Hath Mein Le Ke Na KHanjar BaiThiye, Urdu Ghazal By Qurban Ali Salik Beg

Hath Mein Le Ke Na KHanjar BaiThiye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qurban Ali Salik Beg. Hath Mein Le Ke Na KHanjar BaiThiye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hath Mein Le Ke Na KHanjar BaiThiye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہاتھ میں لے کے نہ خنجر بیٹھیے

قربان علی سالک بیگ

ہاتھ میں لے کے نہ خنجر بیٹھیے

قتل کرنا ہے تو بس کر بیٹھیے

بار در تک بھی نہیں اور شوق یہ

بزم میں ان کے برابر بیٹھیے

اٹھیے اے شور فغاں پر اس طرح

نقش کی مانند دل پر بیٹھیے

ہو چکی تعظیم دشمن کی کہیں

اے زیارت گاہ محشر بیٹھیے

ضعف طاری ہو تو کیوں کر لوٹیے

جان مضطر ہو تو کیوں کر بیٹھیے

یہ کوئی دفتر نہیں سن لیجئے

حال دل کہتا ہوں دم بھر بیٹھیے

حضرت دل کوچۂ قاتل کا عزم

روئیے گا سر پکڑ کر بیٹھیے

روئے جنگل میں بہت اب جی میں ہے

گھر بٹھانے کے لئے گھر بیٹھیے

کھینچ مارا ایک پتھر بات میں

اس صنم کے پاس پتھر بیٹھیے

خاک چھانی عشق میں سالکؔ بہت

پیر و مرشد کوئی دن گھر بیٹھیے

قربان علی سالک بیگ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hath Mein Le Ke Na KHanjar BaiThiye

Qurban Ali Salik Beg

hath mein le ke na KHanjar baiThiye
qatl karna hai to bas kar baiThiye

bar dar tak bhi nahin aur shauq ye
bazm mein un ke barabar baiThiye

uThiye ai shor-e-fughan par is tarah
naqsh ki manind dil par baiThiye

ho chuki tazim dushman ki kahin
ai ziyarat-gah-e-mahshar baiThiye

zoaf tari ho to kyun kar loTiye
jaan muztar ho to kyun kar baiThiye

ye koi daftar nahin sun lijiye
haal-e-dil kahta hun dam-bhar baiThiye

hazrat-e-dil kucha-e-qatil ka azm
roiega sar pakaD kar baiThiye

roe jangal mein bahut ab ji mein hai
ghar biThane ke liye ghar baiThiye

khinch mara ek patthar baat mein
us sanam ke pas patthar baiThiye

KHak chhani ishq mein 'salik' bahut
pir-o-murshid koi din ghar baiThiye

(315) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hath Mein Le Ke Na KHanjar BaiThiye written by Qurban Ali Salik Beg at UrduPoint. Hath Mein Le Ke Na KHanjar BaiThiye is one of the masterpieces written by Qurban Ali Salik Beg. You can also find the complete poetry collection of Qurban Ali Salik Beg by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qurban Ali Salik Beg' above.

Hath Mein Le Ke Na KHanjar BaiThiye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hath Mein Le Ke Na KHanjar BaiThiye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.