Zad-e-rah Bhi Nahin Be-raKHt-e-safar Jate Hain, Urdu Ghazal By Riyasat Ali Taj

Zad-e-rah Bhi Nahin Be-raKHt-e-safar Jate Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyasat Ali Taj. Zad-e-rah Bhi Nahin Be-raKHt-e-safar Jate Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zad-e-rah Bhi Nahin Be-raKHt-e-safar Jate Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زاد رہ بھی نہیں بے رخت سفر جاتے ہیں

ریاست علی تاج

زاد رہ بھی نہیں بے رخت سفر جاتے ہیں

سخت حیرت ہے کہ یہ لوگ کدھر جاتے ہیں

بے خودی میں ترے دیوانہ جدھر جاتے ہیں

منزلیں پوچھتی پھرتی ہیں کدھر جاتے ہیں

وقت پڑ جائے تو ہم سینہ سپر جاتے ہیں

نام ہی نام نہیں کام بھی کر جاتے ہیں

ہائے کس موڑ پہ حالات نے پہنچایا ہے

آپ ہم سایے سے ہم سائے سے ڈر جاتے ہیں

عہدے داروں میں بھی خوشبو ہے حسینوں کی سی

وعدہ کر لیتے ہیں اور صاف مکر جاتے ہیں

آپ جا سکتے نہیں چاند ستاروں سے پرے

ہم ورائے حد ادراک نظر جاتے ہیں

آپ کے طنز سر آنکھوں پہ مگر یاد رہے

یہ وہ نشتر ہیں کے سینے میں اتر جاتے ہیں

جب بھی ہوتا ہے کہیں تذکرۂ مہر و وفا

بھولے بسرے ہوئے کچھ نقش ابھر جاتے ہیں

علم کے ساتھ سلیقہ ہو تو پھر کیا کہنا

رنگ اسلوب سے افکار نکھر جاتے ہیں

آپ دیکھیں یہ مری نیند سے بوجھل آنکھیں

ہو چکی رات اجازت ہو تو گھر جاتے ہیں

زلف کھولو تو گھنی چھاؤں میں کچھ سستا لیں

دو گھڑی کے لیے سائے میں ٹھہر جاتے ہیں

زخم الفاظ کے ناسور ہوا کرتے ہیں

بات زخموں کہ نہیں زخم تو بھر جاتے ہیں

ہم تو وارفتۂ الفت میں ہمارا کیا ہے

آج یہ رات گئے آپ کدھر جاتے ہیں

کچھ نہ کچھ ہوتے ہیں ہر شہر میں فن کے پارکھ

قدر ہوتی ہے جہاں اہل ہنر جاتے ہیں

لاکھ سنجیدہ سہی تاجؔ حسینوں کی روش

دل اڑا لینے کے انداز کدھر جاتے ہیں

ریاست علی تاج

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zad-e-rah Bhi Nahin Be-raKHt-e-safar Jate Hain

Riyasat Ali Taj

zad-e-rah bhi nahin be-raKHt-e-safar jate hain
saKHt hairat hai ki ye log kidhar jate hain

be-KHudi mein tere diwane jidhar jate hain
manzilen puchhti phirti hain kidhar jate hain

waqt paD jae to hum sina-sipar jate hain
nam hi nam nahin kaam bhi kar jate hain

hae kis moD pe haalat ne pahunchaya hai
aap ham-sae se hum sae se Dar jate hain

ohde-daron mein bhi KHushbu hai hasinon ki si
wada kar lete hain aur saf mukar jate hain

aap ja sakte nahin chand-sitaron se pare
hum wara-e-had-e-idrak-e-nazar jate hain

aap ke tanz sar aankhon pe magar yaad rahe
ye wo nashtar hain ke sine mein utar jate hain

jab bhi hota hai kahin tazkira-e-mehr-o-wafa
bhule-bisre hue kuchh naqsh ubhar jate hain

ilm ke sath saliqa ho to phir kya kahna
rang-e-uslub' se afkar nikhar jate hain

aap dekhen ye meri nind se bojhal aankhen
ho chuki raat ijazat ho to ghar jate hain

zulf kholo to ghani chhanw main kuchh susta len
do-ghaDi ke liye sae mein Thahar jate hain

zaKHm alfaz ke nasur hua karte hain
baat zaKHmon ki nahin zaKHm to bhar jate hain

hum to warafta-e-ulfat mein hamara kya hai
aaj ye raat gae aap kidhar jate hain

kuchh na kuchh hote hain har shahr mein fan ke parakh
qadr hoti hai jahan ahl-e-hunar jate hain

lakh sanjida sahi 'taj' hasinon ki rawish
dil uDa lene ke andaz kidhar jate hain

(556) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zad-e-rah Bhi Nahin Be-raKHt-e-safar Jate Hain written by Riyasat Ali Taj at UrduPoint. Zad-e-rah Bhi Nahin Be-raKHt-e-safar Jate Hain is one of the masterpieces written by Riyasat Ali Taj. You can also find the complete poetry collection of Riyasat Ali Taj by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyasat Ali Taj' above.

Zad-e-rah Bhi Nahin Be-raKHt-e-safar Jate Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zad-e-rah Bhi Nahin Be-raKHt-e-safar Jate Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.