Abr Ke Bin Dekhe Hargiz KHush Dil-e-mastan Na Ho, Urdu Ghazal By Raza Azimabadi

Abr Ke Bin Dekhe Hargiz KHush Dil-e-mastan Na Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Raza Azimabadi. Abr Ke Bin Dekhe Hargiz KHush Dil-e-mastan Na Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Abr Ke Bin Dekhe Hargiz KHush Dil-e-mastan Na Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ابر کے بن دیکھے ہرگز خوش دل مستاں نہ ہو

رضا عظیم آبادی

ابر کے بن دیکھے ہرگز خوش دل مستاں نہ ہو

تیر باراں ہووے مجھ پر جب تلک باراں نہ ہو

میری رسوائی نے تیرے حسن کی کی ہے نمود

جب تلک شبنم نہیں روئے تو گل خنداں نہ ہو

طرز تیری گفتگو کی ہے گواہ مے کشی

بوئے گل اور نشۂ صہبا کبھی پنہاں نہ ہو

شیخ کو وہ جہل ہے سو بار کعبے کے تئیں

جائے اور آئے ولیکن پھر گدھا انساں نہ ہو

ذکر ابروئے بتاں سے کیوں برا مانے ہے شیخ

کیا ہوا کافر تجھے قبلے سے رو گرداں نہ ہو

سچ بتا اے جان عشق و عشق بازاں کیا ہے تو

بن ترے میں اس بدن سا ہوں کہ جس میں جاں نہ ہو

یاں سے جا شیطان زلف یار کو ہم دے چکے

عاشقوں کا دین ہے یہ شیخ کا ایماں نہ ہو

ترک تاز غمزہ کا اس کی یہی ڈر ہے رضاؔ

یہ غم آباد اپنا شہر دل کہیں ویراں نہ ہو

رضا عظیم آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Abr Ke Bin Dekhe Hargiz KHush Dil-e-mastan Na Ho

Raza Azimabadi

abr ke bin dekhe hargiz KHush dil-e-mastan na ho
tir baran howe mujh par jab talak baran na ho

meri ruswai ne tere husn ki ki hai numud
jab talak shabnam nahin roe to gul KHandan na ho

tarz teri guftugu ki hai gawah-e-mai-kashi
bu-e-gul aur nashsha-e-sahba kabhi pinhan na ho

shaiKH ko wo jahl hai sau bar kabe ke tain
jae aur aae wa-lekin phir gadha insan na ho

zikr-e-abru-e-butan se kyun bura mane hai shaiKH
kya hua kafir tujhe qible se ru-gardan na ho

sach bata ai jaan-e-ishq o ishq-bazan kya hai tu
bin tere main us badan sa hun ki jis mein jaan na ho

yan se ja shaitan zulf-e-yar ko hum de chuke
aashiqon ka din hai ye shaiKH ka iman na ho

tark-e-taz-e-ghamza ka us ki yahi Dar hai 'raza'
ye gham-abaad apna shahr-e-dil kahin viran na ho

(328) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Abr Ke Bin Dekhe Hargiz KHush Dil-e-mastan Na Ho written by Raza Azimabadi at UrduPoint. Abr Ke Bin Dekhe Hargiz KHush Dil-e-mastan Na Ho is one of the masterpieces written by Raza Azimabadi. You can also find the complete poetry collection of Raza Azimabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Raza Azimabadi' above.

Abr Ke Bin Dekhe Hargiz KHush Dil-e-mastan Na Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Abr Ke Bin Dekhe Hargiz KHush Dil-e-mastan Na Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.