Un Se Dil Milte Hi Furqat Ki Bala Bhi Aai, Urdu Ghazal By Raghib Badayuni

Un Se Dil Milte Hi Furqat Ki Bala Bhi Aai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Raghib Badayuni. Un Se Dil Milte Hi Furqat Ki Bala Bhi Aai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Un Se Dil Milte Hi Furqat Ki Bala Bhi Aai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ان سے دل ملتے ہی فرقت کی بلا بھی آئی

راغب بدایونی

ان سے دل ملتے ہی فرقت کی بلا بھی آئی

جان آنے بھی نہ پائی کہ قضا بھی آئی

اب تو تم گور غریباں کو چلو بے پردہ

اس کی شمعوں کو ہوا جا کے بجھا بھی آئی

ہجر میں عرش سے ناکام دعا ہی نہ پھری

نارسا ہو کے مری آہ رسا بھی آئی

بات پوری نہ سنی ہم نے کبھی ناصح کی

ٹوک اٹھے اپنی سمجھ میں جو ذرا بھی آئی

پھیر لی رخ سے نظر اس نے کس انداز کے ساتھ

آئنے میں جو نظر اپنی ادا بھی آئی

دیکھ کر حال مرا ان سے ہنسی رک نہ سکی

روکنے کے لئے ہر چند حیا بھی آئی

نعش پہ آ کے مری اس نے وہ باتیں چھیڑیں

ہر عزادار کو عبرت بھی حیا بھی آئی

نگہ شوق نے کیا راز نہاں فاش کیا

ہم سے پردہ بھی ہوا آج حیا بھی آئی

نزع میں آ کے مری صرف یہ پوچھا اس نے

اب بتاؤ کسی مصرف میں وفا بھی آئی

دل ہی خستہ نہ ہوا لشکر غم کے ہاتھوں

بلکہ اس معرکے میں کام دعا بھی آئی

دعویٰ سحر بیانی ہے عبث اے راغبؔ

میرؔ صاحب کی تمہیں طرز ادا بھی آئی

راغب بدایونی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Un Se Dil Milte Hi Furqat Ki Bala Bhi Aai

Raghib Badayuni

un se dil milte hi furqat ki bala bhi aai
jaan aane bhi na pai ki qaza bhi aai

ab to tum gor-e-ghariban ko chalo be-parda
us ki shamon ko hawa ja ke bujha bhi aai

hijr mein arsh se nakaam dua hi na phiri
na-rasa ho ke meri aah-e-rasa bhi aai

baat puri na suni hum ne kabhi naseh ki
Tok uThe apni samajh mein jo zara bhi aai

pher li ruKH se nazar us ne kis andaz ke sath
aaine mein jo nazar apni ada bhi aai

dekh kar haal mera un se hansi ruk na saki
rokne ke liye har chand haya bhi aai

nash pe aa ke meri us ne wo baaten chheDin
har azadar ko ibrat bhi haya bhi aai

nigah-e-shauq ne kya raaz-e-nihan fash kiya
hum se parda bhi hua aaj haya bhi aai

naza mein aa ke meri sirf ye puchha us ne
ab batao kisi masraf mein wafa bhi aai

dil hi KHasta na hua lashkar-e-gham ke hathon
balki is marke mein kaam dua bhi aai

dawa-e-sehr-e-bayani hai abas ai 'raghib'
'mir'-sahib ki tumhein tarz-e-ada bhi aai

(424) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Un Se Dil Milte Hi Furqat Ki Bala Bhi Aai written by Raghib Badayuni at UrduPoint. Un Se Dil Milte Hi Furqat Ki Bala Bhi Aai is one of the masterpieces written by Raghib Badayuni. You can also find the complete poetry collection of Raghib Badayuni by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Raghib Badayuni' above.

Un Se Dil Milte Hi Furqat Ki Bala Bhi Aai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Un Se Dil Milte Hi Furqat Ki Bala Bhi Aai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.