Zara Zara Si Baat Par Wo Mujhse Bad-guman Rahe, Urdu Ghazal By Ramesh Kanwal

Zara Zara Si Baat Par Wo Mujhse Bad-guman Rahe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ramesh Kanwal. Zara Zara Si Baat Par Wo Mujhse Bad-guman Rahe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zara Zara Si Baat Par Wo Mujhse Bad-guman Rahe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ذرا ذرا سی بات پر وہ مجھ سے بد گماں رہے

رمیش کنول

ذرا ذرا سی بات پر وہ مجھ سے بد گماں رہے

جو رات دن تھے مہرباں وہ اب نہ مہرباں رہے

جدائیوں کی لذتوں کی وسعتیں نہیں رہیں

وہ خوش خیال وصل بن کے میرے درمیاں رہے

پہیلیاں بجھاؤ مت بہانے اب بناؤ مت

یہیں کہیں نہیں تھے تم بتاؤ پھر کہاں رہے

وہ میرے ساتھ کب نہ تھے گلہ کروں جو میں بھلا

ذرا ذرا سی بات کا فضول کیوں بیاں رہے

نہ جھیل کوئی شہر میں تلیا تال بھی نہیں

یہ لشکر پرند پھر بتائیے کہاں رہے

محبتیں مروتیں لحاظ یا خلوص ہو

سبھی ہیں در بدر کہ اب نہ ان کے قدرداں رہے

مسرتوں کی دھوپ ان کے فلیٹ میں ہے رات دن

ہمارے غم کی بستیوں میں کرب جاوداں رہے

ذرا ذرا سی بات پر بچھڑ گیا جو بے سبب

انا و ضد کی کشمکش میں ہم یہاں وہاں رہے

یہ آسماں کی تیرگی نمائشوں کی روشنی

کنولؔ تمہاری راہ میں ہمیشہ کہکشاں رہے

رمیش کنول

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zara Zara Si Baat Par Wo Mujhse Bad-guman Rahe

Ramesh Kanwal

zara zara si baat par wo mujh se bad-guman rahe
jo raat din the mehrban wo ab na mehrban rahe

judaiyon ki lazzaton ki wusaten nahin rahin
wo KHush-KHayal wasl ban ke mere darmiyan rahe

paheliyan bujhao mat bahane ab banao mat
yahin kahin nahin the tum batao phir kahan rahe

wo mere sath kab na the gila karun jo main bhala
zara zara si baat ka fuzul kyun bayan rahe

na jhil koi shahr mein talayya-tal bhi nahin
ye lashkar-e-parind phir bataiye kahan rahe

mohabbaten murawwaten lihaz ya KHulus ho
sabhi hain dar-ba-dar ki ab na in ke qadr-dan rahe

masarraton ki dhup un ke flat mein hai raat din
hamare gham ki bastiyon mein karb-e-jawedan rahe

zara zara si baat par bichhaD gaya jo be-sabab
ana wa zid ki kashmakash mein hum yahan wahan rahe

ye aasman ki tirgi numaishon ki raushni
'kanwal' tumhaari rah mein hamesha kahkashan rahe

(786) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zara Zara Si Baat Par Wo Mujhse Bad-guman Rahe written by Ramesh Kanwal at UrduPoint. Zara Zara Si Baat Par Wo Mujhse Bad-guman Rahe is one of the masterpieces written by Ramesh Kanwal. You can also find the complete poetry collection of Ramesh Kanwal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ramesh Kanwal' above.

Zara Zara Si Baat Par Wo Mujhse Bad-guman Rahe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zara Zara Si Baat Par Wo Mujhse Bad-guman Rahe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.