Han KHud-azar Hain Danista Saza Chahte Hain, Urdu Ghazal By Rasheed Kausar Farooqi

Han KHud-azar Hain Danista Saza Chahte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rasheed Kausar Farooqi. Han KHud-azar Hain Danista Saza Chahte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Han KHud-azar Hain Danista Saza Chahte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہاں خود آزار ہیں دانستہ سزا چاہتے ہیں

رشید کوثر فاروقی

ہاں خود آزار ہیں دانستہ سزا چاہتے ہیں

ایسی دنیا سے تو ہم کرب و بلا چاہتے ہیں

ہم پہ کھا کھا کے ترس پوچھ رہا ہے قاتل

تختہ ہے تیغ ہے فرمائیے کیا چاہتے ہیں

کیا کوئی بیت چکے غم کے بدلتے موسم

سانحے جو نہ ہوئے وہ بھی ہوا چاہتے ہیں

نور مہتاب سے ہم موند کے آنکھیں اپنی

آتش افشانی خاور کی ضیا چاہتے ہیں

وہ کہ ٹھکراتے ہیں معصوم فرشتوں کا لباس

اپنے شیطان سے اک چست قبا چاہتے ہیں

کون کہتا ہوا زندان بدن سے نکلا

قید میں رکھ کے بھی ہم سے یہ وفا چاہتے ہیں

اپنی روداد کا راوی ہے یہ سوتا ہوا گھر

اک پلک نیند نہیں چار بجا چاہتے ہیں

مر مٹا جن کے لئے جمع کیا مال و منال

وہی جینا نہ رہے اب ورثا چاہتے ہیں

موت کا خوف بھی ہوتا تو مفر کب ملتا

پھر یہ ہم کس لئے درمان و دوا چاہتے ہیں

بند کرنے دو ہمیں بند ہوا کے پنکھے

اس فرا خیز سے جنگل کی ہوا چاہتے ہیں

زندگی تجھ کو بہت کچھ تو سمجھ ہی گئے ہم

کچھ حجابات ہیں باقی سو اٹھا چاہتے ہیں

نو بہاراں کی نزاہت پہ طراوت پہ نہ جا

کچھ شگوفے ہیں نئے بھی جو کھلا چاہتے ہیں

کج رواں نقش کف پا کو مٹانے کے بعد

کتنے سادہ ہیں کہ نقش کف پا چاہتے ہیں

معرکہ ہو تو یہاں کوئی مرض لاحق ہے

لشکری بھی ہیں تو کیا بانگ درا چاہتے ہیں

چیت جاؤ ان اجالوں کو پس انداز کرو

کچھ دیے ہیں جو کوئی دم میں بجھا چاہتے ہیں

آسماں پر وہی رہ جائیں نہ تارے ہوں نہ چاند

اور تو اور یہ شمس العلما چاہتے ہیں

سب سے ممتاز رہے کاخ معلی ان کا

چار سو جھونپڑیاں بھی رؤسا چاہتے ہیں

گھر سے نکلے ہیں کفن پوش سمجھ بوجھ کے ہم

کہ وہی سب سے بڑے ہیں جو بھلا چاہتے ہیں

یہ زمیں دیجے ہمیں کچے فلک پیمائی

ہم ہوا چاہتے ہیں آب خلا چاہتے ہیں

خوش کروں کتنوں کو کس کس کو بناؤں دشمن

سارے بھگوان مری پرارتھنا چاہتے ہیں

دست کش بھی رہے خوشنودیٔ دنیا سے تو کیا

وہی کب خوش ہے میاں جس کی رضا چاہتے ہیں

خود فریبی کی پرستاری‌‌ٔ گم کردہ رہاں

کہ پر کاہ ہیں اور کاہ ربا چاہتے ہیں

ہم جہانگیر ہیں اک نور جہاں رکھتے ہیں

اس کی چالیں تو نہیں اس کی ادا چاہتے ہیں

خدمت شعر و ادب کا تو ہمیں دعویٰ ہے

کوئی کیا جانے کہ تسکین انا چاہتے ہیں

رشید کوثر فاروقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Han KHud-azar Hain Danista Saza Chahte Hain

Rasheed Kausar Farooqi

han KHud-azar hain danista saza chahte hain
aisi duniya se to hum karb-o-bala chahte hain

hum pe kha kha ke taras puchh raha hai qatil
taKHta hai tegh hai farmaiye kya chahte hain

kya koi bit chuke gham ke badalte mausam
sanehe jo na hue wo bhi hua chahte hain

nur-e-mahtab se hum mund ke aankhen apni
aatish-afshani KHawar ki ziya chahte hain

wo ki Thukraate hain masum farishton ka libas
apne shaitan se ek chust qaba chahte hain

kaun kahta hua zindan-e-badan se nikla
qaid mein rakh ke bhi hum se ye wafa chahte hain

apni rudad ka rawi hai ye sota hua ghar
ek palak nind nahin chaar baja chahte hain

mar miTa jin ke liye jama kiya mal-o-manal
wahi jina na rahe ab wirsa chahte hain

maut ka KHauf bhi hota to mafar kab milta
phir ye hum kis liye darman-o-dawa chahte hain

band karne do hamein band hawa ke pankhe
is fara-KHez se jangal ki hawa chahte hain

zindagi tujh ko bahut kuchh to samajh hi gae hum
kuchh hijabaat hain baqi so uTha chahte hain

nau-bahaaran ki nazahat pe tarawat pe na ja
kuchh shagufe hain nae bhi jo khila chahte hain

kaj-rawan naqsh-e-kaf-e-pa ko miTane ke baad
kitne sada hain ki naqsh-e-kaf-e-pa chahte hain

marka ho to yahan koi maraz lahaq hai
lashkari bhi hain to kya bang-e-dara chahte hain

chait jao un ujalon ko pas-andaz karo
kuchh diye hain jo koi dam mein bujha chahte hain

aasman par wahi rah jaen na tare hon na chand
aur to aur ye shams-ul-ulama chahte hain

sab se mumtaz rahe kaKH-e-mualla un ka
chaar-su jhonpaDiyan bhi rausa chahte hain

ghar se nikle hain kafan-posh samajh-bujh ke hum
ki wahi sab se baDe hain jo bhala chahte hain

ye zamin dije hamein kachche falak-paimai
hum hua chahte hain aab-e-KHala chahte hain

KHush karun kitnon ko kis kis ko banaun dushman
sare bhagwan meri pararthna chahte hain

dast-kash bhi rahe KHushudi-e-duniya se to kya
wahi kab KHush hai miyan jis ki raza chahte hain

KHud-farebi ki parastari-e-gum-karda-rahan
ki par-e-kah hain aur kah-ruba chahte hain

hum jahangir hain ek nur-e-jahan rakhte hain
us ki chaalen to nahin us ki ada chahte hain

KHidmat-e-sher-o-adab ka to hamein dawa hai
koi kya jaane ki taskin-e-ana chahte hain

(362) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Han KHud-azar Hain Danista Saza Chahte Hain written by Rasheed Kausar Farooqi at UrduPoint. Han KHud-azar Hain Danista Saza Chahte Hain is one of the masterpieces written by Rasheed Kausar Farooqi. You can also find the complete poetry collection of Rasheed Kausar Farooqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rasheed Kausar Farooqi' above.

Han KHud-azar Hain Danista Saza Chahte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Han KHud-azar Hain Danista Saza Chahte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.