Kisi Ke Ranj-o-gham Mein Jo Bashar Shamil Nahin Hota, Urdu Ghazal By Pandit Vidya Rattan Asi

Kisi Ke Ranj-o-gham Mein Jo Bashar Shamil Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Pandit Vidya Rattan Asi. Kisi Ke Ranj-o-gham Mein Jo Bashar Shamil Nahin Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kisi Ke Ranj-o-gham Mein Jo Bashar Shamil Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی کے رنج و غم میں جو بشر شامل نہیں ہوتا

پنڈت ودیا رتن عاصی

کسی کے رنج و غم میں جو بشر شامل نہیں ہوتا

وہ دنیا میں کبھی تعظیم کے قابل نہیں ہوتا

مریض عشق سے اے چارہ گر یہ بے رخی کیسی

کسی بے بس کا دل رکھنا کوئی مشکل نہیں ہوتا

نہایت بے مزہ ہوتی ہے وہ روداد الفت کی

تمہارا ذکر جس روداد میں شامل نہیں ہوتا

کوئی پوچھے مرے دل سے ذرا محفل کی ویرانی

کبھی محفل میں جب وہ رونق محفل نہیں ہوتا

حقیقت میں انہیں کو زندگانی راس آتی ہے

وہ جن کے واسطے مرنا کوئی مشکل نہیں ہوتا

سلوک دہر کا شکوہ کبھی کرتے نہیں ورنہ

سلوک دہر سے غافل ہمارا دل نہیں ہوتا

محبت کی کوئی منزل نہیں ہوتی زمانے میں

یہ وہ دریا ہے جس کا کوئی بھی ساحل نہیں ہوتا

تری باتوں پہ اے ناصح یقیں ہم کس طرح کر لیں

یہ وہ باتیں ہیں جن باتوں سے کچھ حاصل نہیں ہوتا

فقط ساقی کا دل رکھنے کو پی لیتا ہوں اے عاصیؔ

کسی صورت میں ورنہ شامل محفل نہیں ہوتا

پنڈت ودیا رتن عاصی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi Ke Ranj-o-gham Mein Jo Bashar Shamil Nahin Hota

Pandit Vidya Rattan Asi

kisi ke ranj-o-gham mein jo bashar shamil nahin hota
wo duniya mein kabhi tazim ke qabil nahin hota

mariz-e-ishq se ai chaaragar ye be-ruKHi kaisi
kisi bebas ka dil rakhna koi mushkil nahin hota

nihayat be-maza hoti hai wo rudad ulfat ki
tumhaara zikr jis rudad mein shamil nahin hota

koi puchhe mere dil se zara mahfil ki virani
kabhi mahfil mein jab wo raunaq-e-mahfil nahin hota

haqiqat mein unhin ko zindagani ras aati hai
wo jin ke waste marna koi mushkil nahin hota

suluk-e-dahr ka shikwa kabhi karte nahin warna
suluk-e-dahr se ghafil hamara dil nahin hota

mohabbat ki koi manzil nahin hoti zamane mein
ye wo dariya hai jis ka koi bhi sahil nahin hota

teri baaton pe ai naseh yaqin hum kis tarah kar len
ye wo baaten hain jin baaton se kuchh hasil nahin hota

faqat saqi ka dil rakhne ko pi leta hun ai 'asi'
kisi surat mein warna shamil-e-mahfil nahin hota

(621) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kisi Ke Ranj-o-gham Mein Jo Bashar Shamil Nahin Hota written by Pandit Vidya Rattan Asi at UrduPoint. Kisi Ke Ranj-o-gham Mein Jo Bashar Shamil Nahin Hota is one of the masterpieces written by Pandit Vidya Rattan Asi. You can also find the complete poetry collection of Pandit Vidya Rattan Asi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Pandit Vidya Rattan Asi' above.

Kisi Ke Ranj-o-gham Mein Jo Bashar Shamil Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi Ke Ranj-o-gham Mein Jo Bashar Shamil Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.