Munafiq Shair, Urdu Nazam By Prem Lal Shifa Dehlvi

Munafiq Shair is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Prem Lal Shifa Dehlvi. Munafiq Shair comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Munafiq Shair on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

منافق شاعر

پریم لال شفا دہلوی

میں منافق ہوں ہر اک کا دوست بن جاتا ہوں میں

دوست بن کر دوستوں میں پھوٹ ڈلواتا ہوں میں

انتہا کی چڑ ہے مجھ کو دو دلوں کے قرب سے

دیکھتا ہوں جب یہ فوراً جال پھیلاتا ہوں میں

میں برائی رام کی کرتا ہوں جا کر شام سے

شام نے جو کچھ کہا وہ رام تک لاتا ہوں میں

پیٹھ پیچھے سب کو دیتا ہوں مغلظ گالیاں

سامنے لیکن ادب سے سر کے بل جاتا ہوں میں

حلقۂ اہل سخن میں جو مری توقیر ہے

چھن نہ جائے ہر نئے شاعر سے گھبراتا ہوں میں

مجھ کو اپنی شاعری پر کس طرح ہو اعتماد

خود تو کم کہتا ہوں اوروں سے کہلواتا ہوں میں

داد دینے کے لئے رکھتا ہوں کچھ احباب ساتھ

شعر ان کے واسطے بھی مانگ کر لاتا ہوں میں

بزم میں پڑھتا ہوں میں نتھنے پھلا کر چیخ کر

اور اس سے پیشتر تقریر فرماتا ہوں میں

یہ سمجھتا ہوں کہ کوئی شعر خود کہتا نہیں

یہ خبر ہر ایک کے بارے میں پھیلاتا ہوں میں

اور کوئی شعر کہہ لیتا ہے اچھا بھی اگر

کل کا لونڈا کہہ کے خاطر میں نہیں لاتا ہوں میں

خود تو نا موزوں بھی کہہ لیتا ہوں موزوں بھی مگر

دوسرے کے شعر پر تنقید فرماتا ہوں میں

شاعری سے واسطہ مجھ کو نہ اردو سے غرض

صرف شہرت کے لئے ان سے الجھ جاتا ہوں میں

کچھ بزرگوں سے مجھے بھی قرب حاصل تھا کبھی

نام ہو ان سے مرا یوں ان کے گن گاتا ہوں میں

ذکر کرتا ہوں پرانی صحبتوں کا بار بار

اور دور حال کو ماضی سے ٹھکراتا ہوں میں

باوجود اس کے اگر ہوتی نہیں شہرت نصیب

گالیاں دیتا ہوں سب کو بوکھلا جاتا ہوں میں

جس سے میں واقف ہوں وہ شہرت میں آگے بڑھ گیا

دیکھ کر اس کو بہت کڑھتا ہوں بل کھاتا ہوں میں

جانتا ہی کون تھا مشہور میں نے کر دیا

بس یہی کہہ کہہ کے اپنے دل کو سمجھتا ہوں میں

علم و فن کی چند باتیں جو مجھے معلوم ہیں

داد پانے کے لئے ہر بار دہراتا ہوں میں

داد دینی ہو تو یوں دیتا ہوں اک اک لفظ پر

لفظ پورا بھی نہیں ہوتا پھڑک جاتا ہوں میں

کچھ نہ تھے اشعار منہ دیکھے کی دی تھی میں نے داد

وقت غیبت داد کی تردید فرماتا ہوں میں

جب کسی بزم سخن میں شعر پڑھتا ہے کوئی

اک طرف بیٹھا ہوا تصحیح فرماتا ہوں میں

ساتھ والوں پر یوں کرتا ہوں فضیلت آشکار

ہو نہ ہو ہر شعر میں کچھ عیب گنواتا ہوں میں

یا کبھی پھر داد دیتا ہوں بہ آواز دہل

ساتھ والوں کی طرف پھر آنکھ مچکاتا ہوں میں

سامنے جب تک رہوں میں ہوں غلاموں کا غلام

آسماں سے ورنہ تارے توڑ کر لاتا ہوں میں

جو نہیں لاتے ہیں خاطر میں خوشامد کو مری

وہ جھڑک دیتے ہیں مجھ کو ان سے گھبراتا ہوں میں

یا سمجھ جاتے ہیں جو ان میرے ہتھکنڈوں کا راز

سامنے آتے ہوئے ان کے بھی کتراتا ہوں میں

کمتری کا ہے شفاؔ احساس ان سب کا سبب

دشمنی اوروں کے دل میں تو نہیں پاتا ہوں میں

پریم لال شفا دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Munafiq Shair

Prem Lal Shifa Dehlvi

main munafiq hun har ek ka dost ban jata hun main
dost ban kar doston mein phuT Dalwata hun main
intiha ki chiD hai mujh ko do dilon ke qurb se
