Hai Samundar Samne Pyase Bhi Hain Pani Bhi Hai, Urdu Ghazal By Ramz Azimabadi

Hai Samundar Samne Pyase Bhi Hain Pani Bhi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ramz Azimabadi. Hai Samundar Samne Pyase Bhi Hain Pani Bhi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hai Samundar Samne Pyase Bhi Hain Pani Bhi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے سمندر سامنے پیاسے بھی ہیں پانی بھی ہے

رمز عظیم آبادی

ہے سمندر سامنے پیاسے بھی ہیں پانی بھی ہے

تشنگی کیسے بجھائیں یہ پریشانی بھی ہے

ہم مسافر ہیں سلگتی دھوپ جلتی راہ کے

وہ تمہارا راستہ ہے جس میں آسانی بھی ہے

میں تو دل سے اس کی دانائی کا قائل ہو گیا

دوستوں کی صف میں ہے اور دشمن جانی بھی ہے

پڑھ نہ پاؤ تم تو یہ کس کی خطا ہے دوستو

ورنہ چہرہ مصحف اعمال انسانی بھی ہے

زندگی عنوان جس قصے کی ہے وہ آج بھی

مختصر سے مختصر ہے اور طولانی بھی ہے

رت جگے جو بانٹتا پھرتا ہے سارے شہر میں

وہ فصیل خواب میں برسوں سے زندانی بھی ہے

بے تحاشہ وہ تو ملتا ہے محبت سے مگر

کچھ پریشانی بھی ہے اور خندہ پیشانی بھی ہے

اپنا ہمسایہ ہے لیکن فاصلہ برسوں کا ہے

ایسی قربت اتنی دوری جس میں حیرانی بھی ہے

زندگی بھر ہم سرابوں کی طرف چلتے رہے

اب جہاں تھک کر گرے ہیں اس جگہ پانی بھی ہے

رمزؔ تیری تیرہ بختی کی یہ شب کٹ جائے گی

رات کے دامن میں کوئی چیز نورانی بھی ہے

رمز عظیم آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Samundar Samne Pyase Bhi Hain Pani Bhi Hai

Ramz Azimabadi

hai samundar samne pyase bhi hain pani bhi hai
tishnagi kaise bujhaen ye pareshani bhi hai

hum musafir hain sulagti dhup jalti rah ke
wo tumhaara rasta hai jis mein aasani bhi hai

main to dil se us ki danai ka qael ho gaya
doston ki saf mein hai aur dushman-e-jaani bhi hai

paDh na pao tum to ye kis ki KHata hai dosto
warna chehra mushaf-e-amal-e-insani bhi hai

zindagi unwan jis qisse ki hai wo aaj bhi
muKHtasar se muKHtasar hai aur tulani bhi hai

ratjage jo banTta phirta hai sare shahr mein
wo fasil-e-KHwab mein barson se zindani bhi hai

be-tahasha wo to milta hai mohabbat se magar
kuchh pareshani bhi hai aur KHanda-peshani bhi hai

apna ham-saya hai lekin fasla barson ka hai
aisi qurbat itni duri jis mein hairani bhi hai

zindagi bhar hum sarabon ki taraf chalte rahe
ab jahan thak kar gire hain us jagah pani bhi hai

'ramz' teri tira-baKHti ki ye shab kaT jaegi
raat ke daman mein koi chiz nurani bhi hai

(689) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hai Samundar Samne Pyase Bhi Hain Pani Bhi Hai written by Ramz Azimabadi at UrduPoint. Hai Samundar Samne Pyase Bhi Hain Pani Bhi Hai is one of the masterpieces written by Ramz Azimabadi. You can also find the complete poetry collection of Ramz Azimabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ramz Azimabadi' above.

Hai Samundar Samne Pyase Bhi Hain Pani Bhi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Samundar Samne Pyase Bhi Hain Pani Bhi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.