Mere Afkar Ne Jis Shai Se Jila Pai Hai, Urdu Ghazal By Riyasat Ali Taj

Mere Afkar Ne Jis Shai Se Jila Pai Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyasat Ali Taj. Mere Afkar Ne Jis Shai Se Jila Pai Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mere Afkar Ne Jis Shai Se Jila Pai Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میرے افکار نے جس شے سے جلا پائی ہے

ریاست علی تاج

میرے افکار نے جس شے سے جلا پائی ہے

عشق کی زندہ دلی حسن کی رعنائی ہے

شاخ گل میں جو نزاکت جو لہک آئی ہے

تیری باہوں کی لچک ہے تیری انگڑائی ہے

پھر ابھرنے لگے نہ خستہ ماضی کے نقوش

لوح دل پر کوئی تصویر ابھر آئی ہے

غم و اندوہ کے اس دور میں کیا عیش و نشاط

شادیانے ہیں خوشی کے نہ وہ شہنائی ہے

زندگی ہے کہ بلاتی ہے تقاضوں کی طرف

دل گرفتار خم زلف چلیپائی ہے

رہیے خاموش تو حالات بگڑ جاتے ہیں

اور کچھ کہیے تو اندیشۂ رسوائی ہے

دل وہ کیا ہے کہ نہ ہو جس میں محبت کا جنون

سر وہ کیا ہے کہ جو بے وضع جبیں سائی ہے

میں کہ درپیش ہے مجھ کو سفر دور و درواز

اور اک وہ ہیں کہ ان کو غم تنہائی ہے

کوئی مرہم نہ مداوا کوئی پھاہا نہ دوا

زیست اوڑھے ہوئے زخموں کی ردا آئی ہے

ظرف و ہمت سے سوا دی نہیں جاتی تکلیف

اتنا غم دیتے ہیں جتنی کہ شکیبائی ہے

تاجؔ یہ زور بیاں جو بھی سخن میں کچھ ہے

اثر تربیت شیون بینائی ہے

ریاست علی تاج

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mere Afkar Ne Jis Shai Se Jila Pai Hai

Riyasat Ali Taj

mere afkar ne jis shai se jila pai hai
ishq ki zinda-dili husn ki ranai hai

shaKH-e-gul mein jo nazakat jo lahak aai hai
teri bahon ki lachak hai teri angDai hai

phir ubharne lage na KHasta-mazi ke nuqush
lauh-e-dil par koi taswir ubhar aai hai

gham-o-andoh ke is daur mein kya aish-o-nishat
shadyane hain KHushi ke na wo shahnai hai

zindagi hai ki bulati hai taqazon ki taraf
dil giraftar-e-KHam-e-zulf-e-chalipai hai

rahiye KHamosh to haalat bigaD jate hain
aur kuchh kahiye to andesha-e-ruswai hai

dil wo kya hai ki na ho jis mein mohabbat ka junun
sar wo kya hai ki jo be-waza jabin-sai hai

main ki darpesh hai mujh ko safar-e-dur-o-daraaz
aur ek wo hain ki un ko gham-e-tanhai hai

koi marham na mudawa koi phaha na dawa
zist oDhe hue zaKHmon ki rida aai hai

zarf-o-himmat se siwa di nahin jati taklif
itna gham dete hain jitni ki shakebai hai

'taj' ye zor-e-bayan jo bhi suKHan mein kuchh hai
asar-e-tarbiyat-e-shewan-e-minai hai

(445) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mere Afkar Ne Jis Shai Se Jila Pai Hai written by Riyasat Ali Taj at UrduPoint. Mere Afkar Ne Jis Shai Se Jila Pai Hai is one of the masterpieces written by Riyasat Ali Taj. You can also find the complete poetry collection of Riyasat Ali Taj by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyasat Ali Taj' above.

Mere Afkar Ne Jis Shai Se Jila Pai Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mere Afkar Ne Jis Shai Se Jila Pai Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.