Jis Qadar Zabt Kiya Aur Bhi Rona Aaya, Urdu Ghazal By Qurban Ali Salik Beg

Jis Qadar Zabt Kiya Aur Bhi Rona Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qurban Ali Salik Beg. Jis Qadar Zabt Kiya Aur Bhi Rona Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jis Qadar Zabt Kiya Aur Bhi Rona Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جس قدر ضبط کیا اور بھی رونا آیا

قربان علی سالک بیگ

جس قدر ضبط کیا اور بھی رونا آیا

یہ طبیعت نہیں آئی کوئی دریا آیا

کام کیا جذب تمنائے زلیخا آیا

کارواں بھی چہہ یوسف ہی پہ ہوتا آیا

کوچۂ یار میں آ کر نہیں جاتا کوئی

یہ وہ جا ہے کہ یہاں جو کوئی آیا آیا

رات کیا جانیے کس طرح گزاری ہم نے

اپنے وعدے پہ شب وعدہ تو اچھا آیا

آ گئے آج وہ اغیار کے بہکانے میں

نہیں معلوم برا وقت یہ کس کا آیا

کشش شوق نے مجبور کیا ہے سو بار

میں تو واں جانے کی ہر بار قسم کھا آیا

ہاتھ دونوں نہ ہوئے سینے سے اک جائے جدا

میں چمن میں دل ناشاد کو بہلا آیا

واں سے یہ شکل بنائے ہوئے آیا قاصد

میں نے جانا مجھے پیغام قضا کا آیا

ہم نے در پردہ بھی کی تیری برائی نہ کبھی

شکر کہہ کر بھی نہ لب پر کوئی شکوا آیا

وعدۂ وصل پہ قسمیں تو نہ کھا عہد شکن

باور آیا مجھے بس اور تو آیا آیا

کہہ اٹھا آج کہ اس بت کو خدا لائے کہیں

شکر ہے لب پہ مرے نام خدا کا آیا

فتنے قدموں سے لگے رہتے ہیں گویا ہر دم

آپ کیا آئے کہ اک مجمع اعدا آیا

اشک آنکھوں میں بھرے لب پہ فغاں دامن چاک

جو تماشے کو گیا واں سے تماشا آیا

گریے کو ضبط کیا رک نہ سکے نالے آہ

ٹکڑے ہو ہو کے مرے منہ کو کلیجہ آیا

جس نے دیکھا مجھے فریاد کناں واں سالکؔ

رحم کیسا وہ برا مجھ کو ہی کہتا آیا

قربان علی سالک بیگ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jis Qadar Zabt Kiya Aur Bhi Rona Aaya

Qurban Ali Salik Beg

jis qadar zabt kiya aur bhi rona aaya
ye tabiat nahin aai koi dariya aaya

kaam kya jazb-e-tamanna-e-zuleKHa aaya
karwan bhi chah-e-yusuf hi pe hota aaya

kucha-e-yar mein aa kar nahin jata koi
ye wo ja hai ki yahan jo koi aaya aaya

raat kya jaaniye kis tarah guzari hum ne
apne wade pe shab-e-wada to achchha aaya

aa gae aaj wo aghyar ke bahkane mein
nahin malum bura waqt ye kis ka aaya

kashish-e-shauq ne majbur kiya hai sau bar
main to wan jaane ki har bar qasam kha aaya

hath donon na hue sine se ek jae juda
main chaman mein dil-e-nashad ko bahla aaya

wan se ye shakl banae hue aaya qasid
main ne jaana mujhe paigham qaza ka aaya

hum ne dar-parda bhi ki teri burai na kabhi
shukr kah kar bhi na lab par koi shikwa aaya

wada-e-wasl pe qasmen to na kha ahd-shikan
bawar aaya mujhe bas aur to aaya aaya

kah uTha aaj ki us but ko KHuda lae kahin
shukr hai lab pe mere nam KHuda ka aaya

fitne qadmon se lage rahte hain goya har-dam
aap kya aae ki ek majma-e-ada aaya

ashk aankhon mein bhare lab pe fughan daman-e-chaak
jo tamashe ko gaya wan se tamasha aaya

girye ko zabt kiya ruk na sake nale aah
TukDe ho ho ke mere munh ko kaleja aaya

jis ne dekha mujhe fariyaad-kunan wan 'salik'
rahm kaisa wo bura mujh ko hi kahta aaya

(435) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jis Qadar Zabt Kiya Aur Bhi Rona Aaya written by Qurban Ali Salik Beg at UrduPoint. Jis Qadar Zabt Kiya Aur Bhi Rona Aaya is one of the masterpieces written by Qurban Ali Salik Beg. You can also find the complete poetry collection of Qurban Ali Salik Beg by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qurban Ali Salik Beg' above.

Jis Qadar Zabt Kiya Aur Bhi Rona Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jis Qadar Zabt Kiya Aur Bhi Rona Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.