karte Hain, Urdu Ghazal By Obaidur Rahman

Hai Aaj Andhera Har Jaanib Aur Nur Ki Baaten Karte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Obaidur Rahman. Hai Aaj Andhera Har Jaanib Aur Nur Ki Baaten Karte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hai Aaj Andhera Har Jaanib Aur Nur Ki Baaten Karte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے آج اندھیرا ہر جانب اور نور کی باتیں کرتے ہیں

عبید الرحمان

ہے آج اندھیرا ہر جانب اور نور کی باتیں کرتے ہیں

نزدیک کی باتوں سے خائف ہم دور کی باتیں کرتے ہیں

تعمیر و ترقی والے ہیں کہیے بھی تو ان کو کیا کہیے

جو شیش محل میں بیٹھے ہوئے مزدور کی باتیں کرتے ہیں

یہ لوگ وہی ہیں جو کل تک تنظیم چمن کے دشمن تھے

اب آج ہمارے منہ پر یہ دستور کی باتیں کرتے ہیں

اک بھائی کو دوجے بھائی سے لڑنے کا جو دیتے ہیں پیغام

وہ لوگ نہ جانے پھر کیسے جمہور کی باتیں کرتے ہیں

اک خواب کی وادی ہے جس میں رہتے ہیں ہمیشہ کھوئے ہوئے

دھرتی پہ نہیں ہیں جن کے قدم وہ طور کی باتیں کرتے ہیں

ہم کو یہ گلہ محبوب انہیں افسانۂ بزم عیش و طرب

شکوہ یہ انہیں ہم ان سے دل رنجور کی باتیں کرتے ہیں

کیا خوب ادا ہے ان کی عبیدؔ انداز کرم ہے کتنا حسیں

مجبور کے حق سے ناواقف مجبور کی باتیں کرتے ہیں

عبید الرحمان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Aaj Andhera Har Jaanib Aur Nur Ki Baaten Karte Hain

Obaidur Rahman

hai aaj andhera har jaanib aur nur ki baaten karte hain
nazdik ki baaton se KHaif hum dur ki baaten karte hain

tamir-o-taraqqi wale hain kahiye bhi to un ko kya kahiye
jo shish-mahal mein baiThe hue mazdur ki baaten karte hain

ye log wahi hain jo kal tak tanzim-e-chaman ke dushman the
ab aaj hamare munh par ye dastur ki baaten karte hain

ek bhai ko duje bhai se laDne ka jo dete hain paigham
wo log na jaane phir kaise jamhur ki baaten karte hain

ek KHwab ki wadi hai jis mein rahte hain hamesha khoe hue
dharti pe nahin hain jin ke qadam wo tur ki baaten karte hain

hum ko ye gila mahbub unhen afsana-e-bazm-e-aish-o-tarab
shikwa ye unhen hum un se dil-e-ranjur ki baaten karte hain

kya KHub ada hai un ki 'obaid' andaz-e-karam hai kitna hasin
majbur ke haq se na-waqif majbur ki baaten karte hain

(521) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hai Aaj Andhera Har Jaanib Aur Nur Ki Baaten Karte Hain written by Obaidur Rahman at UrduPoint. Hai Aaj Andhera Har Jaanib Aur Nur Ki Baaten Karte Hain is one of the masterpieces written by Obaidur Rahman. You can also find the complete poetry collection of Obaidur Rahman by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Obaidur Rahman' above.

Hai Aaj Andhera Har Jaanib Aur Nur Ki Baaten Karte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Aaj Andhera Har Jaanib Aur Nur Ki Baaten Karte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.