Jin Ki Tabir Na Ho KHwab Wo Aane Se Rahe, Urdu Ghazal By Rasheeda Ayan

Jin Ki Tabir Na Ho KHwab Wo Aane Se Rahe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rasheeda Ayan. Jin Ki Tabir Na Ho KHwab Wo Aane Se Rahe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jin Ki Tabir Na Ho KHwab Wo Aane Se Rahe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جن کی تعبیر نہ ہو خواب وہ آنے سے رہے

رشیدہ عیاں

جن کی تعبیر نہ ہو خواب وہ آنے سے رہے

یہ عذاب اب تو ہم آنکھوں میں بسانے سے رہے

کھول ہی لیں گے فصیلوں میں نئے در ہم لوگ

لاکھ محبوس سہی وقت گنوانے سے رہے

اہل پندار ہیں دریوزہ گری کب ہے قبول

بھیک لینے کو کسی در پہ تو جانے سے رہے

ایک دن قید قفس توڑ کے اڑ جائیں گے

قید میں رہ کے عبث شور مچانے سے رہے

جاگ اٹھے ہیں تو اب جاگتے رہنا ہے ہمیں

جاگتی آنکھوں میں اب خواب سجانے سے رہے

دور ماضی کے کئی زخم ابھی تازہ ہیں

اب کوئی دریا نیا دل میں بسانے سے رہے

اس تلاطم میں بھی دھاروں کو نیا رخ دیں گے

لہر کے دوش پہ ہم خود کو بہانے سے رہے

کچھ عیاںؔ ہم بھی تو پندار وفا رکھتے ہیں

بے سبب روٹھنے والوں کو منانے سے رہے

رشیدہ عیاں

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jin Ki Tabir Na Ho KHwab Wo Aane Se Rahe

Rasheeda Ayan

jin ki tabir na ho KHwab wo aane se rahe
ye azab ab to hum aankhon mein basane se rahe

khol hi lenge fasilon mein nae dar hum log
lakh mahbus sahi waqt ganwane se rahe

ahl-e-pindar hain daryuza-gari kab hai qubul
bhik lene ko kisi dar pe to jaane se rahe

ek din qaid-e-qafas toD ke uD jaenge
qaid mein rah ke abas shor machane se rahe

jag uTThe hain to ab jagte rahna hai hamein
jagti aankhon mein ab KHwab sajaane se rahe

daur-e-mazi ke kai zaKHm abhi taza hain
ab koi dariya naya dil mein basane se rahe

is talatum mein bhi dhaaron ko naya ruKH denge
lahr ke dosh pe hum KHud ko bahane se rahe

kuchh 'ayan' hum bhi to pindar-e-wafa rakhte hain
be-sabab ruThne walon ko manane se rahe

(465) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jin Ki Tabir Na Ho KHwab Wo Aane Se Rahe written by Rasheeda Ayan at UrduPoint. Jin Ki Tabir Na Ho KHwab Wo Aane Se Rahe is one of the masterpieces written by Rasheeda Ayan. You can also find the complete poetry collection of Rasheeda Ayan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rasheeda Ayan' above.

Jin Ki Tabir Na Ho KHwab Wo Aane Se Rahe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jin Ki Tabir Na Ho KHwab Wo Aane Se Rahe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.