Rok De Usko Bhala Kis Ki Majal Aata Hai, Urdu Ghazal By Rasheed Kausar Farooqi

Rok De Usko Bhala Kis Ki Majal Aata Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rasheed Kausar Farooqi. Rok De Usko Bhala Kis Ki Majal Aata Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Rok De Usko Bhala Kis Ki Majal Aata Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

روک دے اس کو بھلا کس کی مجال آتا ہے

رشید کوثر فاروقی

روک دے اس کو بھلا کس کی مجال آتا ہے

ہر ترقی کے تعاقب میں زوال آتا ہے

لرزہ انگیز سہی تمکنت تخت شہی

لیک جب عرش معلیٰ کو جلال آتا ہے

ایک دل پیار بھرا سب کے لئے لایا ہوں

نہ مجھے اور کوئی فن نہ کمال آتا ہے

میں نے مرشد سے دعا چاہی تو ہنس کر یہ کہا

پیار گھر چھوڑ کے جاتا ہے جو مال آتا ہے

جب یہ افتاد پڑی مجھ پہ سمجھ میں آیا

ایک شیشے کی طرح دل میں بھی بال آتا ہے

ناگ کا زہر بھی شیریں ہے ذرا یاد رہے

سر منبر کوئی نو شینا مقال آتا ہے

دیکھتے جائیے سامع نظر آنے کے نہیں

انجمن میں وہ کوئی خیر سگال آتا ہے

ستم ایجاد نہ کر اے ستم ایجاد بہت

تیرے سر کتنی ہی نسلوں کا وبال آتا ہے

دونوں پیدا تو کھنکتی ہوئی مٹی سے ہوئے

تال پر تم کو مجھے قال پہ حال آتا ہے

دل تو پھر دل ہے میاں ذہن بھی قابو میں کہاں

جس کو چاہو کہ نہ آئے وہ خیال آتا ہے

اب تو پنگھٹ کی وہ دوشیزہ تلاشو جس کو

نہ بھر آتا ہے نہ مشکیزہ سنبھال آتا ہے

اک مجانین کی دنیا ہے یہ جادو نگری

بس یہ دیکھو کہ کسے سحر حلال آتا ہے

خود فریبی تو ہیں مشتاق کہ اس دست میں کب

آسماں رنگ فسوں ساز شغال آتا ہے

منتظر بیٹھے ہیں ہم بھی کہ پئے داد غزل

ضیغم آتا ہے کوئی کوئی غزال آتا ہے

ہنسنے والے کہیں کچھ سوچ کے رونے نہ لگیں

بزم میں کوثرؔ آشفتہ‌ خیال آتا ہے

رشید کوثر فاروقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Rok De Usko Bhala Kis Ki Majal Aata Hai

Rasheed Kausar Farooqi

rok de us ko bhala kis ki majal aata hai
har taraqqi ke taaqub mein zawal aata hai

larza-angez sahi tamkanat-e-taKHt-e-shahi
lek jab arsh-e-mualla ko jalal aata hai

ek dil pyar bhara sab ke liye laya hun
na mujhe aur koi fan na kamal aata hai

main ne murshid se dua chahi to hans kar ye kaha
pyar ghar chhoD ke jata hai jo mal aata hai

jab ye uftad paDi mujh pe samajh mein aaya
ek shishe ki tarah dil mein bhi baal aata hai

nag ka zahr bhi shirin hai zara yaad rahe
sar-e-mimbar koi nau-shina maqal aata hai

dekhte jaiye samea nazar aane ke nahin
anjuman mein wo koi KHair-sagal aata hai

sitam ijad na kar ai sitam-ijad bahut
tere sar kitni hi naslon ka wabaal aata hai

donon paida to khanakti hui miTTi se hue
tal par tum ko mujhe qal pe haal aata hai

dil to phir dil hai miyan zehn bhi qabu mein kahan
jis ko chaho ki na aae wo KHayal aata hai

ab to panghaT ki wo doshiza talasho jis ko
na bhar aata hai na mashkiza sambhaal aata hai

ek majaanin ki duniya hai ye jadu-nagri
bas ye dekho ki kise sehr-e-halal aata hai

KHud-farebi to hain mushtaq ki is dast mein kab
aasman rang-e-fusun-saz-e-shaghaal aata hai

muntazir baiThe hain hum bhi ki pae dad-e-ghazal
zaigham aata hai koi koi ghazal aata hai

hansne wale kahin kuchh soch ke rone na lagen
bazm mein 'kausar'-e-ashufta-KHayal aata hai

(310) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Rok De Usko Bhala Kis Ki Majal Aata Hai written by Rasheed Kausar Farooqi at UrduPoint. Rok De Usko Bhala Kis Ki Majal Aata Hai is one of the masterpieces written by Rasheed Kausar Farooqi. You can also find the complete poetry collection of Rasheed Kausar Farooqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rasheed Kausar Farooqi' above.

Rok De Usko Bhala Kis Ki Majal Aata Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Rok De Usko Bhala Kis Ki Majal Aata Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.