Piye Jata Hun Saqi Ki Nazar Se, Urdu Ghazal By Pandit Vidya Rattan Asi

Piye Jata Hun Saqi Ki Nazar Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Pandit Vidya Rattan Asi. Piye Jata Hun Saqi Ki Nazar Se comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Piye Jata Hun Saqi Ki Nazar Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پئے جاتا ہوں ساقی کی نظر سے

پنڈت ودیا رتن عاصی

پئے جاتا ہوں ساقی کی نظر سے

مجھے کیا گردش شام و سحر سے

مناسب ہے غرور حسن لیکن

اتر جائے گا سودا بھی یہ سر سے

یہ کن بیتے دنوں کی یاد آئی

یہ کیسے اشک ٹپکے چشم تر سے

بہت مشاق ہوگا رہزنی میں

کسے تھی یہ توقع راہبر سے

ستم ڈھا کر ہمارے دل پہ اکثر

زمانہ خود گرا اپنی نظر سے

ترے جلوؤں کی تابانی کا عالم

کوئی دیکھے ذرا میری نظر میں

کسی کی مست آنکھوں کے تصدق

یقیں اٹھنے لگا ہے موت پر سے

تمہیں چاہوں تو کس بوتے پہ چاہوں

تمہیں دیکھوں تو دیکھوں کس نظر سے

قدم رقصاں جہاں عالم جنوں نے

کوئی طوفاں اٹھے اس رہ گزر سے

بہت بگڑے ہوئے ہیں ان کے تیور

نظر آتا ہے یہ ان کی نظر سے

بھری محفل میں اظہار محبت

یہ لغزش اور پھر میری نظر سے

اٹھائے موت ہی پھر ان کو عاصیؔ

گرا دیتے ہیں وہ جن کو نظر سے

پنڈت ودیا رتن عاصی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Piye Jata Hun Saqi Ki Nazar Se

Pandit Vidya Rattan Asi

piye jata hun saqi ki nazar se
mujhe kya gardish-e-sham-o-sahar se

munasib hai ghurur-e-husn lekin
utar jaega sauda bhi ye sar se

ye kin bite dinon ki yaad aai
ye kaise ashk Tapke chashm-e-tar se

bahut mashshaq hoga rahzani mein
kise thi ye tawaqqo rahbar se

sitam Dha kar hamare dil pe aksar
zamana KHud gira apni nazar se

tere jalwon ki tabani ka aalam
koi dekhe zara meri nazar mein

kisi ki mast aankhon ke tasadduq
yaqin uThne laga hai maut par se

tumhein chahun to kis bute pe chahun
tumhein dekhun to dekhun kis nazar se

qadam raqsan jahan aalam junun ne
koi tufan uThe is rahguzar se

bahut bigDe hue hain un ke tewar
nazar aata hai ye un ki nazar se

bhari mahfil mein izhaar-e-mohabbat
ye laghzish aur phir meri nazar se

uThae maut hi phir un ko 'asi'
gira dete hain wo jin ko nazar se

(469) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Piye Jata Hun Saqi Ki Nazar Se written by Pandit Vidya Rattan Asi at UrduPoint. Piye Jata Hun Saqi Ki Nazar Se is one of the masterpieces written by Pandit Vidya Rattan Asi. You can also find the complete poetry collection of Pandit Vidya Rattan Asi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Pandit Vidya Rattan Asi' above.

Piye Jata Hun Saqi Ki Nazar Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Piye Jata Hun Saqi Ki Nazar Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.