Ghaalib, Urdu Nazam By Rifat Sarosh

Ghaalib is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Rifat Sarosh. Ghaalib comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Ghaalib on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غالبؔ

رفعت سروش

بیان غالبؔ رنگیں نوا ہے

قلم شاعر کا سجدے میں جھکا ہے

پئے تعظیم صف بستہ ہیں الفاظ

دل شاعر میں اک طوفاں بپا ہے

عقیدت اس سے ہر اہل نظر کو

کہ وہ فکر و نظر کا رہنما ہے

وہ غالب وہ شہنشاہ معانی

وہ غالبؔ جس کی عظمت غیر فانی

سلاست اور فصاحت اللہ اللہ

کہ دریائے سخن مانگے روانی

بہت استاد شہ تھے اور ہوں گے

مگر ہوگا نہ کوئی اس کا ثانی

ظرافت اس کی فطرت کا تقاضہ

متانت اس کے فکر و فن کا جوہر

محبت روح اس کی شاعری کی

کہاں ہوں گے بھلا ایسے سخنور

زمانہ کس لئے اس کو مٹاتا

وہ انساں تھا نہ تھا حرف مکرر

زباں اس کی زبان زندگی ہے

بیاں اس کا بیان‌ آگہی ہے

رفعت سروش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ghaalib

Rifat Sarosh

bayan-e-'ghaalib'-e-rangin-nawa hai
qalam shair ka sajde mein jhuka hai
pae tazim saf-basta hain alfaz
dil-e-shair mein ek tufan bapa hai
aqidat us se har ahl-e-nazar ko
ki wo fikr-o-nazar ka rahnuma hai

wo ghaalib wo shahanshah-e-maani
wo 'ghaalib' jis ki azmat ghair-fani
salasat aur fasahat allah allah
ki dariya-e-suKHan mange rawani
bahut ustad-e-shah the aur honge
magar hoga na koi us ka sani

zarafat us ki fitrat ka taqaza
matanat us ke fikr-o-fan ka jauhar
mohabbat ruh us ki shairi ki
kahan honge bhala aise suKHnawar
zamana kis liye us ko miTata
wo insan tha na tha harf-e-mukarrar

zaban us ki zaban-e-zindagi hai
bayan us ka bayan-e-agahi hai

(461) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ghaalib written by Rifat Sarosh at UrduPoint. Ghaalib is one of the masterpieces written by Rifat Sarosh. You can also find the complete poetry collection of Rifat Sarosh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rifat Sarosh' above.

Ghaalib is a widely read Urdu Nazam. If you like Ghaalib, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.