Dam-e-raftar-e-jaanan Ye Sada-e-naz Aati Hai, Urdu Ghazal By Rasheed Lakhnavi

Dam-e-raftar-e-jaanan Ye Sada-e-naz Aati Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rasheed Lakhnavi. Dam-e-raftar-e-jaanan Ye Sada-e-naz Aati Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dam-e-raftar-e-jaanan Ye Sada-e-naz Aati Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دم رفتار جاناں یہ صدائے ناز آتی ہے

رشید لکھنوی

دم رفتار جاناں یہ صدائے ناز آتی ہے

سنبھالیں سب دلوں کو پاؤں کی آواز آتی ہے

صبا جو پر مرا اے باغباں لاتی ہے گلشن میں

قفس سے ساتھ یاں تک حسرت پرواز آتی ہے

ابھی جاؤ نہ یاراں قفس گلزار کی جانب

ذرا ہم منتظر ہیں طاقت پرواز آتی ہے

اثر یہ ہے کہ بلبل جب قفس میں کرتی ہے نالہ

شکست رنگ گل کی باغ سے آواز آتی ہے

نظر دزدیدہ تیری کب نظر آتی ہے عاشق کو

اڑا جاتا ہے دل اور تیر کی آواز آتی ہے

شکوہ حسن یہ ہے جب کبھی تم جا نکلتے ہو

تو بت خانے سے یا اللہ کی آواز آتی ہے

صدا دی میں نے جب آنے لگی صبح شب وصلت

سمجھ کر آ کدھر او تفرقہ پرواز آتی ہے

ترے باعث سے جس نے کل ہمیں دی تھی بہت ایذا

وہی شب آج پھر اے طالع ناساز آتی ہے

ہوئی مدت ترے زلفوں کے دیوانے کی صحت کو

بگڑ جاتا ہے شب زنجیر کی آواز آتی ہے

ذرا کہہ دے کوئی ان سے قریب آیا دم آخر

کہ الٹی سانس اب تو اے مرے دم ساز آتی ہے

جوانی کے نشاں اندام سے ہونے لگے ظاہر

مبارک ہو بہار اے سرد باغ ناز آتی ہے

جھکائے سر نہ کیوں خاموش بیٹھوں ہجر جاناں میں

کہ دل کے ٹوٹنے کی کان میں آواز آتی ہے

بھلا آج زندہ آہ دل عاشق کرے پیدا

کہ خود وہ کہہ رہے ہیں درد کی آواز آتی ہے

رشیدؔ اشعار مہمل پڑھ رہے ہو جمع ہیں شاعر

خجل ہوتے نہیں تم دل کی یہ آواز آتی ہے

رشید لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dam-e-raftar-e-jaanan Ye Sada-e-naz Aati Hai

Rasheed Lakhnavi

dam-e-raftar-e-jaanan ye sada-e-naz aati hai
sambhaalen sab dilon ko panw ki aawaz aati hai

saba jo pur mera ai baghban lati hai gulshan mein
qafas se sath yan tak hasrat parwaz aati hai

abhi jao na yaran qafas-e-gulzar ki jaanib
zara hum muntazir hain taqat-e-parwaz aati hai

asar ye hai ki bulbul jab qafas mein karti hai nala
shikast-e-rang-e-gul ki bagh se aawaz aati hai

nazar duzdida teri kab nazar aati hai aashiq ko
uDa jata hai dil aur tir ki aawaz aati hai

shikwa-e-husn ye hai jab kabhi tum ja nikalte ho
to but-KHane se ya-allah ki aawaz aati hai

sada di main ne jab aane lagi subh shab-e-waslat
samajh kar aa kidhar o tafarqe parwaz aati hai

tere bais se jis ne kal hamein di thi bahut iza
wahi shab aaj phir ai tala-e-na-saz aati hai

hui muddat tere zulfon ke diwane ki sehat ko
bigaD jata hai shab zanjir ki aawaz aati hai

zara kah de koi un se qarib aaya dam-e-aKHir
ki ulTi sans ab to ai mere dam-saz aati hai

jawani ke nishan andam se hone lage zahir
mubarak ho bahaar ai sard bagh naz aati hai

jhukae sar na kyun KHamosh baiThun hijr-e-jaanan mein
ki dil ke TuTne ki kan mein aawaz aati hai

bhala aaj zinda aah-e-dil aashiq kare paida
ki KHud wo kah rahe hain dard ki aawaz aati hai

'rashid' ashaar mohmal paDh rahe ho jama hain shair
KHajil hote nahin tum dil ki ye aawaz aati hai

(324) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dam-e-raftar-e-jaanan Ye Sada-e-naz Aati Hai written by Rasheed Lakhnavi at UrduPoint. Dam-e-raftar-e-jaanan Ye Sada-e-naz Aati Hai is one of the masterpieces written by Rasheed Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Rasheed Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rasheed Lakhnavi' above.

Dam-e-raftar-e-jaanan Ye Sada-e-naz Aati Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dam-e-raftar-e-jaanan Ye Sada-e-naz Aati Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.