Suraj Ka Alamiya, Urdu Nazam By Prem Warbartani

Suraj Ka Alamiya is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Prem Warbartani. Suraj Ka Alamiya comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Suraj Ka Alamiya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سورج کا المیہ

پریم واربرٹنی

مرے پیچھے بہت پیچھے

مرے ماضی کے لمبے غار میں سانپوں کا ڈیرا ہے

جہاں پر ہول ہیبت ناک بھوتوں کا بسیرا ہے

مرے آگے بہت آگے

مرا رنگین مستقبل ہے اک پھولوں کی وادی ہے

کہ جس کی گود میں خوابوں کی الھڑ شاہزادی ہے

مرے پیچھے

اندھیرے غار ہیں مکڑی کے جالے ہیں

مرے آگے

سنہرے خواب ہیں کرنوں کے ہالے ہیں

میں سرگرم سفر ہوں اپنی منزل کی طرف لیکن

مری بڑھتی ہوئی وحشت کا عالم کوئی کیا جانے

یہ لمحے ہاں یہی اڑتے ہوئے لمحے نہ ہاتھ آئے

اجڑ کر رہ گئے خوش رنگ خوابوں کے صنم خانے

میں اپنے ہی لہو کی آگ میں جلتا رہا برسوں

کھنکتے ہی رہے ہر بزم ہر محفل میں پیمانے

میں اپنے دور کا مہر درخشاں ہوں مگر پھر بھی

یہ اندھا وقت شاید عمر بھر مجھ کو نہ پہچانے

یہ اندھا وقت شاید عمر بھر مجھ کو نہ پہچانے

پریم واربرٹنی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Suraj Ka Alamiya

Prem Warbartani

mere pichhe bahut pichhe
mere mazi ke lambe ghaar mein sanpon ka Dera hai
jahan pur-haul haibatnak bhuton ka basera hai
mere aage bahut aage
mera rangin mustaqbil hai ek phulon ki wadi hai
ki jis ki god mein KHwabon ki alhaD shahzadi hai
mere pichhe
andhere ghaar hain makDi ke jale hain
mere aage
sunahre KHwab hain kirnon ke haale hain
main sargarm-e-safar hun apni manzil ki taraf lekin
meri baDhti hui wahshat ka aalam koi kya jaane
ye lamhe han yahi uDte hue lamhe na hath aae
ujaD kar rah gae KHush-rang KHwabon ke sanam-KHane

main apne hi lahu ki aag mein jalta raha barson
khanakte hi rahe har bazm har mahfil mein paimane
main apne daur ka mahr-e-daraKHshan hun magar phir bhi
ye andha waqt shayad umr bhar mujh ko na pahchane
ye andha waqt shayad umr bhar mujh ko na pahchane

(536) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Suraj Ka Alamiya written by Prem Warbartani at UrduPoint. Suraj Ka Alamiya is one of the masterpieces written by Prem Warbartani. You can also find the complete poetry collection of Prem Warbartani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Prem Warbartani' above.

Suraj Ka Alamiya is a widely read Urdu Nazam. If you like Suraj Ka Alamiya, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.