Na Manzilen Thin Na Kuchh Dil Mein Tha Na Sar Mein Tha, Urdu Ghazal By Rajinder Manchanda Bani

Na Manzilen Thin Na Kuchh Dil Mein Tha Na Sar Mein Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rajinder Manchanda Bani. Na Manzilen Thin Na Kuchh Dil Mein Tha Na Sar Mein Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Manzilen Thin Na Kuchh Dil Mein Tha Na Sar Mein Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ منزلیں تھیں نہ کچھ دل میں تھا نہ سر میں تھا

راجیندر منچندا بانی

نہ منزلیں تھیں نہ کچھ دل میں تھا نہ سر میں تھا

عجب نظارۂ لا سمتیت نظر میں تھا

عتاب تھا کسی لمحے کا اک زمانے پر

کسی کو چین نہ باہر تھا اور نہ گھر میں تھا

چھپا کے لے گیا دنیا سے اپنے دل کے گھاؤ

کہ ایک شخص بہت طاق اس ہنر میں تھا

کسی کے لوٹنے کی جب صدا سنی تو کھلا

کہ میرے ساتھ کوئی اور بھی سفر میں تھا

کبھی میں آب کے تعمیر کردہ قصر میں ہوں

کبھی ہوا میں بنائے ہوئے سے گھر میں تھا

جھجک رہا تھا وہ کہنے سے کوئی بات ایسی

میں چپ کھڑا تھا کہ سب کچھ مری نظر میں تھا

یہی سمجھ کے اسے خود صدا نہ دی میں نے

وہ تیز گام کسی دور کے سفر میں تھا

کبھی ہوں تیری خموشی کے کٹتے ساحل پر

کبھی میں لوٹتی آواز کے بھنور میں تھا

ہماری آنکھ میں آ کر بنا اک اشک وہ رنگ

جو برگ سبز کے اندر نہ شاخ تر میں تھا

کوئی بھی گھر میں سمجھتا نہ تھا مرے دکھ سکھ

ایک اجنبی کی طرح میں خود اپنے گھر میں تھا

ابھی نہ برسے تھے بانیؔ گھرے ہوئے بادل

میں اڑتی خاک کی مانند رہ گزر میں تھا

راجیندر منچندا بانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Manzilen Thin Na Kuchh Dil Mein Tha Na Sar Mein Tha

Rajinder Manchanda Bani

na manzilen thin na kuchh dil mein tha na sar mein tha
ajab nazara-e-la-samtiyat nazar mein tha

itab tha kisi lamhe ka ek zamane par
kisi ko chain na bahar tha aur na ghar mein tha

chhupa ke le gaya duniya se apne dil ke ghao
ki ek shaKHs bahut taq is hunar mein tha

kisi ke lauTne ki jab sada suni to khula
ki mere sath koi aur bhi safar mein tha

kabhi main aab ke tamir-karda qasr mein hun
kabhi hawa mein banae hue se ghar mein tha

jhijak raha tha wo kahne se koi baat aisi
main chup khaDa tha ki sab kuchh meri nazar mein tha

yahi samajh ke use KHud sada na di main ne
wo tez-gam kisi dur ke safar mein tha

kabhi hun teri KHamoshi ke kaTte sahil par
kabhi main lauTti aawaz ke bhanwar mein tha

hamari aankh mein aa kar bana ek ashk wo rang
jo barg-e-sabz ke andar na shaKH-e-tar mein tha

koi bhi ghar mein samajhta na tha mere dukh sukh
ek ajnabi ki tarah main KHud apne ghar mein tha

abhi na barse the 'bani' ghire hue baadal
main uDti KHak ki manind rahguzar mein tha

(580) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Manzilen Thin Na Kuchh Dil Mein Tha Na Sar Mein Tha written by Rajinder Manchanda Bani at UrduPoint. Na Manzilen Thin Na Kuchh Dil Mein Tha Na Sar Mein Tha is one of the masterpieces written by Rajinder Manchanda Bani. You can also find the complete poetry collection of Rajinder Manchanda Bani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rajinder Manchanda Bani' above.

Na Manzilen Thin Na Kuchh Dil Mein Tha Na Sar Mein Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Manzilen Thin Na Kuchh Dil Mein Tha Na Sar Mein Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.