Jo Dagh Hai Ishq-e-dil-nashin Ka Jo Dil-nashin Hain Dil-e-hazin Ka, Urdu Ghazal By Qadr Bilgrami

Jo Dagh Hai Ishq-e-dil-nashin Ka Jo Dil-nashin Hain Dil-e-hazin Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qadr Bilgrami. Jo Dagh Hai Ishq-e-dil-nashin Ka Jo Dil-nashin Hain Dil-e-hazin Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Dagh Hai Ishq-e-dil-nashin Ka Jo Dil-nashin Hain Dil-e-hazin Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو داغ ہے عشق دل نشیں کا جو دل نشیں ہیں دل حزیں کا

قدر بلگرامی

جو داغ ہے عشق دل نشیں کا جو دل نشیں ہیں دل حزیں کا

وہی ہے تمغہ مری جبیں کا وہی سلیماں مرے نگیں کا

گئی نہ مر کر بھی کینہ خواہی ملا کے مٹی میں کی تباہی

مری طرح سے کہیں الٰہی فلک بھی پیوند ہو زمیں کا

تڑپ نہ پوچھو دل حزیں کی کہوں میں تم سے کہاں کہاں کی

اسی سے ہے گردش آسماں کی اسی سے ہے زلزلہ زمیں کا

جہان سر پر اٹھا رہا ہوں جنوں میں دھومیں مچا رہا ہوں

جو دشت میں خاک اڑا رہا ہوں دماغ گردوں پہ ہے زمیں کا

کرم میں ہم کو غضب میں ہم کو کیا جو ممتاز سب میں ہم کو

تمہاری دشنام و لب میں ہم کو مزہ ملا زہر و انگبیں کا

یہ لاغری اب ہے خار دامن کہ اٹھ نہیں سکتا بار دامن

جو پاؤں اپنا ہے تار دامن تو ہاتھ ہے تار آستیں کا

میان محشر ملالتوں سے میں شمع ہوں دل کی حالتوں سے

کہ پاؤں تک سو خجالتوں سے عرق بہا ہے مری جبیں کا

سخن کو قدرؔ اوج دے زباں سے کہ تخم افشاں ہو لا مکاں سے

کیا ہے ناسخؔ نے آسماں سے بلند تر رتبہ اس زمیں کا

قدر بلگرامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Dagh Hai Ishq-e-dil-nashin Ka Jo Dil-nashin Hain Dil-e-hazin Ka

Qadr Bilgrami

jo dagh hai ishq-e-dil-nashin ka jo dil-nashin hain dil-e-hazin ka
wahi hai tamgha meri jabin ka wahi sulaiman mere nagin ka

gai na mar kar bhi kina-KHwahi mila ke miTTi mein ki tabahi
meri tarah se kahin ilahi falak bhi paiwand ho zamin ka

taDap na puchho dil-e-hazin ki kahun main tum se kahan kahan ki
usi se hai gardish aasman ki usi se hai zalzala zamin ka

jahan sar par uTha raha hun junun mein dhumen macha raha hun
jo dasht mein KHak uDa raha hun dimagh gurdon pe hai zamin ka

karam mein hum ko ghazab mein hum ko kiya jo mumtaz sab mein hum ko
tumhaari dushnam-o-lab mein hum ko maza mila zahr-o-angbin ka

ye laghari ab hai KHar-e-daman ki uTh nahin sakta bar-e-daman
jo panw apna hai tar-e-daman to hath hai tar aastin ka

miyan-e-mahshar malalaton se main shama hun dil ki haalaton se
ki panw tak sau KHijalaton se araq baha hai meri jabin ka

suKHan ko 'qadr' auj de zaban se ki tuKHm-e-afshan ho la-makan se
kiya hai 'nasiKH' ne aasman se buland-tar rutba is zamin ka

(455) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Dagh Hai Ishq-e-dil-nashin Ka Jo Dil-nashin Hain Dil-e-hazin Ka written by Qadr Bilgrami at UrduPoint. Jo Dagh Hai Ishq-e-dil-nashin Ka Jo Dil-nashin Hain Dil-e-hazin Ka is one of the masterpieces written by Qadr Bilgrami. You can also find the complete poetry collection of Qadr Bilgrami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qadr Bilgrami' above.

Jo Dagh Hai Ishq-e-dil-nashin Ka Jo Dil-nashin Hain Dil-e-hazin Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Dagh Hai Ishq-e-dil-nashin Ka Jo Dil-nashin Hain Dil-e-hazin Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.