Kitne Dardon Mein Dawaon Ki Si Tasir Bhi Hai, Urdu Ghazal By Rasheed Kausar Farooqi

Kitne Dardon Mein Dawaon Ki Si Tasir Bhi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rasheed Kausar Farooqi. Kitne Dardon Mein Dawaon Ki Si Tasir Bhi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kitne Dardon Mein Dawaon Ki Si Tasir Bhi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کتنے دردوں میں دواؤں کی سی تاثیر بھی ہے

رشید کوثر فاروقی

کتنے دردوں میں دواؤں کی سی تاثیر بھی ہے

تن بہ تقدیر ہی رہ جا کہ یہ تدبیر بھی ہے

سن کے اک خواب حسیں میرے معبر نے کہا

یہ ترا خواب ترے خواب کی تعبیر بھی ہے

مستویٰ اپنے لئے کس نے کہا کیسے چنا

اسی دنیا میں ہمالہ بھی ہے پامیر بھی ہے

وصل مدہوش کناں سے غم ہجراں خوش تر

کہ تصور میں ہے تو بھی تری تصویر بھی ہے

شوخیٔ حسن نے چھوڑی نہ کوئی راہ فرار

ایک ہی سانس میں انذار بھی تبشیر بھی ہے

تم خدا کو تو نہیں مانتے لیکن صاحب

لاکھ تدبیر کرو تاک میں تقدیر بھی ہے

دوش صیاد کے ترکش سے فضا سہم گئی

دیکھتا کون کہ ترکش میں کوئی تیر بھی ہے

یہ گرہ ناخن تدبیر سے کھلنے کی نہیں

پھر بھی نومید نہ ہو ناخن شمشیر بھی ہے

صلح للہ نہیں جنگ بھی فی اللہ نہیں

نعرہ بازاں کوئی شبر کوئی شبیر بھی ہے

اب تو بس گزری ہوئی عمر بسر کرتا ہوں

میری تنہائی خموشی بھی ہے تقریر بھی ہے

خود کلامی بھی نہ دے ساتھ اگر منہ سے کہوں

ایک اندوہ جو گہرا بھی ہے گمبھیر بھی ہے

امتحاں ہے کہ سزا اور سزا ہے جو یہ عمر

کتنی تقصیر ہے یا سچ کوئی تقصیر بھی ہے

اسی بیت نبوی کے فقرا ہم بھی ہیں

خلد بھی جس کے لیے آیۂ تطہیر بھی ہے

ہم نے بازار جدیداں میں بہت دن ڈھونڈا

کوئی غالبؔ بھی ہے اقبالؔ بھی ہے میرؔ بھی ہے

رشید کوثر فاروقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kitne Dardon Mein Dawaon Ki Si Tasir Bhi Hai

Rasheed Kausar Farooqi

kitne dardon mein dawaon ki si tasir bhi hai
tan ba-taqdir hi rah ja ki ye tadbir bhi hai

sun ke ek KHwab hasin mere muabbir ne kaha
ye tera KHwab tere KHwab ki tabir bhi hai

mustawa apne liye kis ne kaha kaise chuna
isi duniya mein himala bhi hai pamir bhi hai

wasl-e-madhosh-kunan se gham-e-hijran KHush-tar
ki tasawwur mein hai tu bhi teri taswir bhi hai

shoKHi-e-husn ne chhoDi na koi rah-e-farar
ek hi sans mein inzar bhi tabshir bhi hai

tum KHuda ko to nahin mante lekin sahab
lakh tadbir karo tak mein taqdir bhi hai

dosh-e-sayyaad ke tarkash se faza sahm gai
dekhta kaun ki tarkash mein koi tir bhi hai

ye girah naKHun-e-tadbir se khulne ki nahin
phir bhi naumid na ho naKHun-e-shamshir bhi hai

sulhullah nahin jang bhi fillah nahin
nara-bazan koi shabbar koi shabbir bhi hai

ab to bas guzri hui umr basar karta hun
meri tanhai KHamoshi bhi hai taqrir bhi hai

KHud-kalami bhi na de sath agar munh se kahun
ek andoh jo gahra bhi hai gambhir bhi hai

imtihan hai ki saza aur saza hai jo ye umr
kitni taqsir hai ya sach koi taqsir bhi hai

isi bait-e-nabawi ke fuqara hum bhi hain
KHuld bhi jis ke liye aaya-e-tathir bhi hai

hum ne bazar-e-jadidan mein bahut din DhunDa
koi 'ghaalib' bhi hai 'iqbaal' bhi hai 'mir' bhi hai

(359) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kitne Dardon Mein Dawaon Ki Si Tasir Bhi Hai written by Rasheed Kausar Farooqi at UrduPoint. Kitne Dardon Mein Dawaon Ki Si Tasir Bhi Hai is one of the masterpieces written by Rasheed Kausar Farooqi. You can also find the complete poetry collection of Rasheed Kausar Farooqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rasheed Kausar Farooqi' above.

Kitne Dardon Mein Dawaon Ki Si Tasir Bhi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kitne Dardon Mein Dawaon Ki Si Tasir Bhi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.