Yaad-e-mazi Ki Meri Laghzish-e-pa Ho Jaise, Urdu Ghazal By Rabab Rashidi

Yaad-e-mazi Ki Meri Laghzish-e-pa Ho Jaise is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rabab Rashidi. Yaad-e-mazi Ki Meri Laghzish-e-pa Ho Jaise comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yaad-e-mazi Ki Meri Laghzish-e-pa Ho Jaise on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یاد ماضی کہ مری لغزش پا ہو جیسے

رباب رشیدی

یاد ماضی کہ مری لغزش پا ہو جیسے

اور یہ کرب کا احساس سزا ہو جیسے

تجھ سے دوری کسی مجذوب کی منفی باتیں

تیرا ملنا کسی سالک کی دعا ہو جیسے

مدتوں سے ہے وہی شب کی مسافت جاری

کارواں سمت سفر بھول گیا ہو جیسے

اب تو چہروں سے وہ آثار رفاقت بھی گئے

ہر کوئی پیکر احساس انا ہو جیسے

تہمتیں ایسی کہ یہ سوچ رہا ہوں خود بھی

عمر کے ساتھ مرا قد بھی گھٹا ہو جیسے

مضمحل سا نظر آتا ہے مرا ذوق جمال

وہ بھی اس دھوپ میں تا دیر رہا ہو جیسے

کب تک آخر میں چلوں سمت مخالف کی طرف

آنے والا بھی کوئی آبلہ پا ہو جیسے

میری آنکھوں کی نمی کہنے لگی ہے کوئی بات

آئنہ مجھ سے نظر پھیر رہا ہو جیسے

زندگی اب ترا موضوع سخن میرے یہاں

ایک ٹوٹا ہوا پیمان وفا ہو جیسے

کب پتا دیتے ہیں پھولوں کو کھلانے والے

ہم سمجھتے ہیں کہ فیضان صبا ہو جیسے

رباب رشیدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yaad-e-mazi Ki Meri Laghzish-e-pa Ho Jaise

Rabab Rashidi

yaad-e-mazi ki meri laghzish-e-pa ho jaise
aur ye karb ka ehsas saza ho jaise

tujh se duri kisi majzub ki manfi baaten
tera milna kisi salik ki dua ho jaise

muddaton se hai wahi shab ki masafat jari
karwan samt-e-safar bhul gaya ho jaise

ab to chehron se wo aasar-e-rifaqat bhi gae
har koi paikar-e-ehsas-e-ana ho jaise

tohmaten aisi ki ye soch raha hun KHud bhi
umr ke sath mera qad bhi ghaTa ho jaise

muzmahil sa nazar aata hai mera zauq-e-jamal
wo bhi is dhup mein ta-der raha ho jaise

kab tak aaKHir main chalun samt-e-muKHalif ki taraf
aane wala bhi koi aabla-pa ho jaise

meri aankhon ki nami kahne lagi hai koi baat
aaina mujh se nazar pher raha ho jaise

zindagi ab tera mauzu-e-suKHan mere yahan
ek TuTa hua paiman-e-wafa ho jaise

kab pata dete hain phulon ko khilane wale
hum samajhte hain ki faizan-e-saba ho jaise

(369) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Yaad-e-mazi Ki Meri Laghzish-e-pa Ho Jaise written by Rabab Rashidi at UrduPoint. Yaad-e-mazi Ki Meri Laghzish-e-pa Ho Jaise is one of the masterpieces written by Rabab Rashidi. You can also find the complete poetry collection of Rabab Rashidi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rabab Rashidi' above.

Yaad-e-mazi Ki Meri Laghzish-e-pa Ho Jaise is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yaad-e-mazi Ki Meri Laghzish-e-pa Ho Jaise, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.