Mohabbat Aur Hawas, Urdu Nazam By Raj Narayan Raaz

Mohabbat Aur Hawas is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Raj Narayan Raaz. Mohabbat Aur Hawas comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Mohabbat Aur Hawas on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محبت اور ہوس

راج نرائن راز

محبت اور ہوس

گھر کے بدریا آئی کالی

خوش خوش تھا دھرتی کا والی

سوچ رہا تھا اب برسے گی

اور برس کر پہنچائے گی

ہجر آنکھوں کو ہریالی

میری بگیا میں برسی تھی

کالی گہری بوجھل بدلی

کونپل کونپل پتہ پتہ

پھوٹ رہا تھا خوب ہی تھا

ساری دھرتی جاگ رہی تھی

میں خوش تھا ہو بالک جیسے

چھوڑ کے بارش کے ریلے میں

ننھی سی کاغذ کی کشتی

لیکن دیکھا اک ڈالی پر

مردہ طائر ایک پڑا ہے

اڑتا تھا آکاش میں پہلے

اس کو بجلی کے کوندے نے

یا پھر بارش کی بوندوں نے

کوسوں نیچے پھینک دیا تھا

راج نرائن راز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mohabbat Aur Hawas

Raj Narayan Raaz

mohabbat aur hawas
ghar ke badriya aai kali
KHush KHush tha dharti ka wali
soch raha tha ab barsegi
aur baras kar pahunchaegi
hijr aankhon ko hariyali

meri bagiya mein barsi thi
kali gahri bojhal badli
konpal konpal patta patta
phuT raha tha KHub hi tha

sari dharti jag rahi thi
main KHush tha ho baalak jaise
chhoD ke barish ke rele mein
nannhi si kaghaz ki kashti

lekin dekha ek Dali par
murda tair ek paDa hai
uDta tha aakash mein pahle
us ko bijli ke kaunde ne
ya phir barish ki bundon ne
koson niche phenk diya tha

(834) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mohabbat Aur Hawas written by Raj Narayan Raaz at UrduPoint. Mohabbat Aur Hawas is one of the masterpieces written by Raj Narayan Raaz. You can also find the complete poetry collection of Raj Narayan Raaz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Raj Narayan Raaz' above.

Mohabbat Aur Hawas is a widely read Urdu Nazam. If you like Mohabbat Aur Hawas, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.