dekhta hun jab ye fauran jal phailata hun main
main burai ram ki karta hun ja kar sham se
sham ne jo kuchh kaha wo ram tak lata hun main
piTh pichhe sab ko deta hun mughallaz galiyan
samne lekin adab se sar ke bal jata hun main
halqa-e-ahl-e-suKHan mein jo meri tauqir hai
chhin na jae har nae shair se ghabraata hun main
mujh ko apni shaeri par kis tarah ho e'timad
KHud to kam kahta hun auron se kahalwata hun main
dad dene ke liye rakhta hun kuchh ahbab sath
sher un ke waste bhi mang kar lata hun main
bazm mein paDhta hun main nathune phula kar chiKH kar
aur is se peshtar taqrir farmata hun main
ye samajhta hun ki koi sher KHud kahta nahin
ye KHabar har ek ke bare mein phailata hun main
aur koi sher kah leta hai achchha bhi agar
kal ka launDa kah ke KHatir mein nahin lata hun main
KHud to na-mauzun bhi kah leta hun mauzun bhi magar
dusre ke sher par tanqid farmata hun main
shaeri se wasta mujh ko na urdu se gharaz
sirf shohrat ke liye un se ulajh jata hun main
kuchh buzurgon se mujhe bhi qurb hasil tha kabhi
nam ho un se mera yun un ke gun gata hun main
zikr karta hun purani sohbaton ka bar bar
aur daur-e-haal ko mazi se Thukraata hun main
bawajud is ke agar hoti nahin shohrat nasib
galiyan deta hun sab ko baukhla jata hun main
jis se main waqif hun wo shohrat mein aage baDh gaya
dekh kar us ko bahut kuDhta hun bal khata hun main
jaanta hi kaun tha mashhur main ne kar diya
bas yahi kah kah ke apne dil ko samajhta hun main
ilm-o-fan ki chand baaten jo mujhe malum hain
dad pane ke liye har bar dohraata hun main
dad deni ho to yun deta hun ek ek lafz par
lafz pura bhi nahin hota phaDak jata hun main
kuchh na the ashaar munh dekhe ki di thi main ne dad
waqt-e-ghibat dad ki tardid farmata hun main
jab kisi bazm-e-suKHan mein sher paDhta hai koi
ek taraf baiTha hua tashih farmata hun main
sath walon par yun karta hun fazilat aashkar
ho na ho har sher mein kuchh aib ginwata hun main
ya kabhi phir dad deta hun ba-awaz-e-duhal
sath walon ki taraf phir aankh michkata hun main
samne jab tak rahun main hun ghulamon ka ghulam
aasman se warna tare toD kar lata hun main
jo nahin late hain KHatir mein KHushamad ko meri
wo jhiDak dete hain mujh ko un se ghabraata hun main
ya samajh jate hain jo in mere hathkandon ka raaz
samne aate hue un ke bhi katraata hun main
kamtari ka hai 'shifa' ehsas in sab ka sabab
dushmani auron ke dil mein to nahin pata hun main

(1048) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Munafiq Shair written by Prem Lal Shifa Dehlvi at UrduPoint. Munafiq Shair is one of the masterpieces written by Prem Lal Shifa Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Prem Lal Shifa Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Prem Lal Shifa Dehlvi' above.

Munafiq Shair is a widely read Urdu Nazam. If you like Munafiq Shair, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.