Be-KHudi Hai Hasraton Ki BhiD ChhaT Jaane Ke Baad, Urdu Ghazal By Raghib Badayuni

Be-KHudi Hai Hasraton Ki BhiD ChhaT Jaane Ke Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Raghib Badayuni. Be-KHudi Hai Hasraton Ki BhiD ChhaT Jaane Ke Baad comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Be-KHudi Hai Hasraton Ki BhiD ChhaT Jaane Ke Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بے خودی ہے حسرتوں کی بھیڑ چھٹ جانے کے بعد

راغب بدایونی

بے خودی ہے حسرتوں کی بھیڑ چھٹ جانے کے بعد

آپ ہی گم ہو گئے ہم راستہ پانے کے بعد

میں ہوں وہ شعلہ بھڑکتا ہے جو بجھ جانے کے بعد

میں ہوں ایسا پھول کھلتا ہے جو مرجھانے کے بعد

مل گئے ہم خاک میں پردے کے اٹھ جانے کے بعد

کچھ نظر آنے سے پہلے کچھ نظر آنے کے بعد

کس طرح جلوے کو دیکھا دیکھ کر کیا ہو گیا

دیکھنے والوں کو دیکھو جلوہ دکھلانے کے بعد

موت ہے جس کی سزا یہ زندگی ہے وہ گناہ

ان بلاؤں سے ملے گا امن مر جانے کے بعد

یوں تو پردے ہی میں رہتی ہے تمہیں سب کی خبر

کاش دیکھو پردے سے باہر نکل آنے کے بعد

دیکھ کر مایوس دل کو دیکھتا ہوں سوئے عرش

لا مکاں ہی سوجھتا ہے ایسے ویرانے کے بعد

چھوڑ کر طوف حرم ہے کیا پشیمانی مجھے

گردش قسمت میں اپنے آپ آ جانے کے بعد

ان کے روضے سے مجھے کیوں لے چلی ہے سوئے خلد

اے اجل کیوں کر جیوں گا اس کے چھٹ جانے کے بعد

کیا ہو ادراک تجلی سے وہ بے خود کامیاب

جان سے جانا ہوں جس کو ہوش میں آنے کے بعد

ہائے یہ اپنی جوانی اور یہ بخت سیاہ

یہ اندھیری کوٹھری پھر رات ہو جانے کے بعد

تو نے اے ساقی کیا اندازۂ مستی غلط

یوں ہی دیتا جا مجھے پیمانہ پیمانے کے بعد

مرگ پر آمادہ تیری سرد مہری نے کیا

نیند مجھ کو آ گئی ٹھنڈی ہوا کھانے کے بعد

جذب الفت ہی سے پیدا ہوتی ہے شکل کشش

ورنہ کیوں جذب نظر ہو کچھ نظر آنے کے بعد

اپنے جلوہ کے کرشمے یہ مرا ذوق نگاہ

تم ذرا دیکھو مری آنکھوں میں پھر جانے کے بعد

وہ عطائے اول ساقی بھی راغبؔ خوب تھی

ہم نے لاکھوں خم چڑھائے ایک پیمانے کے بعد

راغب بدایونی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Be-KHudi Hai Hasraton Ki BhiD ChhaT Jaane Ke Baad

Raghib Badayuni

be-KHudi hai hasraton ki bhiD chhaT jaane ke baad
aap hi gum ho gae hum rasta pane ke baad

main hun wo shoala bhaDakta hai jo bujh jaane ke baad
main hun aisa phul khilta hai jo murjhane ke baad

mil gae hum KHak mein parde ke uTh jaane ke baad
kuchh nazar aane se pahle kuchh nazar aane ke baad

kis tarah jalwe ko dekha dekh kar kya ho gaya
dekhne walon ko dekho jalwa dikhlane ke baad

maut hai jis ki saza ye zindagi hai wo gunah
in balaon se milega amn mar jaane ke baad

yun to parde hi mein rahti hai tumhein sab ki KHabar
kash dekho parde se bahar nikal aane ke baad

dekh kar mayus dil ko dekhta hun su-e-arsh
la-makan hi sujhta hai aise virane ke baad

chhoD kar tauf-e-haram hai kya pashemani mujhe
gardish-e-qismat mein apne aap aa jaane ke baad

un ke rauze se mujhe kyun le chali hai su-e-KHuld
ai ajal kyun kar jiyunga us ke chhuT jaane ke baad

kya ho idrak-e-tajalli se wo be-KHud kaamyab
jaan se jaana hon jis ko hosh mein aane ke baad

hae ye apni jawani aur ye baKHt-e-siyah
ye andheri koThari phir raat ho jaane ke baad

tu ne ai saqi kiya andaza-e-masti ghalat
yun hi deta ja mujhe paimana paimane ke baad

marg par aamada teri sard-mehri ne kiya
nind mujh ko aa gai ThanDi hawa khane ke baad

jazb-e-ulfat hi se paida hoti hai shakl-e-kashish
warna kyun jazb-e-nazar ho kuchh nazar aane ke baad

apne jalwe ke karishme ye mera zauq-e-nigah
tum zara dekho meri aankhon mein phir jaane ke baad

wo ata-e-awwal-e-saqi bhi 'raghib' KHub thi
hum ne lakhon KHum chaDhae ek paimane ke baad

(392) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Be-KHudi Hai Hasraton Ki BhiD ChhaT Jaane Ke Baad written by Raghib Badayuni at UrduPoint. Be-KHudi Hai Hasraton Ki BhiD ChhaT Jaane Ke Baad is one of the masterpieces written by Raghib Badayuni. You can also find the complete poetry collection of Raghib Badayuni by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Raghib Badayuni' above.

Be-KHudi Hai Hasraton Ki BhiD ChhaT Jaane Ke Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Be-KHudi Hai Hasraton Ki BhiD ChhaT Jaane Ke Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.