Main Jaanta Hun Ki Sare Bure Nahin Hote, Urdu Ghazal By Raakesh Ulfat

Main Jaanta Hun Ki Sare Bure Nahin Hote is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Raakesh Ulfat. Main Jaanta Hun Ki Sare Bure Nahin Hote comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Jaanta Hun Ki Sare Bure Nahin Hote on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں جانتا ہوں کہ سارے برے نہیں ہوتے

راکیش الفت

میں جانتا ہوں کہ سارے برے نہیں ہوتے

مگر یہ سچ ہے کہ سب ایک سے نہیں ہوتے

مرے پروں میں اگر حوصلے نہیں ہوتے

یہ آسماں میرے آگے جھکے نہیں ہوتے

مرے صنم جو مجھے تم ملے نہیں ہوتے

سکون دل سے مرے رابطے نہیں ہوتے

زمین پانی ہوا دیکھ بھلا سب کچھ ہے

نہ جانے کیوں میرے بوٹے ہرے نہیں ہوتے

یہ تیرا قد ہے جو رکھتا ہے اہمیت ورنہ

خوش آمدید کو سارے جھکے نہیں ہوتے

عدالتوں سے جڑے سارے دعوے داروں میں

یہ چغلیاں ہیں سہی فیصلے نہیں ہوتے

جو ہو سکے تو زباں کو ذرا سرل رکھنا

بہت سے نیتا زیادہ پڑھے نہیں ہوتے

مرے خدا کی عنایت اگر نہیں ہوتی

مرے چراغ ہوا میں جلے نہیں ہوتے

تمام عمر کئی لوگ چھوٹے رہتے ہیں

بلندیوں پہ بھی جا کر بڑے نہیں ہوتے

راکیش الفت

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Jaanta Hun Ki Sare Bure Nahin Hote

Raakesh Ulfat

main jaanta hun ki sare bure nahin hote
magar ye sach hai ki sab ek se nahin hote

mere paron mein agar hausle nahin hote
ye aasman mere aage jhuke nahin hote

mere sanam jo mujhe tum mile nahin hote
sukun-e-dil se mere rabte nahin hote

zamin pani hawa dekh bhala sab kuchh hai
na jaane kyon mere buTe hare nahin hote

ye tera qad hai jo rakhta hai ahmiyat warna
KHush-amdid ko sare jhuke nahin hote

adalaton se juDe sare dawedaron mein
ye chughliyan hain sahi faisle nahin hote

jo ho sake to zaban ko zara saral rakhna
bahut se neta ziyaada paDhe nahin hote

mere KHuda ki inayat agar nahin hoti
mere charagh hawa mein jale nahin hote

tamam umr kai log chhoTe rahte hain
bulandiyon pe bhi ja kar baDe nahin hote

(488) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Jaanta Hun Ki Sare Bure Nahin Hote written by Raakesh Ulfat at UrduPoint. Main Jaanta Hun Ki Sare Bure Nahin Hote is one of the masterpieces written by Raakesh Ulfat. You can also find the complete poetry collection of Raakesh Ulfat by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Raakesh Ulfat' above.

Main Jaanta Hun Ki Sare Bure Nahin Hote is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Jaanta Hun Ki Sare Bure Nahin Hote, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.