Hae Re Ahd-e-guzishta Ki Karam-farmaiyan, Urdu Ghazal By Qadir Siddiqi

Hae Re Ahd-e-guzishta Ki Karam-farmaiyan is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qadir Siddiqi. Hae Re Ahd-e-guzishta Ki Karam-farmaiyan comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hae Re Ahd-e-guzishta Ki Karam-farmaiyan on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہائے رے عہد گزشتہ کی کرم فرمائیاں

قادر صدیقی

ہائے رے عہد گزشتہ کی کرم فرمائیاں

انجمن در انجمن تنہائیاں تنہائیاں

عشق کو حاصل ہیں ان کی بھی کرم فرمائیاں

عمر بھر کرتے رہے ہیں جو ستم آرائیاں

مل کے دونوں نے مجھے رسوائے دنیا کر دیا

کچھ میری نادانیاں تھیں کچھ تری دانائیاں

لفظ و معنی میں الجھ کر رہ گئے احباب سب

کاش کوئی دیکھ سکتا قلب کی گہرائیاں

اب خلوص دل کی باتیں خواب ہو کر رہ گئیں

جس طرف دیکھو فقط پرچھائیاں پرچھائیاں

کوئی ہنستا تو نہیں آنسو بہانے پر مرے

باعث تسکین خاطر ہیں مجھے تنہائیاں

دیکھیے یہ بھی کہ دل کا خون ہوتا تو نہیں

وجہ رونق ہی سہی یہ انجمن آرائیاں

میری نظروں نے انہیں کچھ گدگدایا اس طرح

کروٹیں لینے لگیں سوئی ہوئی انگڑائیاں

اہل دنیا سے شکایت کیا گلہ کیا رنج کیا

مجھ کو لے ڈوبیں مرے احساس کی گہرائیاں

درد دل جب تک نہ شامل ہو تو قادرؔ شعر کیا

زندگی بھر کرتے رہیے قافیہ پیمائیاں

قادر صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hae Re Ahd-e-guzishta Ki Karam-farmaiyan

Qadir Siddiqi

hae re ahd-e-guzishta ki karam-farmaiyan
anjuman-dar-anjuman tanhaiyan tanhaiyan

ishq ko hasil hain un ki bhi karam-farmaiyan
umr bhar karte rahe hain jo sitam-araiyan

mil ke donon ne mujhe ruswa-e-duniya kar diya
kuchh meri nadaniyan thin kuchh teri danaiyan

lafz-o-mani mein ulajh kar rah gae ahbab sab
kash koi dekh sakta qalb ki gahraiyan

ab KHulus-e-dil ki baaten KHwab ho kar rah gain
jis taraf dekho faqat parchhaiyan parchhaiyan

koi hansta to nahin aansu bahane par mere
bais-e-taskin-e-KHatir hain mujhe tanhaiyan

dekhiye ye bhi ki dil ka KHun hota to nahin
wajh-e-raunaq hi sahi ye anjuman-araiyan

meri nazron ne unhen kuchh gudgudaya is tarah
karwaTen lene lagin soi hui angDaiyan

ahl-e-duniya se shikayat kya gila kya ranj kya
mujh ko le Dubin mere ehsas ki gahraiyan

dard-e-dil jab tak na shamil ho to 'qadir' sher kya
zindagi bhar karte rahiye qafiya-paimaiyan

(560) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hae Re Ahd-e-guzishta Ki Karam-farmaiyan written by Qadir Siddiqi at UrduPoint. Hae Re Ahd-e-guzishta Ki Karam-farmaiyan is one of the masterpieces written by Qadir Siddiqi. You can also find the complete poetry collection of Qadir Siddiqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qadir Siddiqi' above.

Hae Re Ahd-e-guzishta Ki Karam-farmaiyan is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hae Re Ahd-e-guzishta Ki Karam-farmaiyan, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.