Matam-e-did Hai Didar Ka KHwahan Hona, Urdu Ghazal By Qalaq Merathi

Matam-e-did Hai Didar Ka KHwahan Hona is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qalaq Merathi. Matam-e-did Hai Didar Ka KHwahan Hona comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Matam-e-did Hai Didar Ka KHwahan Hona on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ماتم دید ہے دیدار کا خواہاں ہونا

قلق میرٹھی

ماتم دید ہے دیدار کا خواہاں ہونا

جس قدر دیکھنا اتنا ہی پشیماں ہونا

سخت دشوار ہے آسان کا آساں ہونا

خون فرصت ہے یہاں سر بہ گریباں ہونا

تیرا دیوانہ تو وحشت کی بھی حد سے نکلا

کہ بیاباں کو بھی چاہے ہے بیاباں ہونا

کوچۂ غیر میں کیوں کر نہ بناؤں گھر کو

میری آبادی سے آباد ہے ویراں ہونا

خاک وحشی سے اگر ربط ہے ٹھوکر کو تری

دور دامن سے نہیں دور گریباں ہونا

نہ وہ خوں ہی ہے جگر میں نہ وہ رونے کا دماغ

مل گیا خاک میں ہر اشک کا طوفاں ہونا

جی کا جی ہی میں رہا حرف تمنا افسوس

کہنا کچھ آپ ہی اور آپ پشیماں ہونا

دل سے انداز شکن زلف نے سب جمع کیے

چھیڑ کر اس کو کہیں تو نہ پریشاں ہونا

تجھ کو ارمان خرابی ہے جو اے دہلی اور

سیکھ جا گھر میں مرے رہ کے بیاباں ہونا

دل ہے اک قطرۂ خوں جس پہ یہ سینہ زوری

کچھ سمجھتا ہی نہیں ہم صف مژگاں ہونا

مجھ میں کچھ تاب ہو اے جاں تو میں بے تاب رہوں

ورنہ دشوار ہے اس راز کا پنہاں ہونا

یاد مژگاں سے ادھر زخم جگر پر کھانا

اور ادھر شورش دل سے نمک افشاں ہونا

آج وہ وقت قلقؔ پر ہے کہ جوں ابن خلیل

غیر تسلیم نہیں قتل کا آساں ہونا

قلق میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Matam-e-did Hai Didar Ka KHwahan Hona

Qalaq Merathi

matam-e-did hai didar ka KHwahan hona
jis qadar dekhna utna hi pasheman hona

saKHt dushwar hai aasan ka aasan hona
KHun-e-fursat hai yahan sar-ba-gareban hona

tera diwana to wahshat ki bhi had se nikla
ki bayaban ko bhi chahe hai bayaban hona

kucha-e-ghair mein kyun kar na banaun ghar ko
meri aabaadi se aabaad hai viran hona

KHak-e-wahshi se agar rabt hai Thokar ko teri
daur-e-daman se nahin daur-e-gareban hona

na wo KHun hi hai jigar mein na wo rone ka dimagh
mil gaya KHak mein har ashk ka tufan hona

ji ka ji hi mein raha harf-e-tamanna afsos
kahna kuchh aap hi aur aap pasheman hona

dil se andaz-e-shikan zulf ne sab jama kiye
chheD kar us ko kahin tu na pareshan hona

tujh ko arman-e-KHarabi hai jo ai dehli aur
sikh ja ghar mein mere rah ke bayaban hona

dil hai ek qatra-e-KHun jis pe ye sina zori
kuchh samajhta hi nahin ham-saf-e-mizhgan hona

mujh mein kuchh tab ho ai jaan to main be-tab rahun
warna dushwar hai is raaz ka pinhan hona

yaad-e-mizhgan se idhar zaKHm-e-jigar par khana
aur udhar shorish-e-dil se namak-afshan hona

aaj wo waqt 'qalaq' par hai ki jun ibn-e-KHalil
ghair taslim nahin qatl ka aasan hona

(457) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Matam-e-did Hai Didar Ka KHwahan Hona written by Qalaq Merathi at UrduPoint. Matam-e-did Hai Didar Ka KHwahan Hona is one of the masterpieces written by Qalaq Merathi. You can also find the complete poetry collection of Qalaq Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qalaq Merathi' above.

Matam-e-did Hai Didar Ka KHwahan Hona is a widely read Urdu Ghazal. If you like Matam-e-did Hai Didar Ka KHwahan Hona, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.