Ek Pari Ka Phir Mujhe Shaida Kiya, Urdu Ghazal By Rind Lakhnavi

Ek Pari Ka Phir Mujhe Shaida Kiya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rind Lakhnavi. Ek Pari Ka Phir Mujhe Shaida Kiya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ek Pari Ka Phir Mujhe Shaida Kiya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اک پری کا پھر مجھے شیدا کیا

رند لکھنوی

اک پری کا پھر مجھے شیدا کیا

عشق نے پھر مفسدہ برپا کیا

آج پھر اس شوخ نے فقرا کیا

وعدۂ امروز بھی فردا کیا

خون ناحق اک مسلماں کا کیا

کیا غضب او شوخ بے پروا کیا

دل کو مائل شعلہ رویوں کا کیا

دین زردشتی کو پھر احیا کیا

ابر اکثر اس برس برسا کیا

کیا تتبع دیدۂ تر کا کیا

کیوں اجل کیا تجھ کو بھی موت آ گئی

اس قدر آنے میں کیوں عرصہ کیا

کان کی بجلی جو یاد آئی تری

برق کے مانند میں تڑپا کیا

وہ کف پائے حنائی کر کے یاد

ہجر کی شب ایڑیاں رگڑا کیا

اس کو بھی سکتہ ہوا دیکھ آئینہ

دیر تک حیرت سے منہ دیکھا کیا

خاک چھانی مدتوں تنکے چنے

کیا کہوں اس عشق میں کیا کیا کیا

کل نہ پاؤ گے ہمیں کہیو سفیر

آج آنے میں اگر حیلہ کیا

واں ہوئے مسی سے لب ان کے کبود

پیٹ کر منہ ہم نے یاں نیلا کیا

تب اٹھے ہیں ان بتوں کے ہم سے ناز

جب کلیجا اپنا پتھر کا کیا

ہے گرہ موئے کمر کی ناف یار

فکر نے اپنے یہ عقدہ وا کیا

لاگ پیدا کر کے اب جلاد سے

جان کھوئی ہائے دل نے کیا کیا

ڈنٹر پہ باندھا ہم نے جوشن کی طرح

حرز جاں قاتل ترا چھلا کیا

مجھ کو مجنوں کر دیا مانند قیس

سحر کچھ اور غیرت لیلیٰ کیا

معرکہ میں عشق کے سرکا نہ پاؤں

آبرو کو جان کو صدقہ کیا

سوز فرقت نے شرارت مجھ سے کی

ہیزم تر کی طرح سلگا کیا

اے شب فرقت نہ کر مجھ پر عذاب

میں نے تیرا منہ نہیں کالا کیا

زلف جاناں جس نے دیکھی ایک بار

دل سے اپنے عمر بھر الجھا کیا

اس مصیبت سے شب فرقت کٹی

پاؤں پیٹے آہ کی نالہ کیا

عشق افشان جبین یار میں

خاک چھلنی کی طرح چھانا کیا

تھا مناسب ترک عشق یار رندؔ

آپ نے انسب کیا اولیٰ کیا

رند لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Pari Ka Phir Mujhe Shaida Kiya

Rind Lakhnavi

ek pari ka phir mujhe shaida kiya
ishq ne phir mufsida barpa kiya

aaj phir us shoKH ne fuqara kiya
wada-e-imroz bhi farda kiya

KHun-e-nahaq ek musalman ka kiya
kya ghazab o shoKH-e-be-parwa kiya

dil ko mail shoala-ruon ka kiya
din-e-zardashti ko phir ahya kiya

abr akasr us baras barsa kiya
kya tatabbo dida-e-tar ka kiya

kyun ajal kya tujh ko bhi maut aa gai
is qadar aane mein kyun arsa kiya

kan ki bijli jo yaad aai teri
barq ke manind main taDpa kiya

wo kaf-e-pa-e-hinai kar ke yaad
hijr ki shab eDiyan ragDa kiya

us ko bhi sakta hua dekh aaina
der tak hairat se munh dekha kiya

KHak chhani muddaton tinke chune
kya kahun is ishq mein kya kya kiya

kal na paoge hamein kahiyo safir
aaj aane mein agar hila kiya

wan hue missi se lab un ke kabud
piT kar munh hum ne yan nila kiya

tab uThe hain un buton ke hum se naz
jab kaleja apna patthar ka kiya

hai girah mu-e-kamar ki naf-e-yar
fikr ne apne ye uqda wa kiya

lag paida kar ke ab jallad se
jaan khoi hae dil ne kya kiya

danD pe bandha hum ne joshan ki tarah
harz-e-jaan qatil tera chhalla kiya

mujh ko majnun kar diya manind-e-qais
sehr kuchh aur ghairat-e-laila kiya

marke mein ishq ke sarka na panw
aabru ko jaan ko sadqa kiya

soz-e-furqat ne shararat mujh se ki
haizam-e-tar ki tarah sulga kiya

ai shab-e-furqat na kar mujh par azab
main ne tera munh nahin kala kiya

zulf-e-jaanan jis ne dekhi ek bar
dil se apne umr bhar uljha kiya

is musibat se shab-e-furqat kaTi
panw piTe aah ki nala kiya

ishq afshan-e-jabin-e-yar mein
KHak chhalni ki tarah chhana kiya

tha munasib tark-e-ishq-e-yar 'rind'
aap ne ansab kiya aula kiya

(366) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ek Pari Ka Phir Mujhe Shaida Kiya written by Rind Lakhnavi at UrduPoint. Ek Pari Ka Phir Mujhe Shaida Kiya is one of the masterpieces written by Rind Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Rind Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rind Lakhnavi' above.

Ek Pari Ka Phir Mujhe Shaida Kiya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ek Pari Ka Phir Mujhe Shaida Kiya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.