Na Ruswa Is Tarah Karte Bula Kar Mujhko Mahfil Mein, Urdu Ghazal By Pandit Vidya Rattan Asi

Na Ruswa Is Tarah Karte Bula Kar Mujhko Mahfil Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Pandit Vidya Rattan Asi. Na Ruswa Is Tarah Karte Bula Kar Mujhko Mahfil Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Ruswa Is Tarah Karte Bula Kar Mujhko Mahfil Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ رسوا اس طرح کرتے بلا کر مجھ کو محفل میں

پنڈت ودیا رتن عاصی

نہ رسوا اس طرح کرتے بلا کر مجھ کو محفل میں

اگر پاس وفا ہوتا ذرا بھی آپ کے دل میں

نہ اب وہ ولولے باقی نہ اب وہ حوصلے دل میں

مرا ہونا نہ ہونا ایک ہے دنیا کی محفل میں

حوادث سے ہے نسبت خاص ایسے زندگانی کو

ہے قائم ربط باہم جس طرح دریا و ساحل میں

بڑی مدت سے یہ عالم نہ جیتا ہوں نہ مرتا ہوں

بڑی مدت سے میری زندگی ہے سخت مشکل میں

ابھی کوئی بلا ٹوٹی ابھی کوئی ستم ٹوٹا

رہا جب تک میں زندہ اک یہی خدشہ رہا دل میں

مری ہستی کی کشتی کا ٹھکانا ہی نہیں کوئی

ابھی آغوش طوفاں میں ابھی آغوش ساحل میں

تمہیں سوچو مرا جینا کوئی جینے میں جینا ہے

نہ کوئی آرزو دل میں نہ کوئی مدعا دل میں

سفینہ زندگی کا نذر طوفاں کر دیا عاصیؔ

تجھے آخر یہ کیا سوجھی یہ کیا آئی ترے دل میں

پنڈت ودیا رتن عاصی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Ruswa Is Tarah Karte Bula Kar Mujhko Mahfil Mein

Pandit Vidya Rattan Asi

na ruswa is tarah karte bula kar mujh ko mahfil mein
agar pas-e-wafa hota zara bhi aap ke dil mein

na ab wo walwale baqi na ab wo hausle dil mein
mera hona na hona ek hai duniya ki mahfil mein

hawadis se hai nisbat KHas aise zindagani ko
hai qaem rabt-e-baham jis tarah dariya-o-sahil mein

baDi muddat se ye aalam na jita hun na marta hun
baDi muddat se meri zindagi hai saKHt mushkil mein

abhi koi bala TuTi abhi koi sitam TuTa
raha jab tak main zinda ek yahi KHadsha raha dil mein

meri hasti ki kashti ka Thikana hi nahin koi
abhi aaghosh-e-tufan mein abhi aaghosh-e-sahil mein

tumhin socho mera jina koi jine mein jina hai
na koi aarzu dil mein na koi muddaa dil mein

safina zindagi ka nazr-e-tufan kar diya 'asi'
tujhe aaKHir ye kya sujhi ye kya aai tere dil mein

(524) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Ruswa Is Tarah Karte Bula Kar Mujhko Mahfil Mein written by Pandit Vidya Rattan Asi at UrduPoint. Na Ruswa Is Tarah Karte Bula Kar Mujhko Mahfil Mein is one of the masterpieces written by Pandit Vidya Rattan Asi. You can also find the complete poetry collection of Pandit Vidya Rattan Asi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Pandit Vidya Rattan Asi' above.

Na Ruswa Is Tarah Karte Bula Kar Mujhko Mahfil Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Ruswa Is Tarah Karte Bula Kar Mujhko Mahfil Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.